Surah Ibrahim Verse 22 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ibrahimوَقَالَ ٱلشَّيۡطَٰنُ لَمَّا قُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ إِنَّ ٱللَّهَ وَعَدَكُمۡ وَعۡدَ ٱلۡحَقِّ وَوَعَدتُّكُمۡ فَأَخۡلَفۡتُكُمۡۖ وَمَا كَانَ لِيَ عَلَيۡكُم مِّن سُلۡطَٰنٍ إِلَّآ أَن دَعَوۡتُكُمۡ فَٱسۡتَجَبۡتُمۡ لِيۖ فَلَا تَلُومُونِي وَلُومُوٓاْ أَنفُسَكُمۖ مَّآ أَنَا۠ بِمُصۡرِخِكُمۡ وَمَآ أَنتُم بِمُصۡرِخِيَّ إِنِّي كَفَرۡتُ بِمَآ أَشۡرَكۡتُمُونِ مِن قَبۡلُۗ إِنَّ ٱلظَّـٰلِمِينَ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aur jab faisla chuka diya jayega to shaytan kahega “ haqeeqat yeh hai ke Allah ne jo wadey tumse kiye thay woh sab sachhey thay aur maine jitne wadey kiye un mein se koi bhi pura na kiya. Mera tumpar koi zoar to tha nahin, maine iske siwa kuch nahin kiya ke apne rastey ki taraf tumhein dawat di aur tumne meri dawat par labbaik kiya (qabool ki). Ab mujhey malamat na karo, apne aap hi ko malamat karo. Yahan na main tumhari fariyad-rasi kar sakta hoon aur na tum meri. Issey pehle jo tumne mujhey khudayi mein shareek bana rakkha tha main ussey bari uz-zimma (dissociate myself) hoon. Aisey zalimon ke liye dardnaak saza yaqeeni hai”