Surah Al-Hajj Verse 18 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Hajjأَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ يَسۡجُدُۤ لَهُۥۤ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ وَٱلشَّمۡسُ وَٱلۡقَمَرُ وَٱلنُّجُومُ وَٱلۡجِبَالُ وَٱلشَّجَرُ وَٱلدَّوَآبُّ وَكَثِيرٞ مِّنَ ٱلنَّاسِۖ وَكَثِيرٌ حَقَّ عَلَيۡهِ ٱلۡعَذَابُۗ وَمَن يُهِنِ ٱللَّهُ فَمَا لَهُۥ مِن مُّكۡرِمٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَفۡعَلُ مَا يَشَآءُ۩
kya tu nahi dekh raha ke, Allah ke saamne sajde mein hai sab asmaano waale aur sab zameeno waale aur suraj aur chaandh aur sitaare aur pahaad aur daraqth aur jaanwar aur bahuth se insaan bhi, haan bahuth se wo bhi hai jin par azaab ka maqula saabiath ho chuka hai, jise rab zaleel karde ose koyi izzath dene wala nahi, Allah jo chahta hai karta hai