Surah Al-Ahzab Verse 53 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Ahzabيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَدۡخُلُواْ بُيُوتَ ٱلنَّبِيِّ إِلَّآ أَن يُؤۡذَنَ لَكُمۡ إِلَىٰ طَعَامٍ غَيۡرَ نَٰظِرِينَ إِنَىٰهُ وَلَٰكِنۡ إِذَا دُعِيتُمۡ فَٱدۡخُلُواْ فَإِذَا طَعِمۡتُمۡ فَٱنتَشِرُواْ وَلَا مُسۡتَـٔۡنِسِينَ لِحَدِيثٍۚ إِنَّ ذَٰلِكُمۡ كَانَ يُؤۡذِي ٱلنَّبِيَّ فَيَسۡتَحۡيِۦ مِنكُمۡۖ وَٱللَّهُ لَا يَسۡتَحۡيِۦ مِنَ ٱلۡحَقِّۚ وَإِذَا سَأَلۡتُمُوهُنَّ مَتَٰعٗا فَسۡـَٔلُوهُنَّ مِن وَرَآءِ حِجَابٖۚ ذَٰلِكُمۡ أَطۡهَرُ لِقُلُوبِكُمۡ وَقُلُوبِهِنَّۚ وَمَا كَانَ لَكُمۡ أَن تُؤۡذُواْ رَسُولَ ٱللَّهِ وَلَآ أَن تَنكِحُوٓاْ أَزۡوَٰجَهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦٓ أَبَدًاۚ إِنَّ ذَٰلِكُمۡ كَانَ عِندَ ٱللَّهِ عَظِيمًا
Aey logon jo imaa laye ho, Nabi ke gharon mein bila ijazat na chale aaya karo, na khane ka waqt taakte raho. Haan agar tumhein khane par bulaya jaye to zaroor aao, magar jab khana khalo to muntashir (disperse) ho jaao, baatein karne mein na lagey raho. Tumhari yeh harakatein Nabi ko takleef deti hain, magar woh sharam ki wajah se kuch nahin kehte aur Allah haqq baat kehne mein nahin sharmata. Nabi ki biwiyon se agar tumhein kuch maangna ho to purday ke peechey se maanga karo. Yeh tumhare aur unke dilon ki paakeezgi ke liye zyada munasib tareeqa hai. Tumhare liye yeh hargiz jayiz nahin ke Allah ke Rasool ko takleef do, aur na yeh jayiz hai ke unke baad unki biwiyon se nikah karo.Yeh Allah ke nazdeek bahut bada gunaah hai