Surah Hud Verse 12 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudفَلَعَلَّكَ تَارِكُۢ بَعۡضَ مَا يُوحَىٰٓ إِلَيۡكَ وَضَآئِقُۢ بِهِۦ صَدۡرُكَ أَن يَقُولُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ كَنزٌ أَوۡ جَآءَ مَعَهُۥ مَلَكٌۚ إِنَّمَآ أَنتَ نَذِيرٞۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ وَكِيلٌ
To aey paigambar! Kahin aisa na ho ke tum un cheezon mein se kisi cheez ko (bayan karne se) chodh do jo tumhari taraf wahee ki jaa rahi hai. Aur is baat par dil tangg ho ke woh kahenge “is shaks par koi khazana kyun na utara gaya” ya yeh ke “iske saath koi farishta kyun na aaya”. Tum to mehaz khabardaar karne waley ho, aagey har cheez ka hawaladaar Allah hai