Surah Al-Kahf Verse 21 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Kahfوَكَذَٰلِكَ أَعۡثَرۡنَا عَلَيۡهِمۡ لِيَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَأَنَّ ٱلسَّاعَةَ لَا رَيۡبَ فِيهَآ إِذۡ يَتَنَٰزَعُونَ بَيۡنَهُمۡ أَمۡرَهُمۡۖ فَقَالُواْ ٱبۡنُواْ عَلَيۡهِم بُنۡيَٰنٗاۖ رَّبُّهُمۡ أَعۡلَمُ بِهِمۡۚ قَالَ ٱلَّذِينَ غَلَبُواْ عَلَىٰٓ أَمۡرِهِمۡ لَنَتَّخِذَنَّ عَلَيۡهِم مَّسۡجِدٗا
Is tarah humne ehle shehar ko unke haal par muttala kiya taa-ke log jaan lein ke Allah ka wada saccha hai, aur yeh ke qayamat ki ghadi beshak aakar rahegi. (Magar zara khayal karo ke jab sochne ki asal baat yeh thi) us waqt woh aapas mein is baat par jhagad rahey thay ke in (ashab-e-kahaf) ke saath kya kiya jaye. Kuch logon ne kaha “inpar ek deewar chun do, inka Rubb hi inke maamle ko behter jaanta hai” magar jo log unke maamlaat par galib thay unhon ne kaha “hum to inpar ek ibadat gaah banayenge”