Surah Yunus - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓرۚ تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡحَكِيمِ
Alif laam Raa, Yeh us kitab ki aayat hain jo hikmat o danish se labrez hai
Surah Yunus, Verse 1
أَكَانَ لِلنَّاسِ عَجَبًا أَنۡ أَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ رَجُلٖ مِّنۡهُمۡ أَنۡ أَنذِرِ ٱلنَّاسَ وَبَشِّرِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَنَّ لَهُمۡ قَدَمَ صِدۡقٍ عِندَ رَبِّهِمۡۗ قَالَ ٱلۡكَٰفِرُونَ إِنَّ هَٰذَا لَسَٰحِرٞ مُّبِينٌ
Kya logon ke liye yeh ek ajeeb baat ho gayi hai ke humne khud unhi mein se ek aadmi ko ishara kiya ke (gaflat mein padey huey) logon ko chauka de aur jo maan lein unko khush khabri de de ke unke liye unke Rubb ke paas sachhi izzat o sarfarazi hai? (Kya yahi woh baat hai jispar) munkireen ne kaha ke yeh shaks to khula jaadugar hai
Surah Yunus, Verse 2
إِنَّ رَبَّكُمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَۖ مَا مِن شَفِيعٍ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ إِذۡنِهِۦۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
Haqeeqat yeh hai ke tumahra Rubb wahi khuda hai jisne aasmano aur zameen ko chey (six) dino mein paida kiya, phir takht e hukumat par jalwa-gar hua aur qayinat ka intezaam chala raha hai. Koi shafaat (sifarish) karne wala nahin illa yeh ke iski ijazat ke baad shafaat karey. Yahi Allah tumhara Rubb hai lihaza tum usi ki ibadat karo. Phir kya tum hosh mein na aaogey
Surah Yunus, Verse 3
إِلَيۡهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقًّاۚ إِنَّهُۥ يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥ لِيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ بِٱلۡقِسۡطِۚ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ شَرَابٞ مِّنۡ حَمِيمٖ وَعَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ
Usi ki taraf tum sabko palat kar jana hai. Yeh Allah ka pakka wada hai. Beshak paidaish ki ibteda wahi karta hai, phir wahi dobara paida karega, taa-ke jo log iman laye aur jinhon ne neik aamaal kiye unko poorey insaf ke saath jaza de, aur jinhon ne kufr ka tareeqa ikhtiyar kiya woh khaulta(boiling) hua pani piyein aur dardnaak saza bhugtein us inkar e haqq ke padash mein jo woh karte rahey
Surah Yunus, Verse 4
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ ٱلشَّمۡسَ ضِيَآءٗ وَٱلۡقَمَرَ نُورٗا وَقَدَّرَهُۥ مَنَازِلَ لِتَعۡلَمُواْ عَدَدَ ٱلسِّنِينَ وَٱلۡحِسَابَۚ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ ذَٰلِكَ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۚ يُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Wahi hai jisne Suraj ko ujyala banaya aur chand ko chamak di aur chand ke ghatne badhne ki manzilein theek theek muqarrar kardi taa-ke tum ussey barason (years) aur tareekhon ke hisaab maloom karo. Allah ne yeh sab kuch (khel ke taur par nahin balke) ba-maqsad hi banaya hai. Woh apni nishaniyoun ko khol khol kar pesh kar raha hai un logon ke liye jo ilm rakhte hain
Surah Yunus, Verse 5
إِنَّ فِي ٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَمَا خَلَقَ ٱللَّهُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَتَّقُونَ
Yaqeenan raat aur din ke ulat pher mein aur har us cheez mein jo Allah ne zameen aur aasmano mein paida ki hai, nishaniyan hain un logon ke liye jo (galat beeni o galat rawi se) bachna chahte hain
Surah Yunus, Verse 6
إِنَّ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا وَرَضُواْ بِٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَٱطۡمَأَنُّواْ بِهَا وَٱلَّذِينَ هُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِنَا غَٰفِلُونَ
Haqeeqat yeh hai ke jo log humse milne ki tawaqqu (umeed) nahin rakhte aur duniya ki zindagi hi par razi aur mutmaeen ho gaye hain, aur jo log hamari nishaniyon se gafil hain
Surah Yunus, Verse 7
أُوْلَـٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُ بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Unka aakhri thikana jahannum hoga un buraiyon ki padash mein jinka iktisab woh (apne is galat aqeede aur galat tarz-e-amal ki wajah se) karte rahey
Surah Yunus, Verse 8
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ يَهۡدِيهِمۡ رَبُّهُم بِإِيمَٰنِهِمۡۖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهِمُ ٱلۡأَنۡهَٰرُ فِي جَنَّـٰتِ ٱلنَّعِيمِ
Aur yeh bhi haeeqat hai ke jo log iman laye (yani jinhon ne un sadaqaton ko qabool karliya jo is kitab mein pesh ki gayi hain) aur neik amal karte rahey unhein unka Rubb unke iman ki wajah se seedhi raah chalayega. Niyamat bhari jannaton mein unke nichey nehrein bahengi
Surah Yunus, Verse 9
دَعۡوَىٰهُمۡ فِيهَا سُبۡحَٰنَكَ ٱللَّهُمَّ وَتَحِيَّتُهُمۡ فِيهَا سَلَٰمٞۚ وَءَاخِرُ دَعۡوَىٰهُمۡ أَنِ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Wahan unki sada(pukar/awaz) yeh hogi ke “paak hai tu aey khuda”, unki dua yeh hogi ke “salamati ho: aur unki har baat ka khatma is par hoga ke “saari tareef Allah Rabbul Aalameen hi ke liye hai”
Surah Yunus, Verse 10
۞وَلَوۡ يُعَجِّلُ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ ٱلشَّرَّ ٱسۡتِعۡجَالَهُم بِٱلۡخَيۡرِ لَقُضِيَ إِلَيۡهِمۡ أَجَلُهُمۡۖ فَنَذَرُ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
Agar kahin Allah logon ke saath bura maamla karne mein bhi itni hi jaldi karta jitni woh duniya ki bhalayi maangne mein jaldi karte hain to unki mohlat e amal kabhi ki khatam kardi gayi hoti, (magar hamara yeh tareeqa nahin hai). Is liye hum un logon ko jo humse milne ki tawaqqu nahin rakhte unki sarkashi mein bhatakne ke liye chooth de detay hain
Surah Yunus, Verse 11
وَإِذَا مَسَّ ٱلۡإِنسَٰنَ ٱلضُّرُّ دَعَانَا لِجَنۢبِهِۦٓ أَوۡ قَاعِدًا أَوۡ قَآئِمٗا فَلَمَّا كَشَفۡنَا عَنۡهُ ضُرَّهُۥ مَرَّ كَأَن لَّمۡ يَدۡعُنَآ إِلَىٰ ضُرّٖ مَّسَّهُۥۚ كَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِلۡمُسۡرِفِينَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Insan ka haal yeh hai ke jab uspar koi sakht waqt aata hai to khade aur baithey aur letay (lying) humko pukarta hai, magar jab hum uski museebat taal dete hain to aisa chal naikalta hai ke goya usne kabhi apne kisi buray waqt par humko pukara hi na tha. Is tarah hadd se guzar janey walon ke liye unke kartoot khushnuma bana diye gaye hain
