Surah Al-Ahzab Verse 51 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Ahzab۞تُرۡجِي مَن تَشَآءُ مِنۡهُنَّ وَتُـٔۡوِيٓ إِلَيۡكَ مَن تَشَآءُۖ وَمَنِ ٱبۡتَغَيۡتَ مِمَّنۡ عَزَلۡتَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكَۚ ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَن تَقَرَّ أَعۡيُنُهُنَّ وَلَا يَحۡزَنَّ وَيَرۡضَيۡنَ بِمَآ ءَاتَيۡتَهُنَّ كُلُّهُنَّۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا فِي قُلُوبِكُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَلِيمٗا
Tumko ikhtiyar diya jata hai ke apni biwiyon mein se jisko chaho apne se alag rakkho, jisey chaho apne saath rakkho aur jisey chaho alag rakhne ke baad apne paas bula lo. Is maamle mein tumpar koi muzaiqa (blame) nahin hai. Is tarah zyada mutawaqqe (likely) hai ke unki aankhein thandi rahengi aur woh ranjeeda (grieve) na hongi. Aur jo kuch bhi tum unko dogey uspar woh sab raazi rahengi. Allah jaanta hai jo kuch tum logon ke dilon mein hai, aur Allah aleem o haleem(All-Forbearing) hai