Surah Al-Baqara Verse 251 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraفَهَزَمُوهُم بِإِذۡنِ ٱللَّهِ وَقَتَلَ دَاوُۥدُ جَالُوتَ وَءَاتَىٰهُ ٱللَّهُ ٱلۡمُلۡكَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَعَلَّمَهُۥ مِمَّا يَشَآءُۗ وَلَوۡلَا دَفۡعُ ٱللَّهِ ٱلنَّاسَ بَعۡضَهُم بِبَعۡضٖ لَّفَسَدَتِ ٱلۡأَرۡضُ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ ذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aakhir e kaar Allah ke izan se unhon ne kafiron ko maar bhagaya aur Dawood ne Jaaluth ko qatal kardiya aur Allah ne usey sultanat aur hikmat se nawaza aur jin jin cheezon ka chaha usko ilm diya, agar is tarah Allah insaano ke ek giroh ko dusre giroh ke zariye se hatata na rehta, to zameen ka nizam bigad jata, lekin duniya ke logon par Allah ka bada fazl hai (ke woh is tarah dafey fasaad ka intezam karta rehta hai)