Surah An-Najm Verse 32 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Najmٱلَّذِينَ يَجۡتَنِبُونَ كَبَـٰٓئِرَ ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡفَوَٰحِشَ إِلَّا ٱللَّمَمَۚ إِنَّ رَبَّكَ وَٰسِعُ ٱلۡمَغۡفِرَةِۚ هُوَ أَعۡلَمُ بِكُمۡ إِذۡ أَنشَأَكُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِ وَإِذۡ أَنتُمۡ أَجِنَّةٞ فِي بُطُونِ أُمَّهَٰتِكُمۡۖ فَلَا تُزَكُّوٓاْ أَنفُسَكُمۡۖ هُوَ أَعۡلَمُ بِمَنِ ٱتَّقَىٰٓ
Jo badey badey gunahon aur khule khule qabeeh afaal (shameful deeds) se parheiz karte hain, illa yeh ke kuch kasoor unse sarzad ho jaye. Bila shubhah tere Rubb ka daaman-e-magfirat bahut waseeh hai. Woh tumhein us waqt se khoob jaanta hai jab usne zameen se tumhein paida kiya, aur jab tum apni maaon (mothers) ke paiton (wombs) mein abhi janin (fetuses) hi thay. Pas apne nafs ki paaki ke daawe na karo. Wahi behtar jaanta hai ke waqai muttaqi kaun hai