Surah Al-Baqara Verse 210 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّآ أَن يَأۡتِيَهُمُ ٱللَّهُ فِي ظُلَلٖ مِّنَ ٱلۡغَمَامِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَقُضِيَ ٱلۡأَمۡرُۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
(In saari naseehaton aur hidayaton ke baad bhi log seedhe na hon to) kya ab woh iske muntazir hain ke Allah baadalon ka chatar lagay farishton ke parey saath(canopies of clouds with a retinue of angels) liye khud saamne aa maujood ho aur faisla hi kar dala jaye? Aakhir e kaar saare maamlaat pesh to Allah hi ke huzoor honay waley hain