Surah Hud Verse 18 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudوَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ يُعۡرَضُونَ عَلَىٰ رَبِّهِمۡ وَيَقُولُ ٱلۡأَشۡهَٰدُ هَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ كَذَبُواْ عَلَىٰ رَبِّهِمۡۚ أَلَا لَعۡنَةُ ٱللَّهِ عَلَى ٱلظَّـٰلِمِينَ
aur us shaks se badh kar zalim aur kaun hoga jo Allah par jhoot ghaday? Aisey log apne Rubb ke huzoor pesh hongey aur gawah shahadat denge ke yeh hain woh log jinhon ne apne Rubb par jhoot ghada tha. Suno! khuda ki laanat hai zalimon par