Surah Hud Verse 88 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Hudقَالَ يَٰقَوۡمِ أَرَءَيۡتُمۡ إِن كُنتُ عَلَىٰ بَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّي وَرَزَقَنِي مِنۡهُ رِزۡقًا حَسَنٗاۚ وَمَآ أُرِيدُ أَنۡ أُخَالِفَكُمۡ إِلَىٰ مَآ أَنۡهَىٰكُمۡ عَنۡهُۚ إِنۡ أُرِيدُ إِلَّا ٱلۡإِصۡلَٰحَ مَا ٱسۡتَطَعۡتُۚ وَمَا تَوۡفِيقِيٓ إِلَّا بِٱللَّهِۚ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُ وَإِلَيۡهِ أُنِيبُ
Shoaib ne kaha “bhaiyon, tum khud hi socho ke agar main apne Rubb ki taraf se ek khuli shahadat par tha aur phir usne apne haan se mujhko accha rizq bhi ata kiya (to iske baad main tumhari gumraahiyon aur haraam-khoriyon mein tumhara shareek e haal kaise ho sakta hoon?) Aur main hargiz yeh nahin chahta ke jin baaton se main tumko roakta hoon unka khud irteqab karoon. Main to islaah karna chahta hoon jahan tak bhi mera bas chale aur yeh jo kuch main karna chachta hoon uska saara inhisaar Allah ki taufeeq par hai. Usi par maine bharosa kiya aur har maamle mein usi ki taraf main rujoo karta hoon