Surah Al-Baqara Verse 236 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraلَّا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ إِن طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ مَا لَمۡ تَمَسُّوهُنَّ أَوۡ تَفۡرِضُواْ لَهُنَّ فَرِيضَةٗۚ وَمَتِّعُوهُنَّ عَلَى ٱلۡمُوسِعِ قَدَرُهُۥ وَعَلَى ٱلۡمُقۡتِرِ قَدَرُهُۥ مَتَٰعَۢا بِٱلۡمَعۡرُوفِۖ حَقًّا عَلَى ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Tumpar kuch gunaah nahin, agar tum apni auraton ko talaq dedo qabl iske ke haath lagane ki naubat aaye ya mehar muqarrar ho, is surat mein unhein kuch na kuch dena zaroor chahiye. Khush haal aadmi apni maqdarat ke mutabiq aur gareeb apni madarat ke mutabiq maroof tareeqe se dey, yeh haqq hai neik aadmiyon par