Surah Al-Hujraat Verse 9 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Hujraatوَإِن طَآئِفَتَانِ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ ٱقۡتَتَلُواْ فَأَصۡلِحُواْ بَيۡنَهُمَاۖ فَإِنۢ بَغَتۡ إِحۡدَىٰهُمَا عَلَى ٱلۡأُخۡرَىٰ فَقَٰتِلُواْ ٱلَّتِي تَبۡغِي حَتَّىٰ تَفِيٓءَ إِلَىٰٓ أَمۡرِ ٱللَّهِۚ فَإِن فَآءَتۡ فَأَصۡلِحُواْ بَيۡنَهُمَا بِٱلۡعَدۡلِ وَأَقۡسِطُوٓاْۖ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
Aur agar ehle imaan mein se do giroh aapas mein ladh jayein, to unke darmiyan sulah (peace) karao. Phir agar unmein se ek giroh dusre giroh se zyadati karey, to zyadati karne wale se ladho yahan tak ke woh Allah ke hukum ki taraf palat aaye. Phir agar woh palat aaye, to unke darmiyan adal ke saath sulah kara do, aur insaaf karo ke Allah insaaf karne walon ko pasand karta hai