Surah Al-Fatiha - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
بِسۡمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai
Surah Al-Fatiha, Verse 1
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Tareef Allah hi ke liye hai jo tamaam qayinaat ka Rubb hai
Surah Al-Fatiha, Verse 2
ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Rehman aur Raheem hai
Surah Al-Fatiha, Verse 3
مَٰلِكِ يَوۡمِ ٱلدِّينِ
Roz e jaza ka maalik hai
Surah Al-Fatiha, Verse 4
إِيَّاكَ نَعۡبُدُ وَإِيَّاكَ نَسۡتَعِينُ
Hum teri hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad maangte hain
Surah Al-Fatiha, Verse 5
ٱهۡدِنَا ٱلصِّرَٰطَ ٱلۡمُسۡتَقِيمَ
Humein seedha raasta dikha
Surah Al-Fatiha, Verse 6
صِرَٰطَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمۡتَ عَلَيۡهِمۡ غَيۡرِ ٱلۡمَغۡضُوبِ عَلَيۡهِمۡ وَلَا ٱلضَّآلِّينَ
Un logon ka raasta jinpar tu nay inam farmaya, jo maatoob nahin huey (na unka jinpar tera gazab hota raha) , jo bhatke huey nahin hain
Surah Al-Fatiha, Verse 7