Surah Hud Verse 43 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudقَالَ سَـَٔاوِيٓ إِلَىٰ جَبَلٖ يَعۡصِمُنِي مِنَ ٱلۡمَآءِۚ قَالَ لَا عَاصِمَ ٱلۡيَوۡمَ مِنۡ أَمۡرِ ٱللَّهِ إِلَّا مَن رَّحِمَۚ وَحَالَ بَيۡنَهُمَا ٱلۡمَوۡجُ فَكَانَ مِنَ ٱلۡمُغۡرَقِينَ
usne palat kar jawab diya “main abhi ek pahad par chadha jata hoon jo mujhey pani se bacha lega”. Nooh ne kaha, aaj koi cheez Allah ke hukum se bachane wali nahin hai siwaye iske ke Allah hi kisi par reham farmaye”. Itne mein ek mauj dono ke darmiyan hayal ho gayi aur woh bhi doobne walon mein shamil ho gaya