Surah Hud Verse 78 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudوَجَآءَهُۥ قَوۡمُهُۥ يُهۡرَعُونَ إِلَيۡهِ وَمِن قَبۡلُ كَانُواْ يَعۡمَلُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ هَـٰٓؤُلَآءِ بَنَاتِي هُنَّ أَطۡهَرُ لَكُمۡۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُخۡزُونِ فِي ضَيۡفِيٓۖ أَلَيۡسَ مِنكُمۡ رَجُلٞ رَّشِيدٞ
(In mehmaano ka aana tha ke) uski qaum ke log bay-ikhtiyar uske ghar ki taraf daud padey. Pehle se woh aisi hi badkariyon ke khugar thay. Lut ne unse kaha “bhaiyon, yeh meri betiyan maujood hain, yeh tumhare liye pakeeza-tarr hain. Kuch khuda ka khauf karo aur mere mehmano ke mamle mein mujhey zaleel na karo. Kya tum mein koi bhala aadmi nahin?”