Surah Yunus, Verse 12
وَلَقَدۡ أَهۡلَكۡنَا ٱلۡقُرُونَ مِن قَبۡلِكُمۡ لَمَّا ظَلَمُواْ وَجَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَمَا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُواْۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Logon, Tumse pehle ki qaumon ko ( jo apne apne zamane mein bar sar e urooj thi) humne halaak kardiya jab unhon ne zulm ki rawish ikhtiyar ki aur unke Rasool unke paas khuli khuli nishaniyan lekar aaye aur unhon ne iman laa kar hi na diya. Is tarah hum mujreemon ko unke jarayim (crime) ka badla diya karte hain
Surah Yunus, Verse 13
ثُمَّ جَعَلۡنَٰكُمۡ خَلَـٰٓئِفَ فِي ٱلۡأَرۡضِ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ لِنَنظُرَ كَيۡفَ تَعۡمَلُونَ
Ab unke baad humne tumko zameen mein unki jagah di hai taa-ke dekhein tum kaise amal karte ho
Surah Yunus, Verse 14
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَاتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالَ ٱلَّذِينَ لَا يَرۡجُونَ لِقَآءَنَا ٱئۡتِ بِقُرۡءَانٍ غَيۡرِ هَٰذَآ أَوۡ بَدِّلۡهُۚ قُلۡ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أُبَدِّلَهُۥ مِن تِلۡقَآيِٕ نَفۡسِيٓۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّۖ إِنِّيٓ أَخَافُ إِنۡ عَصَيۡتُ رَبِّي عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
Jab unhein hamari saaf saaf baatein sunayi jati hain to woh log jo humse milne ki tawaqqu nahin rakhte, kehte hain ke “iske bajaye koi aur Quran lao ya is mein kuch tarmeem (changes) karo. (Aey Muhammad), insey kaho “ mera yeh kaam nahin hai ke apni taraf se is mein koi taghayyur o tabaddul karloon. Main to bas us wahee ka pairo(follower) hoon jo mere paas bheji jati hai. Agar main apne Rubb ki nafarmani karoon to mujhey ek baday haulnaak din ke azaab ka darr hai”
Surah Yunus, Verse 15
قُل لَّوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا تَلَوۡتُهُۥ عَلَيۡكُمۡ وَلَآ أَدۡرَىٰكُم بِهِۦۖ فَقَدۡ لَبِثۡتُ فِيكُمۡ عُمُرٗا مِّن قَبۡلِهِۦٓۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Aur kaho “agar Allah ki mashiyat na hoti to main yeh Quran tumhein kabhi na sunata aur Allah tumhein iski khabar tak na deta. Aakhir issey pehle main ek umar tumhare darmiyan guzaar chuka hoon. Kya tum aqal se kaam nahin letey
Surah Yunus, Verse 16
فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ
Phir ussey badhkar zalim aur kaun hoga jo ek jhooti baat ghadh kar Allah ki taraf mansooq karey ya Allah ki waqai aayat ko jhoot qarar de? Yaqeenan mujreem kabhi falaah nahin paa sakte”
Surah Yunus, Verse 17
وَيَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَضُرُّهُمۡ وَلَا يَنفَعُهُمۡ وَيَقُولُونَ هَـٰٓؤُلَآءِ شُفَعَـٰٓؤُنَا عِندَ ٱللَّهِۚ قُلۡ أَتُنَبِّـُٔونَ ٱللَّهَ بِمَا لَا يَعۡلَمُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Yeh log Allah ke siwa unki parastish kar rahey hain jo inko na nuksaan pahuncha sakte hain na nafaa (faiyda), aur kehte yeh hain ke yeh Allah ke haan hamare sifarishi hain. (Aey Muhammad), insey kaho “kya tum Allah ko us baat ki khabar dete ho jisey woh na aasmano mein jaanta hai na zameen mein?” Paak hai woh aur baala o bartar hai us shirk se jo yeh log karte hain
Surah Yunus, Verse 18
وَمَا كَانَ ٱلنَّاسُ إِلَّآ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ فَٱخۡتَلَفُواْۚ وَلَوۡلَا كَلِمَةٞ سَبَقَتۡ مِن رَّبِّكَ لَقُضِيَ بَيۡنَهُمۡ فِيمَا فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Ibtedaan (initially) sarey Insaan ek hi ummat thay, baad mein unhon ne mukhtalif aqeede aur maslak bana liye. Aur agar tere Rubb ki taraf se pehle hi ek baat tai na karli gayi hoti to jis cheez mein woh baham ikhtilaf kar rahey hain uska faisla kar diya jata
Surah Yunus, Verse 19
وَيَقُولُونَ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦۖ فَقُلۡ إِنَّمَا ٱلۡغَيۡبُ لِلَّهِ فَٱنتَظِرُوٓاْ إِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُنتَظِرِينَ
Aur yeh jo woh kehte hain ke is Nabi par uske Rubb ki taraf se koi nishani kyun na utari gayi, to unse kaho “gaib ka malik o mukhtar to Allah hi hai. Accha , intezar karo , main bhi tumhare saath intezar karta hoon”
Surah Yunus, Verse 20
وَإِذَآ أَذَقۡنَا ٱلنَّاسَ رَحۡمَةٗ مِّنۢ بَعۡدِ ضَرَّآءَ مَسَّتۡهُمۡ إِذَا لَهُم مَّكۡرٞ فِيٓ ءَايَاتِنَاۚ قُلِ ٱللَّهُ أَسۡرَعُ مَكۡرًاۚ إِنَّ رُسُلَنَا يَكۡتُبُونَ مَا تَمۡكُرُونَ
Logon ka haal yeh hai ke museebat ke baad jab hum unko rehmat ka maza chakhate hain to fawran hi woh hamari nishaniyon ke mamle mein chaal baaziyan shuru kardete hain. Insey kaho “Allah apni chaal mein tumse zyada teiz hai, uske Farishte tumhari sab makkariyon ko kalam-bandh (recording) kar rahey hain”
Surah Yunus, Verse 21
هُوَ ٱلَّذِي يُسَيِّرُكُمۡ فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِۖ حَتَّىٰٓ إِذَا كُنتُمۡ فِي ٱلۡفُلۡكِ وَجَرَيۡنَ بِهِم بِرِيحٖ طَيِّبَةٖ وَفَرِحُواْ بِهَا جَآءَتۡهَا رِيحٌ عَاصِفٞ وَجَآءَهُمُ ٱلۡمَوۡجُ مِن كُلِّ مَكَانٖ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُمۡ أُحِيطَ بِهِمۡ دَعَوُاْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ لَئِنۡ أَنجَيۡتَنَا مِنۡ هَٰذِهِۦ لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Woh Allah hi hai jo tumko khushki (land) aur tari (sea) mein chalata hai. Chunanche jab tum kashtiyon mein sawar hokar baad-e-mawafiq par farhan-o-shadan safar kar rahey hotey ho aur phir yakayak baad-e-mukhalif ka zoar hota hai (fierce gale appears) aur har taraf se maujon (waves) ke thapede lagte hain aur musafir samajh lete hain ke toofan mein ghir gaye, us waqt sab apne deen ko Allah hi ke liye khalis karke ussey duaein maangte hain ke “agar tu nay humko is bala se najat de di to hum shukar guzar banday banenge”
Surah Yunus, Verse 22
