Surah Al-Baqara Verse 150 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَمِنۡ حَيۡثُ خَرَجۡتَ فَوَلِّ وَجۡهَكَ شَطۡرَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ وَحَيۡثُ مَا كُنتُمۡ فَوَلُّواْ وُجُوهَكُمۡ شَطۡرَهُۥ لِئَلَّا يَكُونَ لِلنَّاسِ عَلَيۡكُمۡ حُجَّةٌ إِلَّا ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡهُمۡ فَلَا تَخۡشَوۡهُمۡ وَٱخۡشَوۡنِي وَلِأُتِمَّ نِعۡمَتِي عَلَيۡكُمۡ وَلَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
Aur jahan se bhi tumhara guzar ho apna rukh masjid e haraam ki taraf phera karo, aur jahan bhi tum ho usi ki taraf mooh karke namaz padho taa-ke logon ko tumhare khilaf koi hujjat na miley. Haan jo zalim hain unki zubaan kisi haal mein bandh na hogi to unsey tum na daro balke mujhse daro aur isliye ke main tumpar apni niyamat poori kardoon aur is tawaqqu par ke mere is hukum ki pairwi se tum isi tarah falaah ka raasta paogey