Surah An-Nasr - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
إِذَا جَآءَ نَصۡرُ ٱللَّهِ وَٱلۡفَتۡحُ
Jab Allah ki madad aa jaye aur fatah naseeb ho jaye
Surah An-Nasr, Verse 1
وَرَأَيۡتَ ٱلنَّاسَ يَدۡخُلُونَ فِي دِينِ ٱللَّهِ أَفۡوَاجٗا
Aur (aey Nabi s.a.s) tum dekh lo ke log fauj dar fauj Allah ke deen mein dakhil ho rahey hain
Surah An-Nasr, Verse 2
فَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ وَٱسۡتَغۡفِرۡهُۚ إِنَّهُۥ كَانَ تَوَّابَۢا
To apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karo Aur us se magfirat ki duaa maango. Beshak woh bada tauba qabool karne wala hai
Surah An-Nasr, Verse 3