فَلَمَّآ أَنجَىٰهُمۡ إِذَا هُمۡ يَبۡغُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّۗ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنَّمَا بَغۡيُكُمۡ عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۖ مَّتَٰعَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ ثُمَّ إِلَيۡنَا مَرۡجِعُكُمۡ فَنُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Magar jab woh unko bacha leta hai to phir wahi log haqq se munharif hokar zameen mein bagawat karne lagte hain. Logon, tumhari yeh bagawat ulti tumhare hi khilaf padh rahi hai, duniya ke chandh roza mazey hain (loot lo), phir hamari taraf tumhein palat kar aana hai, us waqt hum tumhein bata denge ke tum kya kuch karte rahey ho
Surah Yunus, Verse 23
إِنَّمَا مَثَلُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا كَمَآءٍ أَنزَلۡنَٰهُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ فَٱخۡتَلَطَ بِهِۦ نَبَاتُ ٱلۡأَرۡضِ مِمَّا يَأۡكُلُ ٱلنَّاسُ وَٱلۡأَنۡعَٰمُ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَخَذَتِ ٱلۡأَرۡضُ زُخۡرُفَهَا وَٱزَّيَّنَتۡ وَظَنَّ أَهۡلُهَآ أَنَّهُمۡ قَٰدِرُونَ عَلَيۡهَآ أَتَىٰهَآ أَمۡرُنَا لَيۡلًا أَوۡ نَهَارٗا فَجَعَلۡنَٰهَا حَصِيدٗا كَأَن لَّمۡ تَغۡنَ بِٱلۡأَمۡسِۚ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَتَفَكَّرُونَ
Duniya ki yeh zindagi (jis ke nashey mein mast hokar tum hamari nishaniyoun se gaflat barat rahey ho) iski misaal aisi hai jaise aasman se humne apne pani barsaya to zameen ki paidawar , jisey aadmi aur jaanwar sab khate hain, khoob ghani ho gayi, phir ain us waqt jabke zameen apni bahaar par thi aur khetiyan bani sanwari khadi thi aur unke malik yeh samajh rahey thay ke ab hum insey faiyda uthane par qadir hain, yakayak raat ko ya din ko hamara hukum aa gaya aur humne usey aisa ghaarat karke rakh diya ke goya kal wahan kuch tha hi nahin. Is tarah hum nishaniyan khol khol kar pesh karte hain un logon ke liye jo sochne samajhe waley hain
Surah Yunus, Verse 24
وَٱللَّهُ يَدۡعُوٓاْ إِلَىٰ دَارِ ٱلسَّلَٰمِ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
(Tum is na payadar zindagi ke fareb mein mubtila ho rahey ho) aur Allah tumhein daar-us-salaam ki taraf dawat de raha hai, (hidayat uske ikhtiyar mein hai) jisko woh chahta hai seedha rasta dikha deta hai
Surah Yunus, Verse 25
۞لِّلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ ٱلۡحُسۡنَىٰ وَزِيَادَةٞۖ وَلَا يَرۡهَقُ وُجُوهَهُمۡ قَتَرٞ وَلَا ذِلَّةٌۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Jin logon ne bhalayi ka tareeqa ikhtiyar kiya unke liye bhalayi hai aur mazeed fazal, unke chehron par ru-siyahi aur zillat na chayegi (neither gloom nor humiliation). Woh jannat ke mustahiq hain jahan woh hamesha rahenge
Surah Yunus, Verse 26
وَٱلَّذِينَ كَسَبُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ جَزَآءُ سَيِّئَةِۭ بِمِثۡلِهَا وَتَرۡهَقُهُمۡ ذِلَّةٞۖ مَّا لَهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِنۡ عَاصِمٖۖ كَأَنَّمَآ أُغۡشِيَتۡ وُجُوهُهُمۡ قِطَعٗا مِّنَ ٱلَّيۡلِ مُظۡلِمًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Aur jin logon ne buraiyan kamayi unki burayi jaisi hai waisa hi woh badla payenge, zillat unpar musallat hogi, koi Allah se unko bachane wala na hoga, unke chehron par aisi tareeki chayi hui hogi jaise raat ke siyah(dark) purdey unpar padey huey hon. Woh dozakh ke mustahiq hain jahan woh hamesha rahenge
Surah Yunus, Verse 27
وَيَوۡمَ نَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا ثُمَّ نَقُولُ لِلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ مَكَانَكُمۡ أَنتُمۡ وَشُرَكَآؤُكُمۡۚ فَزَيَّلۡنَا بَيۡنَهُمۡۖ وَقَالَ شُرَكَآؤُهُم مَّا كُنتُمۡ إِيَّانَا تَعۡبُدُونَ
Jis roz hum in sab ko ek saath(apni adalat mein) ikattha karenge, phir un logon se jinhon ne shirk kiya hai kahenge ke thehar jao tum bhi aur tumhare banaye huey shareek bhi. Phir hum unke darmiyan se ajnabiyat ka purda hata denge aur unke shareek kahenge ke “tum hamari ibadat to nahin karte thay
Surah Yunus, Verse 28
فَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدَۢا بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمۡ إِن كُنَّا عَنۡ عِبَادَتِكُمۡ لَغَٰفِلِينَ
Hamare aur tumhare darmiyan Allah ki gawahi kafi hai ke (tum agar hamari ibadat karte bhi thay to) hum tumhari us ibadat se bilkul be-khabar thay.”
Surah Yunus, Verse 29
هُنَالِكَ تَبۡلُواْ كُلُّ نَفۡسٖ مَّآ أَسۡلَفَتۡۚ وَرُدُّوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ مَوۡلَىٰهُمُ ٱلۡحَقِّۖ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Us waqt har shaks apne kiya ka maza chakh lega, sab apne haqiqi malik ki taraf pher diye jayenge aur woh sarey jhoot jo unhon ne ghadh rakkhey thay ghum ho jayenge
Surah Yunus, Verse 30
قُلۡ مَن يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ أَمَّن يَمۡلِكُ ٱلسَّمۡعَ وَٱلۡأَبۡصَٰرَ وَمَن يُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَيُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتَ مِنَ ٱلۡحَيِّ وَمَن يُدَبِّرُ ٱلۡأَمۡرَۚ فَسَيَقُولُونَ ٱللَّهُۚ فَقُلۡ أَفَلَا تَتَّقُونَ
Inse poocho, kaun tumko aasman aur zameen se rizq deta hai? Yeh samaat (hearing) aur beenayi (vision) ki quwwatein kiske ikhtiyar mein hai? Kaun be-jaan mein se jaandaar ko aur jaandaar mein se be-jaan ko nikalta hai? Kaun is nazm e alam ki tadbeer kar raha hai(governs all affairs of the universe)? Woh zaroor kahenge ke Allah, Kaho phir tum (haqeeqat ke khilaf chalne se) parheiz nahin karte
Surah Yunus, Verse 31
فَذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمُ ٱلۡحَقُّۖ فَمَاذَا بَعۡدَ ٱلۡحَقِّ إِلَّا ٱلضَّلَٰلُۖ فَأَنَّىٰ تُصۡرَفُونَ
Tab to yahi Allah tumhara haqiqi Rubb hai phir haqq ke baad gumraahi ke siwa aur kya baqi reh gaya? Aakhir yeh tum kidhar phiraye jaa rahey ho
Surah Yunus, Verse 32
كَذَٰلِكَ حَقَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ عَلَى ٱلَّذِينَ فَسَقُوٓاْ أَنَّهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
(Aey Nabi, dekho) is tarah nafarmani ikhtiyar karne walon par tumhare Rubb ki baat sadiq aa gayi ke woh maan kar na denge
Surah Yunus, Verse 33
قُلۡ هَلۡ مِن شُرَكَآئِكُم مَّن يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥۚ قُلِ ٱللَّهُ يَبۡدَؤُاْ ٱلۡخَلۡقَ ثُمَّ يُعِيدُهُۥۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
Insey pucho, tumhare thehraye huye shareekon mein koi hai jo takhleeq(creation) ki ibteda bhi karta ho aur phir uska iaada bhi karey? Kaho woh sirf Allah hai jo takhleeq ki ibteda bhi karta hai aur uska iaada bhi, phir tum yeh kis ulti raah par chalaye jaa rahey ho
