Surah Al-Baqara Verse 253 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqara۞تِلۡكَ ٱلرُّسُلُ فَضَّلۡنَا بَعۡضَهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۘ مِّنۡهُم مَّن كَلَّمَ ٱللَّهُۖ وَرَفَعَ بَعۡضَهُمۡ دَرَجَٰتٖۚ وَءَاتَيۡنَا عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱلۡبَيِّنَٰتِ وَأَيَّدۡنَٰهُ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِۗ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا ٱقۡتَتَلَ ٱلَّذِينَ مِنۢ بَعۡدِهِم مِّنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ وَلَٰكِنِ ٱخۡتَلَفُواْ فَمِنۡهُم مَّنۡ ءَامَنَ وَمِنۡهُم مَّن كَفَرَۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا ٱقۡتَتَلُواْ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَفۡعَلُ مَا يُرِيدُ
Yeh Rasool (jo hamari taraf se Insaano ki hidayat par mamoor huey) humne unko ek dusre se badh chadh kar martabe ata kiye, unmein koi aisa tha jissey khuda khud hum-kalaam hua, kisi ko usne dusri haisyaton se buland darje diye, aur aakhir mein Isa Ibn-Mariyam ko roshan nishaniyan ata ki aur rooh e paak se uski madad ki , agar Allah chahta to mumkin na tha ke in Rasoolon ke baad jo log roshan nishaniyan dekh chuke thay wo aapas mein ladte , magar (Allah ki mashiyat yeh na thi ke woh logon ko jabran ikhtilaaf se roke, is wajah se) unhon ne baham ikhtilaaf kiya, phir koi iman laya aur kisi ne kufr ki raah ikhtiyar ki, haan , Allah chahta to woh hargiz na ladte, magar Allah jo chahta hai karta hai