Surah Al-Qasas Verse 27 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Qasasقَالَ إِنِّيٓ أُرِيدُ أَنۡ أُنكِحَكَ إِحۡدَى ٱبۡنَتَيَّ هَٰتَيۡنِ عَلَىٰٓ أَن تَأۡجُرَنِي ثَمَٰنِيَ حِجَجٖۖ فَإِنۡ أَتۡمَمۡتَ عَشۡرٗا فَمِنۡ عِندِكَۖ وَمَآ أُرِيدُ أَنۡ أَشُقَّ عَلَيۡكَۚ سَتَجِدُنِيٓ إِن شَآءَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
us buzrug ne kaha main apni in duno ladkiyo mein se ek ko aap ke nikaah mein dena chahta hoon, is (meher par) ke aap aat (8)saal tak mera kaam kaaj kare, haan agar aap das saal pure kare to ye aap ki taraf se bataur ehsaan ke hain, main ye hargiz nahi chahta ke ap ko kisi mashaqqath mein daalo, Allah ko manzoor hai to aage chal kar aap mujhe bhala aadmi payenge