Surah Yunus, Verse 34
قُلۡ هَلۡ مِن شُرَكَآئِكُم مَّن يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلۡحَقِّۚ قُلِ ٱللَّهُ يَهۡدِي لِلۡحَقِّۗ أَفَمَن يَهۡدِيٓ إِلَى ٱلۡحَقِّ أَحَقُّ أَن يُتَّبَعَ أَمَّن لَّا يَهِدِّيٓ إِلَّآ أَن يُهۡدَىٰۖ فَمَا لَكُمۡ كَيۡفَ تَحۡكُمُونَ
Insey pucho, tumhare thehraye huey shareekon mein koi aisa bhi hai jo haqq ki taraf rehnumayi karta ho? Kaho woh sirf Allah hai jo haqq ki taraf rehnumayi karta hai. Phir bhala batao jo haqq ki taraf rehnumayi karta hai woh iska zyada mustahiq hai ke uski pairwi ki jaye ya woh jo khud raah nahin paata illa yeh ke uski rehnumayi ki jaye? Aakhir tumhein ho kya gaya hai, kaise ultey ultey faisle karte ho
Surah Yunus, Verse 35
وَمَا يَتَّبِعُ أَكۡثَرُهُمۡ إِلَّا ظَنًّاۚ إِنَّ ٱلظَّنَّ لَا يُغۡنِي مِنَ ٱلۡحَقِّ شَيۡـًٔاۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِمَا يَفۡعَلُونَ
Haqeeqat yeh hai ke in mein se aksar log mehaz qayas o guman (conjectures) ke peechey chaley jaa rahey hain, halanke gumaan haqq ki zaroorat ko kuch bhi poora nahin karta. Jo kuch yeh kar rahey hain Allah usko khoob jaanta hai
Surah Yunus, Verse 36
وَمَا كَانَ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ أَن يُفۡتَرَىٰ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلَٰكِن تَصۡدِيقَ ٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَتَفۡصِيلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا رَيۡبَ فِيهِ مِن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur yeh Quran woh cheez nahin hai jo Allah ki wahee o taleem ke bagair tasneef (composed/written) karliya jaye. Balke yeh to jo kuch pehle aa chuka tha uski tasdeeq aur al-kitab ki tafseel hai. Ismein koi shakk nahin ke yeh farmarawa-e-qayinaat ki taraf se hai
Surah Yunus, Verse 37
أَمۡ يَقُولُونَ ٱفۡتَرَىٰهُۖ قُلۡ فَأۡتُواْ بِسُورَةٖ مِّثۡلِهِۦ وَٱدۡعُواْ مَنِ ٱسۡتَطَعۡتُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Kya yeh log kehte hain ke paigambar ne isey khud tasneef karliya hai? Kaho “ agar tum apne is ilzaam mein sacchey ho to ek surat is jaisi tasneef kar lao aur ek khuda ko chodh kar jis jis ko bula sakte ho madad ke liye bula lo”
Surah Yunus, Verse 38
بَلۡ كَذَّبُواْ بِمَا لَمۡ يُحِيطُواْ بِعِلۡمِهِۦ وَلَمَّا يَأۡتِهِمۡ تَأۡوِيلُهُۥۚ كَذَٰلِكَ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Asal yeh hai ke jo cheez inke ilm ki giraft mein nahin aayi aur jiska ma’al bhi inke samne nahin aaya(whose final sequel was not apparent to them), usko inhon ne (khwa ma khwa atkal picchu) jhutla diya. Isi tarah to insey pehle ke log bhi jhutla chuke hain. Phir dekhlo un zalimon ka kya anjaam hua
Surah Yunus, Verse 39
وَمِنۡهُم مَّن يُؤۡمِنُ بِهِۦ وَمِنۡهُم مَّن لَّا يُؤۡمِنُ بِهِۦۚ وَرَبُّكَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُفۡسِدِينَ
In mein se kuch log iman layenge aur kuch nahin layenge. Aur tera Rubb un mufsidon(mischief-makers) ko khoob jaanta hai
Surah Yunus, Verse 40
وَإِن كَذَّبُوكَ فَقُل لِّي عَمَلِي وَلَكُمۡ عَمَلُكُمۡۖ أَنتُم بَرِيٓـُٔونَ مِمَّآ أَعۡمَلُ وَأَنَا۠ بَرِيٓءٞ مِّمَّا تَعۡمَلُونَ
Agar yeh tujhey jhutlate hain to kehde ke “mera amal mere liye hai aur tumhara amal tumhare liye. Jo kuch main karta hoon uski zimmedari se tum bari ho aur jo kuch tum kar rahey ho uski zimmedari se main bari hoon”
Surah Yunus, Verse 41
وَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُونَ إِلَيۡكَۚ أَفَأَنتَ تُسۡمِعُ ٱلصُّمَّ وَلَوۡ كَانُواْ لَا يَعۡقِلُونَ
In mein bahut se log hain jo teri baatein sunte hain, magar kya tu behron ko sunayega khwa woh kuch na samajte hon
Surah Yunus, Verse 42
وَمِنۡهُم مَّن يَنظُرُ إِلَيۡكَۚ أَفَأَنتَ تَهۡدِي ٱلۡعُمۡيَ وَلَوۡ كَانُواْ لَا يُبۡصِرُونَ
In mein bahut se log hain jo tujhey dekhte hain, magar kya tu andhon ko raah batayega khwa unhein kuch na soojhta ho
Surah Yunus, Verse 43
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَظۡلِمُ ٱلنَّاسَ شَيۡـٔٗا وَلَٰكِنَّ ٱلنَّاسَ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Haqeeqat yeh hai ke Allah logon par zulm nahin karta, log khud hi apne upar zulm karte hain
Surah Yunus, Verse 44
وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ كَأَن لَّمۡ يَلۡبَثُوٓاْ إِلَّا سَاعَةٗ مِّنَ ٱلنَّهَارِ يَتَعَارَفُونَ بَيۡنَهُمۡۚ قَدۡ خَسِرَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِلِقَآءِ ٱللَّهِ وَمَا كَانُواْ مُهۡتَدِينَ
(aaj yeh duniya ki zindagi mein mast hain) aur jis roz Allah inko ikattha karega to (yahi duniya ki zindagi inhein aisi mehsoos hogi) goya yeh mehaz ek ghadi bhar aapas mein jaan pehchan karne ko thehre thay . (Us waqt tehqeeq ho jayega ke) fil-waqey sakht ghatey (nuksan) mein rahey woh log jinhon ne Allah ki mulaqaat ko jhutlaya aur hargiz woh raah e raast par na thay
Surah Yunus, Verse 45
وَإِمَّا نُرِيَنَّكَ بَعۡضَ ٱلَّذِي نَعِدُهُمۡ أَوۡ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِلَيۡنَا مَرۡجِعُهُمۡ ثُمَّ ٱللَّهُ شَهِيدٌ عَلَىٰ مَا يَفۡعَلُونَ
Jin burey nataij se hum inhein dara rahey hain unka koi hissa hum tere jeete ji dikha dein ya issey pehle hi tujhey utha lein, bahar haal inhein aana hamari hi taraf hai aur jo kuch yeh kar rahey hain uspar Allah gawah hai
Surah Yunus, Verse 46
وَلِكُلِّ أُمَّةٖ رَّسُولٞۖ فَإِذَا جَآءَ رَسُولُهُمۡ قُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Har ummat ke liye ek Rasool hai phir jab kisi ummat ke paas uska Rasool aa jata hai to uska faisla purey insaf ke saath chuka diya jata hai aur uspar zara barabar zulm nahin kiya jata
Surah Yunus, Verse 47
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Kehte hain: agar tumhari yeh dhamki sacchi hai to aakhir yeh kab poori hogi
Surah Yunus, Verse 48
قُل لَّآ أَمۡلِكُ لِنَفۡسِي ضَرّٗا وَلَا نَفۡعًا إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۗ لِكُلِّ أُمَّةٍ أَجَلٌۚ إِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ فَلَا يَسۡتَـٔۡخِرُونَ سَاعَةٗ وَلَا يَسۡتَقۡدِمُونَ
