Surah Hud Verse 116 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudفَلَوۡلَا كَانَ مِنَ ٱلۡقُرُونِ مِن قَبۡلِكُمۡ أُوْلُواْ بَقِيَّةٖ يَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡفَسَادِ فِي ٱلۡأَرۡضِ إِلَّا قَلِيلٗا مِّمَّنۡ أَنجَيۡنَا مِنۡهُمۡۗ وَٱتَّبَعَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مَآ أُتۡرِفُواْ فِيهِ وَكَانُواْ مُجۡرِمِينَ
Phir kyun na un qaumon mein jo tumse pehle guzar chuki hain aise ahle khair maujood rahey jo logon ko zameen mein fasaad barpa karne se rokte? Aisey log nikle bhi to bahut kam jinko humne un qaumon mein se bacha liya, warna zalim log to unhi mazon (ease and comfort) ke peechey padey rahey jinke samaan unhein farawani ke saath diye gaye thay (conferred upon them) aur woh mujreem bankar rahey