Surah Al-Qamar - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
ٱقۡتَرَبَتِ ٱلسَّاعَةُ وَٱنشَقَّ ٱلۡقَمَرُ
Qayamat ki ghadi kareeb aa gayi aur chaand phatt (split) gaya
Surah Al-Qamar, Verse 1
وَإِن يَرَوۡاْ ءَايَةٗ يُعۡرِضُواْ وَيَقُولُواْ سِحۡرٞ مُّسۡتَمِرّٞ
Magar in logon ka haal yeh hai ke khwa koi nishani dekh lein mooh moadh jaatey hain aur kehte hain yeh to chalta hua jaadu hai
Surah Al-Qamar, Verse 2
وَكَذَّبُواْ وَٱتَّبَعُوٓاْ أَهۡوَآءَهُمۡۚ وَكُلُّ أَمۡرٖ مُّسۡتَقِرّٞ
Inhon ne (isko bhi) jhutla diya aur apni khwahishat-e-nafs hi ki pairwi ki.Har maamlay ko Aakhir-e-kaar ek anjaam par pahunch kar rehna hai
Surah Al-Qamar, Verse 3
وَلَقَدۡ جَآءَهُم مِّنَ ٱلۡأَنۢبَآءِ مَا فِيهِ مُزۡدَجَرٌ
In logon ke saamne (pichle qaumon ke) woh halaat aa chuke hain jinmein sarkashi se baaz rakhne ke liye kafi samaan-e-ibrat hai
Surah Al-Qamar, Verse 4
حِكۡمَةُۢ بَٰلِغَةٞۖ فَمَا تُغۡنِ ٱلنُّذُرُ
Aur aisi hikmat jo nasihat ke maqsad ko ba-darja-e-atam (consummate wisdom) pura karti hain magar tambihat(warnings) in par kaargar nahin hoti
Surah Al-Qamar, Verse 5
فَتَوَلَّ عَنۡهُمۡۘ يَوۡمَ يَدۡعُ ٱلدَّاعِ إِلَىٰ شَيۡءٖ نُّكُرٍ
Pas aey Nabi, insey rukh pher lo. Jis roz pukarne wala ek sakht nagawaar cheez ki taraf pukarega
Surah Al-Qamar, Verse 6
خُشَّعًا أَبۡصَٰرُهُمۡ يَخۡرُجُونَ مِنَ ٱلۡأَجۡدَاثِ كَأَنَّهُمۡ جَرَادٞ مُّنتَشِرٞ
Log sehmi hui (down-cast) nigaahon ke saath apni qabraon se is tarah niklenge goya woh bikhri huyi tiddiyan (locusts) hain
Surah Al-Qamar, Verse 7
مُّهۡطِعِينَ إِلَى ٱلدَّاعِۖ يَقُولُ ٱلۡكَٰفِرُونَ هَٰذَا يَوۡمٌ عَسِرٞ
Pukarne wale ki taraf daudey jaa rahey hongey Aur wahi munkireen (jo duniya mein iska inkar karte thay)us waqt kahenge ke yeh din to bada kathin hai
Surah Al-Qamar, Verse 8
۞كَذَّبَتۡ قَبۡلَهُمۡ قَوۡمُ نُوحٖ فَكَذَّبُواْ عَبۡدَنَا وَقَالُواْ مَجۡنُونٞ وَٱزۡدُجِرَ
Insey pehle Nooh ki qaum jhutla chuki hai. Unhon ne hamare bandey ko jhoota karar diya aur kaha ke yeh deewana hai, aur woh buri tarah jhidka (rebuffed) gaya
Surah Al-Qamar, Verse 9
فَدَعَا رَبَّهُۥٓ أَنِّي مَغۡلُوبٞ فَٱنتَصِرۡ
Aakhir-e-kaar usne apne Rubb ko pukara ke “main magloob ho chuka , ab tu inse inteqam le”
Surah Al-Qamar, Verse 10
فَفَتَحۡنَآ أَبۡوَٰبَ ٱلسَّمَآءِ بِمَآءٖ مُّنۡهَمِرٖ
Tab humne mausla-dhaar baarish se aasmaan ke darwaze khol diye aur zameen ko phaad kar chasmon mein tabdeel kar diya
Surah Al-Qamar, Verse 11
وَفَجَّرۡنَا ٱلۡأَرۡضَ عُيُونٗا فَٱلۡتَقَى ٱلۡمَآءُ عَلَىٰٓ أَمۡرٖ قَدۡ قُدِرَ
Aur yeh saara paani us kaam ko pura karne ke liye mil gaya jo mukaddar ho chuka tha
Surah Al-Qamar, Verse 12
وَحَمَلۡنَٰهُ عَلَىٰ ذَاتِ أَلۡوَٰحٖ وَدُسُرٖ
Aur Nooh ko humne ek takhaton(planks) aur keelon (nails) wali par sawar kar diya
Surah Al-Qamar, Verse 13
تَجۡرِي بِأَعۡيُنِنَا جَزَآءٗ لِّمَن كَانَ كُفِرَ
Jo hamari nigrani mein chal rahi thi .yeh tha badla us shaks ki khatir jiski na-qadri ki gayi thi
Surah Al-Qamar, Verse 14
وَلَقَد تَّرَكۡنَٰهَآ ءَايَةٗ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
Us kashti ko humne ek nishani bana kar chodh diya, phir koi hai nasihat qabool karne wala
Surah Al-Qamar, Verse 15
فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
Dekhlo, kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambihaat (warnings)
Surah Al-Qamar, Verse 16
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
Humne is Quran ko nasihat ke liye aasaan zariya bana diya hai, phir kya hai koi nasihat qabool karne wala
Surah Al-Qamar, Verse 17
كَذَّبَتۡ عَادٞ فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
Aad ne jhutlaya, to dekhlo ke kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambihaat (warnings)
Surah Al-Qamar, Verse 18
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِيحٗا صَرۡصَرٗا فِي يَوۡمِ نَحۡسٖ مُّسۡتَمِرّٖ
Humne ek paiham nahusat (unremitting misfortune) ke din sakht toofani hawa unpar bhej di jo logon ko utha utha kar is tarah phenk rahi thi
Surah Al-Qamar, Verse 19
تَنزِعُ ٱلنَّاسَ كَأَنَّهُمۡ أَعۡجَازُ نَخۡلٖ مُّنقَعِرٖ
Jaise woh jadd (roots) se ukhade huey khajoor ke taney (trunks) hon
Surah Al-Qamar, Verse 20
فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
Pas dekhlo ke kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambihaat (warnings)
Surah Al-Qamar, Verse 21
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
Humne is Quran ko nasihat ke liye aasaan zariya bana diya hai, phir kya hai koi nasihat qabool karne wala
Surah Al-Qamar, Verse 22
كَذَّبَتۡ ثَمُودُ بِٱلنُّذُرِ
Samood ne tambihaat ko jhutlaya
Surah Al-Qamar, Verse 23
فَقَالُوٓاْ أَبَشَرٗا مِّنَّا وَٰحِدٗا نَّتَّبِعُهُۥٓ إِنَّآ إِذٗا لَّفِي ضَلَٰلٖ وَسُعُرٍ
Aur kehne lagey “Ek akela aadmi jo hum hi mein se hai kya ab hum uske peechey chalein? Iska ittibaah hum qabool karlein to iske maani yeh hongey ke hum behak gaye hain aur hamari aqal maari gayi hai
Surah Al-Qamar, Verse 24
أَءُلۡقِيَ ٱلذِّكۡرُ عَلَيۡهِ مِنۢ بَيۡنِنَا بَلۡ هُوَ كَذَّابٌ أَشِرٞ
Kya hamare darmiyan bas yahi ek shaks tha jispar khuda ka zikr nazil kiya gaya? nahin, balke yeh parle darje ka jhoota aur bar-khud galat (insolent liar)hai”
Surah Al-Qamar, Verse 25
سَيَعۡلَمُونَ غَدٗا مَّنِ ٱلۡكَذَّابُ ٱلۡأَشِرُ
(Humne apne paigambar se kaha) “ Kal hi inhein maaloom hua jata hai ke kaun parle darje ka jhoota aur bar khud galat hai
Surah Al-Qamar, Verse 26
إِنَّا مُرۡسِلُواْ ٱلنَّاقَةِ فِتۡنَةٗ لَّهُمۡ فَٱرۡتَقِبۡهُمۡ وَٱصۡطَبِرۡ