Kaho “mere ikhtiyar mein khud apna nafa (faiyda) o zarar (harm) bhi nahin. Sab kuch Allah ki mashiyat par mauquf hai. Har ummat ke liye mohlat ki ek muddat hai, jab yeh muddat poori ho jati hai to ghadi bhar ki taqdeem o takheer(delay) bhi nahin hoti”
Surah Yunus, Verse 49
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَتَىٰكُمۡ عَذَابُهُۥ بَيَٰتًا أَوۡ نَهَارٗا مَّاذَا يَسۡتَعۡجِلُ مِنۡهُ ٱلۡمُجۡرِمُونَ
Insey kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke agar Allah ka azaab achanak raat ko ya din ko aa jaye (to tum kya kar sakte ho?) Aakhir yeh aisi kaunsi cheez hai jiske liye mujreem jaldi machayein
Surah Yunus, Verse 50
أَثُمَّ إِذَا مَا وَقَعَ ءَامَنتُم بِهِۦٓۚ ءَآلۡـَٰٔنَ وَقَدۡ كُنتُم بِهِۦ تَسۡتَعۡجِلُونَ
Kya jab woh tumpar aa padey usi waqt tum usey maanogey? Ab bachna chahte ho? Halanke tum khud hi iske jaldi aane ka takaza kar rahey thay
Surah Yunus, Verse 51
ثُمَّ قِيلَ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡخُلۡدِ هَلۡ تُجۡزَوۡنَ إِلَّا بِمَا كُنتُمۡ تَكۡسِبُونَ
Phir zalimon se kha jayega ke ab hamesha ke azaab ka maza chakho, jo kuch tum kamate rahey ho uski padash ke siwa aur kya badla tumko diya ja sakta hai
Surah Yunus, Verse 52
۞وَيَسۡتَنۢبِـُٔونَكَ أَحَقٌّ هُوَۖ قُلۡ إِي وَرَبِّيٓ إِنَّهُۥ لَحَقّٞۖ وَمَآ أَنتُم بِمُعۡجِزِينَ
Phir poochte hain kya waqayi yeh sach hai jo tum keh rahey ho? Kaho “ mere Rubb ki kasam, yeh bilkul sach hai aur tum itna bal-boota nahin rakhte ke usey zahoor mein aane se rok do”
Surah Yunus, Verse 53
وَلَوۡ أَنَّ لِكُلِّ نَفۡسٖ ظَلَمَتۡ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ لَٱفۡتَدَتۡ بِهِۦۗ وَأَسَرُّواْ ٱلنَّدَامَةَ لَمَّا رَأَوُاْ ٱلۡعَذَابَۖ وَقُضِيَ بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Agar har us shaks ke paas jisne zulm kiya hai, rooh e zameen ki daulat bhi ho to us azaab se bachne ke liye woh usey fidiya (expiation) mein dene par aamada ho jayega. Jab yeh log is azaab ko dekh lenge to dil hi dil mein pachtayenge magar unke darmiyan poorey insaf se faisla kiya jayega, koi zulm unpar na hoga
Surah Yunus, Verse 54
أَلَآ إِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ أَلَآ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Suno! Aasmaano aur zameen mein jo kuch hai Allah ka hai. Sun rakkho! Allah ka wada saccha hai magar aksar Insaan jantey nahin hain
Surah Yunus, Verse 55
هُوَ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Wahi zindagi bakshta hai aur wahi maut deta hai aur usi ki taraf tum sab ko palatna hai
Surah Yunus, Verse 56
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَتۡكُم مَّوۡعِظَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَشِفَآءٞ لِّمَا فِي ٱلصُّدُورِ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّلۡمُؤۡمِنِينَ
Logon! Tumhare paas tumhare Rubb ki taraf se naseehat aa gayi hai. Yeh woh cheez hai jo dilon ke amraz (marz) ki shifa hai aur jo isey qabool karlein unke liye rehnumayi aur rehmat hai
Surah Yunus, Verse 57
قُلۡ بِفَضۡلِ ٱللَّهِ وَبِرَحۡمَتِهِۦ فَبِذَٰلِكَ فَلۡيَفۡرَحُواْ هُوَ خَيۡرٞ مِّمَّا يَجۡمَعُونَ
(Aey Nabi), kaho ke “yeh allah ka fazal aur uski meharbani hai ke yeh cheez usne bheji, ispar to logon ko khushi manani chahiye. Yeh un sab cheezon se behtar hai jinhein log sameit rahey hain”
Surah Yunus, Verse 58
قُلۡ أَرَءَيۡتُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ لَكُم مِّن رِّزۡقٖ فَجَعَلۡتُم مِّنۡهُ حَرَامٗا وَحَلَٰلٗا قُلۡ ءَآللَّهُ أَذِنَ لَكُمۡۖ أَمۡ عَلَى ٱللَّهِ تَفۡتَرُونَ
(Aye Nabi ) Insey kaho, “ tum logon ne kabhi yeh bhi socha hai ke jo rizq Allah ne tumhare liye utara tha usmein se tumne khud hi kisi ko haram aur kisi ko halal thehra liya!”. Insey pucho, Allah ne tumko iski ijazat di thi? Ya tum Allah par iftara (forge lies ) kar rahey ho
Surah Yunus, Verse 59
وَمَا ظَنُّ ٱلَّذِينَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَشۡكُرُونَ
Jo log Allah par yeh jhoot iftara bandhte (invent lies) hain unka kya gumaan hai ke qayamat ke roz unsey kya maamla hoga? Allah to logon par mehrabani ki nazar rakhta hai magar aksar Insaan aisey hain jo shukar nahin karte
Surah Yunus, Verse 60
وَمَا تَكُونُ فِي شَأۡنٖ وَمَا تَتۡلُواْ مِنۡهُ مِن قُرۡءَانٖ وَلَا تَعۡمَلُونَ مِنۡ عَمَلٍ إِلَّا كُنَّا عَلَيۡكُمۡ شُهُودًا إِذۡ تُفِيضُونَ فِيهِۚ وَمَا يَعۡزُبُ عَن رَّبِّكَ مِن مِّثۡقَالِ ذَرَّةٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِي ٱلسَّمَآءِ وَلَآ أَصۡغَرَ مِن ذَٰلِكَ وَلَآ أَكۡبَرَ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٍ
(Aey Nabi), tum jis haal mein bhi hotey ho aur Quran mein se kuch bhi sunate ho, aur logon, tum bhi jo kuch karte ho us sab ke dauran mein hum tumko dekhte rehte hain. Koi zarra barabar cheez aasman aur zameen mein aisi nahin hai, na choti na badi, jo tere Rubb ki nazar se posheeda (chupi) ho aur ek saaf daftar mein darj na ho
Surah Yunus, Verse 61
أَلَآ إِنَّ أَوۡلِيَآءَ ٱللَّهِ لَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Suno! Jo Allah ke dost hain, jo iman laye aur jinhon ne taqwa ka rawayya ikhtiyar kiya
Surah Yunus, Verse 62
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَكَانُواْ يَتَّقُونَ
Unke liye kisi khauf aur ranjj ka mauqa nahin hai
Surah Yunus, Verse 63
لَهُمُ ٱلۡبُشۡرَىٰ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِۚ لَا تَبۡدِيلَ لِكَلِمَٰتِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Duniya aur aakhirat dono zindagiyon mein unke liye basharat (khush-khabri) hi basharat hai. Allah ki baatein badal nahin sakti. Yahi badi kamiyabi hai
Surah Yunus, Verse 64
وَلَا يَحۡزُنكَ قَوۡلُهُمۡۘ إِنَّ ٱلۡعِزَّةَ لِلَّهِ جَمِيعًاۚ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
(Aey Nabi)! Jo baatein yeh log tujhpar banate hain woh tujhey ranjeeda na karein. Izzat saari ki saari khuda ke ikhtiyar mein hai, aur woh sab kuch sunta aur jaanta hai
Surah Yunus, Verse 65
أَلَآ إِنَّ لِلَّهِ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَمَا يَتَّبِعُ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ شُرَكَآءَۚ إِن يَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ هُمۡ إِلَّا يَخۡرُصُونَ
