Surah Al-Baqara Verse 109 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَدَّ كَثِيرٞ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَوۡ يَرُدُّونَكُم مِّنۢ بَعۡدِ إِيمَٰنِكُمۡ كُفَّارًا حَسَدٗا مِّنۡ عِندِ أَنفُسِهِم مِّنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡحَقُّۖ فَٱعۡفُواْ وَٱصۡفَحُواْ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ ٱللَّهُ بِأَمۡرِهِۦٓۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Ehle kitab mein se aksar log yeh chahte hain ke kisi tarah tumhein iman se pher kar phir kufr ki taraf palta le jayein agarche haqq unpar zaahir ho chuka hai, magar apne nafs ke hasad ki bina par tumhare liye unki yeh khwahish hai iske jawab mein tum afu o darguzar (forgive and overlook) se kaam lo, yahan tak ke Allah khud hi apna faisla nafiz karde. Mutmaeen raho ke Allah taala har cheez par qudrat rakhta hai