Surah Al-Araf Verse 187 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلسَّاعَةِ أَيَّانَ مُرۡسَىٰهَاۖ قُلۡ إِنَّمَا عِلۡمُهَا عِندَ رَبِّيۖ لَا يُجَلِّيهَا لِوَقۡتِهَآ إِلَّا هُوَۚ ثَقُلَتۡ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَا تَأۡتِيكُمۡ إِلَّا بَغۡتَةٗۗ يَسۡـَٔلُونَكَ كَأَنَّكَ حَفِيٌّ عَنۡهَاۖ قُلۡ إِنَّمَا عِلۡمُهَا عِندَ ٱللَّهِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Yeh log tumse puchte hain ke aakhir woh qayamat ki ghadi kab nazil hogi? Kaho“Iska ilm mere Rubb hi ke paas hai, usey apne waqt par wahi zahir karega. Aasmano aur zameen mein woh bada sakht waqt hoga. Woh tumpar achanak aa jayega”. Yeh log uske mutaaliq tumse is tarah puchte hain goya ke tum uski khoj mein lagey huey ho. Kaho, “uska ilm to sirf Allah ko hai magar aksar log is haqeeqat se na-waqif hain”