Aagaah raho! Aasman ke basney waley hon ya zameen ke , sab ke sab Allah ke mamlooq hain aur jo log Allah ke siwa kuch (apne khud saakhta) shareekon ko pukar rahey hain woh nirey weham o guman (conjectures and are merely guessing) ke pairo hain aur mehaz qayas aaraiyan (merely guessing) karte hain
Surah Yunus, Verse 66
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلَّيۡلَ لِتَسۡكُنُواْ فِيهِ وَٱلنَّهَارَ مُبۡصِرًاۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَسۡمَعُونَ
Woh Allah hi hai jisne tumhare liye raat banayi ke usmein sukoon haasil karo aur din ko roshan banaya. Is mein nishaniyan hain un logon ke liye jo (khule kaano se paigambar ki dawat ko) sunte hain
Surah Yunus, Verse 67
قَالُواْ ٱتَّخَذَ ٱللَّهُ وَلَدٗاۗ سُبۡحَٰنَهُۥۖ هُوَ ٱلۡغَنِيُّۖ لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ إِنۡ عِندَكُم مِّن سُلۡطَٰنِۭ بِهَٰذَآۚ أَتَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Logon ne kehdiya ke Allah ne kisi ko beta banaya hai. Subhan Allah! Woh to be-niyaz hai. Aasmaano aur zameen mein jo kuch hai sab uski milk (milkiyat) hai. Tumhare paas is qaul ke liye aakhir daleel kya hai? Kya tum Allah ke mutaaliq woh baatein kehte ho jo tumhare ilm mein nahin hain
Surah Yunus, Verse 68
قُلۡ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ لَا يُفۡلِحُونَ
(Aey Muhammad), kehdo ke jo log Allah par jhoote iftara bandhte hain (invent lie) woh hargiz falaah nahin paa saktey
Surah Yunus, Verse 69
مَتَٰعٞ فِي ٱلدُّنۡيَا ثُمَّ إِلَيۡنَا مَرۡجِعُهُمۡ ثُمَّ نُذِيقُهُمُ ٱلۡعَذَابَ ٱلشَّدِيدَ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ
Duniya ki chandh roza zindagi mein mazey karlein, phir hamari taraf unko palatna hai phir hum is kufr ke badle jiska irteqab woh kar rahey hain unko sakht azaab ka maza chakkayenge
Surah Yunus, Verse 70
۞وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ نُوحٍ إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ إِن كَانَ كَبُرَ عَلَيۡكُم مَّقَامِي وَتَذۡكِيرِي بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَعَلَى ٱللَّهِ تَوَكَّلۡتُ فَأَجۡمِعُوٓاْ أَمۡرَكُمۡ وَشُرَكَآءَكُمۡ ثُمَّ لَا يَكُنۡ أَمۡرُكُمۡ عَلَيۡكُمۡ غُمَّةٗ ثُمَّ ٱقۡضُوٓاْ إِلَيَّ وَلَا تُنظِرُونِ
Inko Nooh ka qissa sunao, us waqt ka qissa jab usne apni qaum se kaha tha ke “aey biradraan e qaum, agar mera tumhare damiyan rehna aur Allah ki ayaat suna suna kar tumhein gaflat se bedaar karna tumhare liye na-qabil e bardasht ho gaya hai to mera bharosa Allah par hai.Tum apne thehraye huey shareekon ko saath lekar ek muttafiqa faisla karlo aur jo mansuba (plan) tumhare pesh e nazar ho usko khoob soch samajh lo taa-ke uska koi pehlu tumhari nigaah se posheeda na rahey, phir mere khilaf usko amal mein le aao aur mujhey hargiz mohlat na do
Surah Yunus, Verse 71
فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَمَا سَأَلۡتُكُم مِّنۡ أَجۡرٍۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَى ٱللَّهِۖ وَأُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Tumne meri naseehat se mooh moda (to mera kya nuksan kiya) main tumse kisi ajar ka talabgaar na tha, mera ajar to Allah ke zimme hai, aur mujhey hukum diya gaya hai ke (khwa koi maane ya na maane) main khud Muslim ban kar rahoon”
Surah Yunus, Verse 72
فَكَذَّبُوهُ فَنَجَّيۡنَٰهُ وَمَن مَّعَهُۥ فِي ٱلۡفُلۡكِ وَجَعَلۡنَٰهُمۡ خَلَـٰٓئِفَ وَأَغۡرَقۡنَا ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُنذَرِينَ
Unhon ne usey jhutlaya aur nateeja yeh hua ke humne usey aur un logon ko jo uske saath kashti mein thay, bacha liya aur unhi ko zameen mein janashin (successors) banaya aur un sab logon ko garq (drown) kardiya jinhon ne hamari aayat ko jhutlaya tha. Pas dekhlo ke jinhein mutanabbeh (warn) kiya gaya tha (aur phir bhi unhon ne maan kar na diya) unka kya anjaam hua
Surah Yunus, Verse 73
ثُمَّ بَعَثۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِۦ رُسُلًا إِلَىٰ قَوۡمِهِمۡ فَجَآءُوهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَمَا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُواْ بِمَا كَذَّبُواْ بِهِۦ مِن قَبۡلُۚ كَذَٰلِكَ نَطۡبَعُ عَلَىٰ قُلُوبِ ٱلۡمُعۡتَدِينَ
Phir Nooh ke baad humne mukhtalif paigambaron ko unki qaumon ki taraf bheja aur woh unke paas khuli khuli nishaniyan lekar aaye, magar jis cheez ko unhon ne pehle jhutla diya tha usey phir maan kar na diya. Is tarah hum hadd se guzar janey walon ke dilon par thappa laga dete hain
Surah Yunus, Verse 74
ثُمَّ بَعَثۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِم مُّوسَىٰ وَهَٰرُونَ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ بِـَٔايَٰتِنَا فَٱسۡتَكۡبَرُواْ وَكَانُواْ قَوۡمٗا مُّجۡرِمِينَ
Phir unke baad humne Moosa aur Haroon ko apni nishaniyon ke sath Firoun aur uske sardaron ki taraf bheja, magar unhon ne apni badayi ka ghamand kiya aur woh mujreem log thay
Surah Yunus, Verse 75
فَلَمَّا جَآءَهُمُ ٱلۡحَقُّ مِنۡ عِندِنَا قَالُوٓاْ إِنَّ هَٰذَا لَسِحۡرٞ مُّبِينٞ
Pas jab hamare paas se haqq unke saamne aaya to unhon ne kehdiya ke yeh to khula jaadu hai
Surah Yunus, Verse 76
قَالَ مُوسَىٰٓ أَتَقُولُونَ لِلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَكُمۡۖ أَسِحۡرٌ هَٰذَا وَلَا يُفۡلِحُ ٱلسَّـٰحِرُونَ
Moosa ne kaha: “tum haqq ko yeh kehte ho jabke woh tumhare saamne aa gaya, kya yeh jaadu hai? Halanke jaadugar falaah nahin paya karte”
Surah Yunus, Verse 77
قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا لِتَلۡفِتَنَا عَمَّا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَا وَتَكُونَ لَكُمَا ٱلۡكِبۡرِيَآءُ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا نَحۡنُ لَكُمَا بِمُؤۡمِنِينَ
Unhon ne jawab mein kaha “kya tu is liye aaya hai ke humein us tareeqe se pher de jispar humne apne baap dada ko paya hai aur zameen mein badayi tum dono ki qayam ho jaye? Tumhari baat to hum maanne waley nahin hain”
Surah Yunus, Verse 78
وَقَالَ فِرۡعَوۡنُ ٱئۡتُونِي بِكُلِّ سَٰحِرٍ عَلِيمٖ
Aur Firoun ne (apne aadmiyon se) kaha ke “ har maahir-e-fun (expert) jaadugar ko mere paas haazir karo”
Surah Yunus, Verse 79
فَلَمَّا جَآءَ ٱلسَّحَرَةُ قَالَ لَهُم مُّوسَىٰٓ أَلۡقُواْ مَآ أَنتُم مُّلۡقُونَ
Jab jaadugar aa gaye to moosa ne unsey kaha “jo kuch tumhein phenkna hai phenko.”
