Surah Al-Araf Verse 195 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafأَلَهُمۡ أَرۡجُلٞ يَمۡشُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ أَيۡدٖ يَبۡطِشُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ أَعۡيُنٞ يُبۡصِرُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ ءَاذَانٞ يَسۡمَعُونَ بِهَاۗ قُلِ ٱدۡعُواْ شُرَكَآءَكُمۡ ثُمَّ كِيدُونِ فَلَا تُنظِرُونِ
Kya yeh paon (legs) rakhte hain ke unse chalein? Kya yeh haath rakhte hain ke unse pakadein? Kya yeh aankhein rakhte hain ke unse dekhein? Kya yeh kaan rakhte hain ke unse sunein? (Aey Muhammad), insey kaho ke “ bula lo apne thehraye huey shareekon ko phir tum sab mil kar mere khilaf tadbeerein (scheme/plot) karo aur mujhey hargiz mohlat na do