Surah Ibrahim Verse 36 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ibrahimرَبِّ إِنَّهُنَّ أَضۡلَلۡنَ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِۖ فَمَن تَبِعَنِي فَإِنَّهُۥ مِنِّيۖ وَمَنۡ عَصَانِي فَإِنَّكَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Parwardigar, in buthon (idols) ne bahuton ko gumraahi mein dala hai (mumkin hai ke meri aulad ko bhi yeh gumraah kardein, lihaza unmein se) jo mere tareeqe par chale woh mera hai aur jo mere khilaf tareeqa ikhtiyar karey to yaqeenan tu darguzar karne wala mehrabaan hai