Surah Al-Baqara Verse 136 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraقُولُوٓاْ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡنَا وَمَآ أُنزِلَ إِلَىٰٓ إِبۡرَٰهِـۧمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطِ وَمَآ أُوتِيَ مُوسَىٰ وَعِيسَىٰ وَمَآ أُوتِيَ ٱلنَّبِيُّونَ مِن رَّبِّهِمۡ لَا نُفَرِّقُ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّنۡهُمۡ وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
(Musalmaano)! Kaho ke: “hum iman laye Allah par aur us hidayat par jo hamari taraf nazil hui hai aur jo Ibrahim, Ismail, Ishaq, Yakub aur aulad e Yakub ki taraf nazil hui thi aur jo Moosa aur Isa aur dusre tamaam paighambaron ko unke Rubb ki taraf se di gayi thi. Hum unke darmiyan koi tafreeq nahin karte aur hum Allah ke Muslim hain”