Hum ountni (she-camel) ko inke liye fitna bana kar bhej rahe hain, ab zara sabr ke saath dekh ke inka kya anjaam hota hai
Surah Al-Qamar, Verse 27
وَنَبِّئۡهُمۡ أَنَّ ٱلۡمَآءَ قِسۡمَةُۢ بَيۡنَهُمۡۖ كُلُّ شِرۡبٖ مُّحۡتَضَرٞ
Inko jata de ke paani inke aur ountni(she-camel) ke darmiyaan takseem hoga aur har ek apni baari ke din paani par aayega”
Surah Al-Qamar, Verse 28
فَنَادَوۡاْ صَاحِبَهُمۡ فَتَعَاطَىٰ فَعَقَرَ
Aakhir-e-kaar un logon ne apne aadmi ko pukara aur usne is kaam ka beda uthaya aur ountni (she-camel) ko maar dala
Surah Al-Qamar, Verse 29
فَكَيۡفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ
Phir dekh lo ke kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambeehat (warnings)
Surah Al-Qamar, Verse 30
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ فَكَانُواْ كَهَشِيمِ ٱلۡمُحۡتَظِرِ
Humne unpar bas ek hi dhamaka chodha aur woh baade wale ki rondhi hui baad ke taraah bhus ho kar reh gaya. (Lo! We sent upon them one Shout, and they became as the dry twigs (rejected by) the builder of a cattle-fold
Surah Al-Qamar, Verse 31
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
Humne is Quran ko nasihat ke liye aasaan zariya bana diya hai, ab hai koi nasihat qabool karne wala
Surah Al-Qamar, Verse 32
كَذَّبَتۡ قَوۡمُ لُوطِۭ بِٱلنُّذُرِ
Lut ki qaum ne tambihat ko jhutlaya
Surah Al-Qamar, Verse 33
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ حَاصِبًا إِلَّآ ءَالَ لُوطٖۖ نَّجَّيۡنَٰهُم بِسَحَرٖ
Aur humne pattharao karne wali hawa is par bhej di. Sirf Lut ke ghar wale ussey mehfooz rahe
Surah Al-Qamar, Verse 34
نِّعۡمَةٗ مِّنۡ عِندِنَاۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي مَن شَكَرَ
Unko humne apne fazl se raat ke pichle pehar bacha kar nikal diya. Yeh jaza dete hai hum har us shaks ko jo shukar guzar hota hai
Surah Al-Qamar, Verse 35
وَلَقَدۡ أَنذَرَهُم بَطۡشَتَنَا فَتَمَارَوۡاْ بِٱلنُّذُرِ
Lut ne apni qaum ke logon ko hamari pakad se khabardaar kiya magar woh saari tambihat ko mashkuk (doubtful) samajh kar baaton mein udate rahey
Surah Al-Qamar, Verse 36
وَلَقَدۡ رَٰوَدُوهُ عَن ضَيۡفِهِۦ فَطَمَسۡنَآ أَعۡيُنَهُمۡ فَذُوقُواْ عَذَابِي وَنُذُرِ
Phir unhon ne usey apne mehmano ki hifazat se baaz rakhne ki koshish ki. Aakhir-e-kaar humne unki aankhein moond-di (blinded), ke chakkho ab mera azaab aur meri tambihaat ka maza
Surah Al-Qamar, Verse 37
وَلَقَدۡ صَبَّحَهُم بُكۡرَةً عَذَابٞ مُّسۡتَقِرّٞ
Subah sawerey hi ek atal azaab ne unko aa liya
Surah Al-Qamar, Verse 38
فَذُوقُواْ عَذَابِي وَنُذُرِ
Chakkho mazaa ab mere azaab ka aur meri tambihaat ka
Surah Al-Qamar, Verse 39
وَلَقَدۡ يَسَّرۡنَا ٱلۡقُرۡءَانَ لِلذِّكۡرِ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