Surah Yunus, Verse 80
فَلَمَّآ أَلۡقَوۡاْ قَالَ مُوسَىٰ مَا جِئۡتُم بِهِ ٱلسِّحۡرُۖ إِنَّ ٱللَّهَ سَيُبۡطِلُهُۥٓ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُصۡلِحُ عَمَلَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Phir jab unhon ne apne anchar phenk [cast (their staffs)] diye to Moosa ne kaha, “ yeh jo kuch tumne phenka hai yeh jaadu hai, Allah abhi isey baatil kiye deta hai, mufsidon(mischief-makers) ke kaam ko Allah sudharne nahin deta
Surah Yunus, Verse 81
وَيُحِقُّ ٱللَّهُ ٱلۡحَقَّ بِكَلِمَٰتِهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُجۡرِمُونَ
Aur Allah apne farmaano se haqq ko haqq kar dikhata hai, khwa mujreemo ko woh kitna hi nagawar ho”
Surah Yunus, Verse 82
فَمَآ ءَامَنَ لِمُوسَىٰٓ إِلَّا ذُرِّيَّةٞ مِّن قَوۡمِهِۦ عَلَىٰ خَوۡفٖ مِّن فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِمۡ أَن يَفۡتِنَهُمۡۚ وَإِنَّ فِرۡعَوۡنَ لَعَالٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَإِنَّهُۥ لَمِنَ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
(Phir dekho ke) Moosa ko uski qaum mein se chandh nawjawano ke siwa kisi ne na maana, Firoun ke darr se aur khud apni qaum ke sarbar-awardah (own chiefs )logon ke darr se (jinhein khauf tha ke) Firoun unko azaab mein mubtala karega. Aur waqiya yeh hai ke Firoun zameen mein galba rakhta tha aur woh un logon mein se tha jo kisi hadd par rukte nahin hain
Surah Yunus, Verse 83
وَقَالَ مُوسَىٰ يَٰقَوۡمِ إِن كُنتُمۡ ءَامَنتُم بِٱللَّهِ فَعَلَيۡهِ تَوَكَّلُوٓاْ إِن كُنتُم مُّسۡلِمِينَ
Mossa ne apni qaum se kaha ke “logon, agar tum waqayi Allah par iman rakhte ho to uspar bharosa karo agar musalman ho”
Surah Yunus, Verse 84
فَقَالُواْ عَلَى ٱللَّهِ تَوَكَّلۡنَا رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Unhon ne jawab diya “humne Allah hi par bharosa kiya, aey hamare Rubb, humein zalim logon ke liye fitna na bana
Surah Yunus, Verse 85
وَنَجِّنَا بِرَحۡمَتِكَ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aur apni rehmat se humko kafiron se nijaat de.”
Surah Yunus, Verse 86
وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰ وَأَخِيهِ أَن تَبَوَّءَا لِقَوۡمِكُمَا بِمِصۡرَ بُيُوتٗا وَٱجۡعَلُواْ بُيُوتَكُمۡ قِبۡلَةٗ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur humne Moosa aur uske bhai ko ishara kiya ke “Misr (Egypt) mein chandh makaan apni qaum ke liye muhaiyya karo aur apne in makaano (houses) ko qibla thehra lo aur namaz qayam karo aur ehle imaan ko basharat (khush khabri) de do”
Surah Yunus, Verse 87
وَقَالَ مُوسَىٰ رَبَّنَآ إِنَّكَ ءَاتَيۡتَ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَأَهُۥ زِينَةٗ وَأَمۡوَٰلٗا فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا رَبَّنَا لِيُضِلُّواْ عَن سَبِيلِكَۖ رَبَّنَا ٱطۡمِسۡ عَلَىٰٓ أَمۡوَٰلِهِمۡ وَٱشۡدُدۡ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُواْ حَتَّىٰ يَرَوُاْ ٱلۡعَذَابَ ٱلۡأَلِيمَ
Moosa ne dua ki “Aey hamare Rubb, tu nay Firoun aur uske sardaron ko duniya ki zindagi mein zeenat aur amwal (maal) se nawaz rakkha hai. Aey Rubb! Kya yeh is liye hai ke woh logon ko teri raah se bhatkayein? Aey Rubb, unke maal gharat (obliterate) karde aur unke dilon par aisi mohar karde ke iman na layein jab tak dardnaak azaab na dekh lein”
Surah Yunus, Verse 88
قَالَ قَدۡ أُجِيبَت دَّعۡوَتُكُمَا فَٱسۡتَقِيمَا وَلَا تَتَّبِعَآنِّ سَبِيلَ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ
Allah taala ne jawab mein farmaya “tum dono ki dua qabool ki gayi, Sabit-qadam (steadfast) raho aur un logon ke tareeqe ki hargiz pairwi na karo jo ilm nahin rakhte”
Surah Yunus, Verse 89
۞وَجَٰوَزۡنَا بِبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱلۡبَحۡرَ فَأَتۡبَعَهُمۡ فِرۡعَوۡنُ وَجُنُودُهُۥ بَغۡيٗا وَعَدۡوًاۖ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَدۡرَكَهُ ٱلۡغَرَقُ قَالَ ءَامَنتُ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا ٱلَّذِيٓ ءَامَنَتۡ بِهِۦ بَنُوٓاْ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَأَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Aur hum bani Israel ko samandar se guzar le gaye phir Firoun aur uske lashkar zulm aur zyadati ki garz se unke peechey chale hatta ke jab Firoun doobne laga to bol uttha “maine maan liya ke khudawand e haqiqi uske siwa koi nahin hai jispar bani Israel iman laye, aur main bhi sar e itaat jhuka dene walon mein se hoon”
Surah Yunus, Verse 90
ءَآلۡـَٰٔنَ وَقَدۡ عَصَيۡتَ قَبۡلُ وَكُنتَ مِنَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
(jawab diya gaya) ab iman lata hai ! halanke issey pehle tak tu nafarmani karta raha aur fasaad barpa karne walon (mischief-makers) mein se tha
Surah Yunus, Verse 91
فَٱلۡيَوۡمَ نُنَجِّيكَ بِبَدَنِكَ لِتَكُونَ لِمَنۡ خَلۡفَكَ ءَايَةٗۚ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِ عَنۡ ءَايَٰتِنَا لَغَٰفِلُونَ
Ab to hum sirf teri laash (dead body) hi ko bachayenge taa-ke tu baad ki nasalon ke liye nishan e ibrat baney agarche bahut se Insaan aisey hain jo hamari nishaniyon se gaflat barat-te hain”
Surah Yunus, Verse 92
وَلَقَدۡ بَوَّأۡنَا بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ مُبَوَّأَ صِدۡقٖ وَرَزَقۡنَٰهُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ فَمَا ٱخۡتَلَفُواْ حَتَّىٰ جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُۚ إِنَّ رَبَّكَ يَقۡضِي بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Humne bani Israel ko bahut accha thikana diya aur nihayat umdah wasail e zindagi unhein ata kiye, phir unhon ne baham ikhtilaf nahin kiya magar us waqt jabke ilm unke paas aa chuka tha. Yaqeenan tera Rubb qayamat ke roz unke darmiyan us cheez ka faisla kardega jismein woh ikhtilaf karte rahey hain
Surah Yunus, Verse 93
فَإِن كُنتَ فِي شَكّٖ مِّمَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ فَسۡـَٔلِ ٱلَّذِينَ يَقۡرَءُونَ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكَۚ لَقَدۡ جَآءَكَ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ فَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُمۡتَرِينَ
Ab agar tujhey us hidayat ki taraf se kuch bhi shakk ho jo humne tujhpar nazil ki hai to un logon se pooch le jo pehle se kitab padh rahey hain. Fil-waqeh yeh tere paas haqq hi aaya hai tere Rubb ki taraf se, lihaza tu shakk karne walon mein se na ho
