Surah Al-Baqara Verse 93 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَكُمۡ وَرَفَعۡنَا فَوۡقَكُمُ ٱلطُّورَ خُذُواْ مَآ ءَاتَيۡنَٰكُم بِقُوَّةٖ وَٱسۡمَعُواْۖ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَعَصَيۡنَا وَأُشۡرِبُواْ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡعِجۡلَ بِكُفۡرِهِمۡۚ قُلۡ بِئۡسَمَا يَأۡمُرُكُم بِهِۦٓ إِيمَٰنُكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Phir zara us misaq (covenant) ko yaad karo jo Tur (mount Tur) ko tumhare upar utha kar humne tumse liya tha, humne taaqeed ki thi ke jo hidayaat hum de rahey hain, unki sakhti ke saath pabandi karo aur kaan laga kar suno. Tumhare aslaaf ne kaha ke humne sun liya, magar maanenge nahin aur inki baatil parasti ka yeh haal tha ke dilon mein unke bachda (calf) hi basa hua tha. Kaho: agar tum momin ho to yeh ajeeb iman hai jo aisi buri harakat ka tumhein hukum deta hai