Surah Taha Verse 40 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Tahaإِذۡ تَمۡشِيٓ أُخۡتُكَ فَتَقُولُ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ مَن يَكۡفُلُهُۥۖ فَرَجَعۡنَٰكَ إِلَىٰٓ أُمِّكَ كَيۡ تَقَرَّ عَيۡنُهَا وَلَا تَحۡزَنَۚ وَقَتَلۡتَ نَفۡسٗا فَنَجَّيۡنَٰكَ مِنَ ٱلۡغَمِّ وَفَتَنَّـٰكَ فُتُونٗاۚ فَلَبِثۡتَ سِنِينَ فِيٓ أَهۡلِ مَدۡيَنَ ثُمَّ جِئۡتَ عَلَىٰ قَدَرٖ يَٰمُوسَىٰ
Yaad kar jabke teri behan chal rahi thi, phir jaa kar kehti hai, “main tumhein uska pata doon jo is bacchey ki parwarish acchi tarah karey?” Is tarah humne tujhey phir teri Maa ke paas pahuncha diya taa-ke uski aankh thandi rahey aur woh ranjeeda na ho. Aur (yeh bhi yaad kar ke) tu nay ek shaks ko qatal kardiya tha, humne tujhey is phanday se nikala aur tujhey mukhtalif aazmaaishon se guzara aur tu Madiyan ke logon mein kai saal thehra raha. Phir ab theek apne waqt par tu aa gaya hai aey Moosa