Surah Al-Kahf Verse 82 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Kahfوَأَمَّا ٱلۡجِدَارُ فَكَانَ لِغُلَٰمَيۡنِ يَتِيمَيۡنِ فِي ٱلۡمَدِينَةِ وَكَانَ تَحۡتَهُۥ كَنزٞ لَّهُمَا وَكَانَ أَبُوهُمَا صَٰلِحٗا فَأَرَادَ رَبُّكَ أَن يَبۡلُغَآ أَشُدَّهُمَا وَيَسۡتَخۡرِجَا كَنزَهُمَا رَحۡمَةٗ مِّن رَّبِّكَۚ وَمَا فَعَلۡتُهُۥ عَنۡ أَمۡرِيۚ ذَٰلِكَ تَأۡوِيلُ مَا لَمۡ تَسۡطِع عَّلَيۡهِ صَبۡرٗا
Aur is deewar ka maamla yeh hai ke yeh do yateem ladkon ki hai jo is shehar mein rehte hain. Is deewar ke neechey in bacchon ke liye ek khazana madfoon (buried) hai. Aur inka baap ek neik aadmi tha , isliye tumhare Rubb ne chaha ke yeh dono bacchey baalig (mature) hon aur apna khazana nikal lein. Yeh tumhare Rubb ki rehmat ki bina par kiya gaya hai, maine kuch apne ikhtiyar se nahin kardiya hai. Yeh hai haqeeqat un baaton ki jinpar tum sabr na kar sakey”