Surah Al-Kahf Verse 19 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Kahfوَكَذَٰلِكَ بَعَثۡنَٰهُمۡ لِيَتَسَآءَلُواْ بَيۡنَهُمۡۚ قَالَ قَآئِلٞ مِّنۡهُمۡ كَمۡ لَبِثۡتُمۡۖ قَالُواْ لَبِثۡنَا يَوۡمًا أَوۡ بَعۡضَ يَوۡمٖۚ قَالُواْ رَبُّكُمۡ أَعۡلَمُ بِمَا لَبِثۡتُمۡ فَٱبۡعَثُوٓاْ أَحَدَكُم بِوَرِقِكُمۡ هَٰذِهِۦٓ إِلَى ٱلۡمَدِينَةِ فَلۡيَنظُرۡ أَيُّهَآ أَزۡكَىٰ طَعَامٗا فَلۡيَأۡتِكُم بِرِزۡقٖ مِّنۡهُ وَلۡيَتَلَطَّفۡ وَلَا يُشۡعِرَنَّ بِكُمۡ أَحَدًا
Aur isi ajeeb karishme se humne unhein utha bithaya taa-ke zara aapas mein puch-gajh karein, un mein se ek ne pucha “Kaho kitni deir is haal mein rahey?” Dusron ne kaha “shayad din bhar ya issey kuch kam hongey”. Phir woh bole “Allah hi behtar jaanta hai ke hamara kitna waqt is haalat mein guzara. Chalo ab apne mein se kisi ko chandi ka yeh sikkha dekar shehar bhejein aur woh dekhe ke sabse accha khana kahan milta hai wahan se woh kuch khane ke liye laye aur chahiye ke zara hoshiyari se kaam karey, aisa na ho ke woh kisi ko hamare yahan honay se khabrdaar kar baithey