Surah Al-Araf Verse 169 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafفَخَلَفَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ خَلۡفٞ وَرِثُواْ ٱلۡكِتَٰبَ يَأۡخُذُونَ عَرَضَ هَٰذَا ٱلۡأَدۡنَىٰ وَيَقُولُونَ سَيُغۡفَرُ لَنَا وَإِن يَأۡتِهِمۡ عَرَضٞ مِّثۡلُهُۥ يَأۡخُذُوهُۚ أَلَمۡ يُؤۡخَذۡ عَلَيۡهِم مِّيثَٰقُ ٱلۡكِتَٰبِ أَن لَّا يَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّ وَدَرَسُواْ مَا فِيهِۗ وَٱلدَّارُ ٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ يَتَّقُونَۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Phir agli nasalon ke baad aisey na-khalaf log unke janasheen (sucessors) huey jo kitab e ilahi ke waris hokar isi duniya e dani ke faiyde (goods of this world) sameit-te hain aur kehdete hain ke tawaqqu hai humein maaf kardiya jayega. Aur agar wahi mataa e duniya phir saamne aati hai to phir lapak kar usey le lete hain. Kya unse kitaab ka ahad nahin liya ja chuka hai ke Allah ke naam par wahi baat kahein jo haqq ho? Aur yeh khud padh chuke hain jo kitab mein likha hai, aakhirat ki qayamgaah to khuda-tars logon ke liye hi behtar hai, kya tum itni si baat nahin samajhte