Surah Al-Baqara Verse 76 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذَا لَقُواْ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَا بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٖ قَالُوٓاْ أَتُحَدِّثُونَهُم بِمَا فَتَحَ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ لِيُحَآجُّوكُم بِهِۦ عِندَ رَبِّكُمۡۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
(Muhammad Rasool Allah par) iman laney walon se milte hain to kehte hain ke hum bhi unhein maante hain, aur jab aapas mein ek dusre se takhliye (private) ki baat chit hoti hai to kehte hain ke bewaqoof ho gaye ho? In logon ko woh baatein batate ho jo Allah ne tumpar kholi hain taa-ke tumhare Rubb ke paas tumhare muqable mein unhein hujjat mein pesh karein