Surah Al-Araf Verse 35 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafيَٰبَنِيٓ ءَادَمَ إِمَّا يَأۡتِيَنَّكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَقُصُّونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِي فَمَنِ ٱتَّقَىٰ وَأَصۡلَحَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
(Aur yeh baat Allah ne aagaaz e takhleeq hi mein saaf farma di thi ke) aey bani Adam, yaad rakkho, agar tumhare paas khud tumhi mein se aisey Rasool aayein jo tumhein meri aayat suna rahey hon, to jo koi nafarmani se bachega aur apne rawayye ki islaah karlega uske liye kisi khauf aur ranjj ka mauqa nahin hai