Humne is Quran ko nasihat ke liye aasaan zariya bana diya hai, pas hai koi nasihat qabool karne wala
Surah Al-Qamar, Verse 40
وَلَقَدۡ جَآءَ ءَالَ فِرۡعَوۡنَ ٱلنُّذُرُ
Aur aal-e-Firoun ke paas bhi tambihaat aayi thi
Surah Al-Qamar, Verse 41
كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا كُلِّهَا فَأَخَذۡنَٰهُمۡ أَخۡذَ عَزِيزٖ مُّقۡتَدِرٍ
Magar unhon ne hamari saari nishaniyon ko jhutla diya. Aakhir ko humne unhein pakda jis taraah koi zabardast qudrat wala pakadta hai
Surah Al-Qamar, Verse 42
أَكُفَّارُكُمۡ خَيۡرٞ مِّنۡ أُوْلَـٰٓئِكُمۡ أَمۡ لَكُم بَرَآءَةٞ فِي ٱلزُّبُرِ
Kya tumhare kuffar kuch un logon se behtar hain? Ya aasmani kitaabon mein tumhare liye koi maafi likhi hui hai
Surah Al-Qamar, Verse 43
أَمۡ يَقُولُونَ نَحۡنُ جَمِيعٞ مُّنتَصِرٞ
Ya in logon ka kehna yeh hai ke hum ek mazboot jattha (jamaat) hain, apna bachao kar lengey
Surah Al-Qamar, Verse 44
سَيُهۡزَمُ ٱلۡجَمۡعُ وَيُوَلُّونَ ٱلدُّبُرَ
Ankareeb yeh jattha(jamaat) shikhast kha jayega aur yeh sab peeth pheir kar bhaagte nazar aayenge
Surah Al-Qamar, Verse 45
بَلِ ٱلسَّاعَةُ مَوۡعِدُهُمۡ وَٱلسَّاعَةُ أَدۡهَىٰ وَأَمَرُّ
Balke insey nimatne ke liye asal waade ka waqt to qayamat hai aur woh badi aafat aur zyaada talkh-saa-at (badi sakht aur kadwi cheez) hai
Surah Al-Qamar, Verse 46
إِنَّ ٱلۡمُجۡرِمِينَ فِي ضَلَٰلٖ وَسُعُرٖ
Yeh mujrim log dar haqeeqat galat fehmi mein mubtala hain aur inki aqal maari gayi hai
Surah Al-Qamar, Verse 47
يَوۡمَ يُسۡحَبُونَ فِي ٱلنَّارِ عَلَىٰ وُجُوهِهِمۡ ذُوقُواْ مَسَّ سَقَرَ
Jis roz yeh mooh ke bal aag mein ghaseetey jayenge us roz insey kaha jayega ke ab chakkho jahannum ki lapat ka maza
Surah Al-Qamar, Verse 48
إِنَّا كُلَّ شَيۡءٍ خَلَقۡنَٰهُ بِقَدَرٖ
Humne har cheez ek taqdeer ke saath paida ki hai
Surah Al-Qamar, Verse 49
وَمَآ أَمۡرُنَآ إِلَّا وَٰحِدَةٞ كَلَمۡحِۭ بِٱلۡبَصَرِ
Aur hamara hukum bas ek hi hukum hota hai aur palak jhapakate (twinkling of an eye) woh amal mein aa jata hai
Surah Al-Qamar, Verse 50
وَلَقَدۡ أَهۡلَكۡنَآ أَشۡيَاعَكُمۡ فَهَلۡ مِن مُّدَّكِرٖ
Tum jaisey bahut-soon ko hum halak kar chuke hain. Phir hai koi nasihat qabool karne wala
Surah Al-Qamar, Verse 51
وَكُلُّ شَيۡءٖ فَعَلُوهُ فِي ٱلزُّبُرِ
Jo kuch inhon ne kiya hai woh sab daftaron (office) mein darj hai
Surah Al-Qamar, Verse 52
وَكُلُّ صَغِيرٖ وَكَبِيرٖ مُّسۡتَطَرٌ
Aur har choti badi baat likhi hui maujood hai
Surah Al-Qamar, Verse 53
إِنَّ ٱلۡمُتَّقِينَ فِي جَنَّـٰتٖ وَنَهَرٖ
Nafarmani se parhez karne waley yaqeenan baaghon aur neharon mein hongey
Surah Al-Qamar, Verse 54
فِي مَقۡعَدِ صِدۡقٍ عِندَ مَلِيكٖ مُّقۡتَدِرِۭ
Sacchi izzat ki jagah, badey zeeh-iqtedar baadshah ke kareeb
Surah Al-Qamar, Verse 55