Surah Yunus, Verse 94
وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَتَكُونَ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Aur un logon mein na shamil ho jinhon ne Allah ki aayat ko jhutlaya hai, warna tu nuksaan uthane walon mein se hoga
Surah Yunus, Verse 95
إِنَّ ٱلَّذِينَ حَقَّتۡ عَلَيۡهِمۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ لَا يُؤۡمِنُونَ
Haqeeqat yeh hai ke jin logon par tere Rubb ka qaul raast aa gaya hai(word of your Lord has been fulfilled) unke saamne khwa koi nishani aa jaye
Surah Yunus, Verse 96
وَلَوۡ جَآءَتۡهُمۡ كُلُّ ءَايَةٍ حَتَّىٰ يَرَوُاْ ٱلۡعَذَابَ ٱلۡأَلِيمَ
Woh kabhi iman laa kar nahin dete jab tak ke dardnaak azaab saamne aata na dekh lein
Surah Yunus, Verse 97
فَلَوۡلَا كَانَتۡ قَرۡيَةٌ ءَامَنَتۡ فَنَفَعَهَآ إِيمَٰنُهَآ إِلَّا قَوۡمَ يُونُسَ لَمَّآ ءَامَنُواْ كَشَفۡنَا عَنۡهُمۡ عَذَابَ ٱلۡخِزۡيِ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَمَتَّعۡنَٰهُمۡ إِلَىٰ حِينٖ
Phir kya aisi koi misaal hai ke ek basti azaab dekh kar iman layi ho aur uska iman uske liye nafa baksh sabit hua ho? Yunus ki qaum ke siwa (iski koi nazeer nahin) woh qaum jab iman le aayi thi to albatta humne uspar se duniya ki zindagi mein ruswayi ka azaab taal diya tha aur usko ek muddat tak zindagi se behramand honay ka mauqa de diya tha
Surah Yunus, Verse 98
وَلَوۡ شَآءَ رَبُّكَ لَأٓمَنَ مَن فِي ٱلۡأَرۡضِ كُلُّهُمۡ جَمِيعًاۚ أَفَأَنتَ تُكۡرِهُ ٱلنَّاسَ حَتَّىٰ يَكُونُواْ مُؤۡمِنِينَ
Agar tere Rubb ki mashiyat (will) yeh hoti (ke zameen mein sab momin o farmabardar hi hon) to sarey ehle zameen iman le aaye hotey. Phir kya tu logon ko majboor karega ke woh momin ho jayein
Surah Yunus, Verse 99
وَمَا كَانَ لِنَفۡسٍ أَن تُؤۡمِنَ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَيَجۡعَلُ ٱلرِّجۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ لَا يَعۡقِلُونَ
Koi mutanaffis Allah ke izan ke bagair iman nahin laa sakta, aur Allah ka tareeqa yeh hai ke jo log aqal se kaam nahin letay unpar gandagi daal deta hai
Surah Yunus, Verse 100
قُلِ ٱنظُرُواْ مَاذَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَمَا تُغۡنِي ٱلۡأٓيَٰتُ وَٱلنُّذُرُ عَن قَوۡمٖ لَّا يُؤۡمِنُونَ
Insey kaho “zameen aur aasmano mein jo kuch hai usey ankhein khol kar dekho” aur jo log iman lana hi nahin chahte unke liye nishaniyan aur tambeehein (warnings) aakhir kya mufeed ho sakti hain
Surah Yunus, Verse 101
فَهَلۡ يَنتَظِرُونَ إِلَّا مِثۡلَ أَيَّامِ ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلِهِمۡۚ قُلۡ فَٱنتَظِرُوٓاْ إِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُنتَظِرِينَ
Ab yeh log iske siwa aur kis cheez ke muntazir hain ke wahi burey din dekhein jo inse pehle guzre huey log dekh chuke hain? Insey kaho “accha, intezar karo, main bhi tumhare saath intezar karta hoon”
Surah Yunus, Verse 102
ثُمَّ نُنَجِّي رُسُلَنَا وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ كَذَٰلِكَ حَقًّا عَلَيۡنَا نُنجِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Phir (jab aisa waqt aata hai to) hum apne Rasoolon ko aur un logon ko bacha liya karte hain jo iman laye hon. Hamara yahi tareeqa hai. Humpar yeh haqq hai ke momino ko bacha lein
Surah Yunus, Verse 103
قُلۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِن كُنتُمۡ فِي شَكّٖ مِّن دِينِي فَلَآ أَعۡبُدُ ٱلَّذِينَ تَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلَٰكِنۡ أَعۡبُدُ ٱللَّهَ ٱلَّذِي يَتَوَفَّىٰكُمۡۖ وَأُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
(Aey Nabi!) kehdo ke logon, agar tum abhi tak mere deen ke mutaliq kisi shakk mein ho to sunlo ke tum Allah ke siwa jinki bandagi karte ho main unki bandagi nahin karta, balke sirf usi khuda ki bandagi karta hoon jiske qabze mein tumhari maut hai. Mujhey hukum diya gaya hai ke main iman laney walon mein se hoon
Surah Yunus, Verse 104
وَأَنۡ أَقِمۡ وَجۡهَكَ لِلدِّينِ حَنِيفٗا وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Aur mujhse farmaya gaya hai ke tu yaksu hokar apne aap ko theek theek is deen par qayam karde, aur hargiz hargiz mushrikon mein se na ho
Surah Yunus, Verse 105
وَلَا تَدۡعُ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُكَ وَلَا يَضُرُّكَۖ فَإِن فَعَلۡتَ فَإِنَّكَ إِذٗا مِّنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur Allah ko chodh kar kisi aisi hasti ko na pukar jo tujhey na faiyda pahuncha sakti hai na nuksan. Agar tu aisa karega to zalimon mein se hoga
Surah Yunus, Verse 106
وَإِن يَمۡسَسۡكَ ٱللَّهُ بِضُرّٖ فَلَا كَاشِفَ لَهُۥٓ إِلَّا هُوَۖ وَإِن يُرِدۡكَ بِخَيۡرٖ فَلَا رَآدَّ لِفَضۡلِهِۦۚ يُصِيبُ بِهِۦ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ
Agar Allah tujhey kisi museebat mein daley to khud uske siwa koi nahin jo is museebat ko taal de, aur agar woh tere haqq mein kisi bhalayi ka irada karey to uske fazal ko pherne wala bhi koi nahin hai. Woh apne bandon mein se jisko chahta hai apne fazal se nawazta hai aur woh darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah Yunus, Verse 107
قُلۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُمُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكُمۡۖ فَمَنِ ٱهۡتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهۡتَدِي لِنَفۡسِهِۦۖ وَمَن ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيۡهَاۖ وَمَآ أَنَا۠ عَلَيۡكُم بِوَكِيلٖ
(Aey Muhammad), kehdo ke “logon , tumhare paas tumhare Rubb ki taraf se haqq aa chuka hai, ab jo seedhi raah ikhtiyar karey uski raast-rawi usi ke liye mufeed hai, aur jo gumraah rahey uski gumraahi usi ke liye tabah-kun hai. Aur main tumhare upar koi hawaladaar nahin hoon”
Surah Yunus, Verse 108
وَٱتَّبِعۡ مَا يُوحَىٰٓ إِلَيۡكَ وَٱصۡبِرۡ حَتَّىٰ يَحۡكُمَ ٱللَّهُۚ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡحَٰكِمِينَ
Aur (aey Nabi), tum is hidayat ki pairwi kiye jao jo tumhari taraf bazariye wahee (revelation) bheji jaa rahi hai, aur sabr karo yahan tak ke Allah faisla karde, aur wahi behtareen faisla karne wala hai
Surah Yunus, Verse 109