Surah At-Tahrim Verse 8 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah At-Tahrimيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ تُوبُوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ تَوۡبَةٗ نَّصُوحًا عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يُكَفِّرَ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَيُدۡخِلَكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ يَوۡمَ لَا يُخۡزِي ٱللَّهُ ٱلنَّبِيَّ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥۖ نُورُهُمۡ يَسۡعَىٰ بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَبِأَيۡمَٰنِهِمۡ يَقُولُونَ رَبَّنَآ أَتۡمِمۡ لَنَا نُورَنَا وَٱغۡفِرۡ لَنَآۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aey logon jo iman laye ho, Allah se tauba karo, khalis tauba, baeed (door) nahin ke Allah tumhari buraiyan tumse dur karde aur tumhein aisi jannaton mein daakhil farmade jinke nichey nehrein beh rahi hongi, yeh woh din hoga jab Allah apne Nabi ko aur un logon ko jo uske saath iman laye hain ruswa na karega, unka noor unke aagey aagey aur unke dayein (right) jaanib daud raha hoga aur woh keh rahey hongey ke aey hamare Rubb, hamara noor hamare liye mukammal karde aur humse darguzar farma , tu har cheez par qudrat rakhta hai