Surah Al-Baqara Verse 275 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraٱلَّذِينَ يَأۡكُلُونَ ٱلرِّبَوٰاْ لَا يَقُومُونَ إِلَّا كَمَا يَقُومُ ٱلَّذِي يَتَخَبَّطُهُ ٱلشَّيۡطَٰنُ مِنَ ٱلۡمَسِّۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُوٓاْ إِنَّمَا ٱلۡبَيۡعُ مِثۡلُ ٱلرِّبَوٰاْۗ وَأَحَلَّ ٱللَّهُ ٱلۡبَيۡعَ وَحَرَّمَ ٱلرِّبَوٰاْۚ فَمَن جَآءَهُۥ مَوۡعِظَةٞ مِّن رَّبِّهِۦ فَٱنتَهَىٰ فَلَهُۥ مَا سَلَفَ وَأَمۡرُهُۥٓ إِلَى ٱللَّهِۖ وَمَنۡ عَادَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Magar jo log sood (usury) khate hain, unka haal us shaks ka sa hota hai, jisey Shaytan ne choo kar bawla (deewana) kardiya ho aur is haalat mein unke mubtila hone ki wajah yeh hai ke woh kehte hain : “ tijarat bhi to aakhir sood hi jaisi cheez hai”, halanke Allah ne tijarat ko halal kiya hai aur sood ko haraam. Lihaza jis shaks ko uske Rubb ki taraf se yeh naseehat pahunche aur aainda ke liye woh sood-khori se baaz aa jaye , to jo kuch woh pehle kha chuka, so kha chuka, uska maamla Allah ke hawale hai aur jo is hukm ke baad phir isi harakat ka iaada (repeat) karey, toh jahannami hai, jahan woh hamesha rahega