Surah At-Tahrim Verse 3 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah At-Tahrimوَإِذۡ أَسَرَّ ٱلنَّبِيُّ إِلَىٰ بَعۡضِ أَزۡوَٰجِهِۦ حَدِيثٗا فَلَمَّا نَبَّأَتۡ بِهِۦ وَأَظۡهَرَهُ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ عَرَّفَ بَعۡضَهُۥ وَأَعۡرَضَ عَنۢ بَعۡضٖۖ فَلَمَّا نَبَّأَهَا بِهِۦ قَالَتۡ مَنۡ أَنۢبَأَكَ هَٰذَاۖ قَالَ نَبَّأَنِيَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
(Aur yeh maamla bhi kaabil-e-tawajjuh hai ke ) Nabi ne ek baat apni ek biwi se raaz mein kahi thi phir jab us biwi ne (kisi aur par) woh raaz zahir kardiya, aur Allah ne Nabi ko is (ifshaey raaz) ki ittila de di , to Nabi ne uspar kisi hadd tak (us biwi ko) khabardar kiya aur kisi hadd tak ussey dar-guzar kiya. Phir jab Nabi ne usey (ifshaey raaz ki ) yeh baat batayi to usne pucha aapko iski kisne khabar di? Nabi ne kaha “Mujhey usne khabar di jo sab kuch janta hai aur khoob bakhabar hai”