Surah Al-Ankaboot Verse 40 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Ankabootفَكُلًّا أَخَذۡنَا بِذَنۢبِهِۦۖ فَمِنۡهُم مَّنۡ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِ حَاصِبٗا وَمِنۡهُم مَّنۡ أَخَذَتۡهُ ٱلصَّيۡحَةُ وَمِنۡهُم مَّنۡ خَسَفۡنَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ وَمِنۡهُم مَّنۡ أَغۡرَقۡنَاۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيَظۡلِمَهُمۡ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
phir to har ek ko hum ne us ke gunaah ke wabaal mein giraftaar kar liya, un mein se baaz par hum ne pattharo ka meh barsaya aur un mein se baaz ko zoor daar saqth awaaz ne daboch liya aur un mein se baaz ko hum ne zameen mein dhasa diya aur un mein se baaz ko hum ne dubo diya, Allah ta’ala aisa nahi ke un par zulm kare, balke yahi log apni jaanu par zulm karte thein