Surah Al-Araf Verse 43 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَنَزَعۡنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنۡ غِلّٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهِمُ ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي هَدَىٰنَا لِهَٰذَا وَمَا كُنَّا لِنَهۡتَدِيَ لَوۡلَآ أَنۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُۖ لَقَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِٱلۡحَقِّۖ وَنُودُوٓاْ أَن تِلۡكُمُ ٱلۡجَنَّةُ أُورِثۡتُمُوهَا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Unke dilon mein ek dusre ke khilaf jo kuch kadurat (rancour) hogi usey hum nikal denge, unke nichey nehrein behti hongi, aur woh kahenge ke “taareef khuda hi ke liye hai jisne humein yeh raasta dikhaya, hum khud raah na paa sakte thay agar khuda hamari rehnumayi na karta. Hamare Rubb ke bheje huey Rasool waqayi Haqq hi lekar aaye thay”. Us waqt nida (voice) aayegi ke “ yeh jannat jiske tum waris banaye gaye ho tumhein un aamal ke badle mein mili hai jo tum karte rahey thay”