Surah Hud Verse 81 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudقَالُواْ يَٰلُوطُ إِنَّا رُسُلُ رَبِّكَ لَن يَصِلُوٓاْ إِلَيۡكَۖ فَأَسۡرِ بِأَهۡلِكَ بِقِطۡعٖ مِّنَ ٱلَّيۡلِ وَلَا يَلۡتَفِتۡ مِنكُمۡ أَحَدٌ إِلَّا ٱمۡرَأَتَكَۖ إِنَّهُۥ مُصِيبُهَا مَآ أَصَابَهُمۡۚ إِنَّ مَوۡعِدَهُمُ ٱلصُّبۡحُۚ أَلَيۡسَ ٱلصُّبۡحُ بِقَرِيبٖ
Tab Farishton ne ussey kaha ke “aey Lut, hum tere Rubb ke bheje huye Farishtey hain. Yeh log tera kuch na bigad sakenge. Bas tu kuch raat rahey apne ehal o ayal ko lekar nikal jaa aur dekho, tum mein se koi shaks peechey palat kar na dekhey magar teri biwi (saath nahin jayegi) kyunke uspar bhi wahi kuch guzarne wala hai jo in logon par guzarna hai. Unki tabahi ke liye subah ka waqt muqarrar hai. Subah hotey ab dair hi kitni hai”