Surah Al-Muzzammil Verse 20 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Muzzammil۞إِنَّ رَبَّكَ يَعۡلَمُ أَنَّكَ تَقُومُ أَدۡنَىٰ مِن ثُلُثَيِ ٱلَّيۡلِ وَنِصۡفَهُۥ وَثُلُثَهُۥ وَطَآئِفَةٞ مِّنَ ٱلَّذِينَ مَعَكَۚ وَٱللَّهُ يُقَدِّرُ ٱلَّيۡلَ وَٱلنَّهَارَۚ عَلِمَ أَن لَّن تُحۡصُوهُ فَتَابَ عَلَيۡكُمۡۖ فَٱقۡرَءُواْ مَا تَيَسَّرَ مِنَ ٱلۡقُرۡءَانِۚ عَلِمَ أَن سَيَكُونُ مِنكُم مَّرۡضَىٰ وَءَاخَرُونَ يَضۡرِبُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ يَبۡتَغُونَ مِن فَضۡلِ ٱللَّهِ وَءَاخَرُونَ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ فَٱقۡرَءُواْ مَا تَيَسَّرَ مِنۡهُۚ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَقۡرِضُواْ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗاۚ وَمَا تُقَدِّمُواْ لِأَنفُسِكُم مِّنۡ خَيۡرٖ تَجِدُوهُ عِندَ ٱللَّهِ هُوَ خَيۡرٗا وَأَعۡظَمَ أَجۡرٗاۚ وَٱسۡتَغۡفِرُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمُۢ
aap ka rab ba-qoobi jaanta hai ke, aap aur aap ke saath ke logo ki, ek jamaath qareeb do tihaayi raath ke aur aadhi raath ke aur ek tihaayi raath ke tahajjud padti hai aur raath din ka pura andaaza Allah ta’ala ko hee hai, wo (qoob) jaanta hai ke tum ose hargiz na nibha sakoge, pas us ne tum par meherbaani ki, lehaaza jitna Qur’aan padna tumhaare liye asaan ho, utna hee pado, wo jaanta hai ke tum mein baaz bimaar bhi honge, baaz zameen mein chal phir kar Allah ta’ala ka fazl (yani rozi bhi) talaash karenge, aur kuch log Allah ta’ala ki raah mein jihaad bhi karenge, so tum ba-asaani jitna Qur’aan pad sako padho aur namaaz ki paabandi rakho aur zakaath dete raha karo aur Allah ta’ala ko accha qarz do aur jo neki tum apne liye aage bhejoge, ose Allah ta’ala ke haan behtar se behtar aur sawaab mein bahuth zyaada paoge, Allah ta’ala se maafi maangte raho, yaqinan Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai