Surah Hud Verse 62 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudقَالُواْ يَٰصَٰلِحُ قَدۡ كُنتَ فِينَا مَرۡجُوّٗا قَبۡلَ هَٰذَآۖ أَتَنۡهَىٰنَآ أَن نَّعۡبُدَ مَا يَعۡبُدُ ءَابَآؤُنَا وَإِنَّنَا لَفِي شَكّٖ مِّمَّا تَدۡعُونَآ إِلَيۡهِ مُرِيبٖ
Unhon ne kaha “Aey Saleh, issey pehle tu hamare darmiyan aisa shaks tha jissey badi tawaqquat (expectations) wabasta thi. Kya tum humein in maboodon ki parastish se roakna chahta hai jinki parastish hamare baap dada karte thay? Tu jis tareeqe ki taraf humein bula raha hai iske baarey mein humko sakht shubha(doubt) hai jisne humein khaljaan (disquieting doubt ) mein daal rakkha hai”