Surah Ibrahim Verse 44 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Ibrahimوَأَنذِرِ ٱلنَّاسَ يَوۡمَ يَأۡتِيهِمُ ٱلۡعَذَابُ فَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ رَبَّنَآ أَخِّرۡنَآ إِلَىٰٓ أَجَلٖ قَرِيبٖ نُّجِبۡ دَعۡوَتَكَ وَنَتَّبِعِ ٱلرُّسُلَۗ أَوَلَمۡ تَكُونُوٓاْ أَقۡسَمۡتُم مِّن قَبۡلُ مَا لَكُم مِّن زَوَالٖ
(Aey Muhammad), us din se tum inhein darao jabke azaab inhein aa lega us waqt yeh zaalim kahenge ke “aey hamare Rubb, humein thodi si mohlat aur de de, hum teri dawat ko labbaik kahenge aur Rasoolon ki paiwari karenge”. (Magar unhein saaf jawab de diya jayega ke) kya tum wahi log nahin ho jo issey pehle kasamein kha kha kar kehte thay ke humpar to kabhi zawaal (decline) aana hi nahin hai