Surah Al-Araf Verse 160 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَقَطَّعۡنَٰهُمُ ٱثۡنَتَيۡ عَشۡرَةَ أَسۡبَاطًا أُمَمٗاۚ وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ إِذِ ٱسۡتَسۡقَىٰهُ قَوۡمُهُۥٓ أَنِ ٱضۡرِب بِّعَصَاكَ ٱلۡحَجَرَۖ فَٱنۢبَجَسَتۡ مِنۡهُ ٱثۡنَتَا عَشۡرَةَ عَيۡنٗاۖ قَدۡ عَلِمَ كُلُّ أُنَاسٖ مَّشۡرَبَهُمۡۚ وَظَلَّلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلۡغَمَٰمَ وَأَنزَلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَنَّ وَٱلسَّلۡوَىٰۖ كُلُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا رَزَقۡنَٰكُمۡۚ وَمَا ظَلَمُونَا وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Aur humne us qaum ko barah (twelve) gharano mein takseem karke unhein mustaqil girohon ki shakal de di thi. Aur jab Moosa se uski qaum ne pani maanga to humne usko ishara kiya ke falaan chattan par apni lathi maaro. Chunanchey is chattan se yakayak barah chashme (twelve springs) phoot nikle aur har giroh ne apne pani lene ki jagah mutaiyyan karli. Humne unpar badal (cloud) ka saya kiya aur unpar mann o salwa (quails) utara, khao woh paak cheezein jo humne tumko bakshi hain magar iske baad unhon ne jo kuch kiya to humpar zulm nahin kiya balke aap apne hi upar zulm karte rahey