Surah At-Taubah - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
بَرَآءَةٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦٓ إِلَى ٱلَّذِينَ عَٰهَدتُّم مِّنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Elan e baraat (immunity) hai Allah aur uske Rasool ki taraf se un mushrikeen ko jinsey tumne muhaidey (treaties) kiye thay
Surah At-Taubah, Verse 1
فَسِيحُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَرۡبَعَةَ أَشۡهُرٖ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّكُمۡ غَيۡرُ مُعۡجِزِي ٱللَّهِ وَأَنَّ ٱللَّهَ مُخۡزِي ٱلۡكَٰفِرِينَ
Pas tum log mulk mein char (four) mahine aur chal phir lo aur jaan rakkho ke tum Allah ko aajiz (frustrate) karne waley nahin ho, aur yeh ke Allah munkireen e haqq ko ruswa karne wala hai
Surah At-Taubah, Verse 2
وَأَذَٰنٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦٓ إِلَى ٱلنَّاسِ يَوۡمَ ٱلۡحَجِّ ٱلۡأَكۡبَرِ أَنَّ ٱللَّهَ بَرِيٓءٞ مِّنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ وَرَسُولُهُۥۚ فَإِن تُبۡتُمۡ فَهُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۖ وَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّكُمۡ غَيۡرُ مُعۡجِزِي ٱللَّهِۗ وَبَشِّرِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
Ittila-e-aam hai Allah aur uske Rasool ki taraf se hajj e Akbar ke din tamaam logon ke liye ke Allah mushrikeen se bari uz-zimma (free from the treaty obligations ) hai aur uska Rasool bhi. Ab agar tum log tawba karlo to tumhare hi liye behtar hai aur jo mooh pherte ho to khoob samajh lo ke tum Allah ko aajiz karne waley nahin ho. Aur (aey Nabi), inkar karne walon ko sakht azaab ki khushkhabri suna do
Surah At-Taubah, Verse 3
إِلَّا ٱلَّذِينَ عَٰهَدتُّم مِّنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ ثُمَّ لَمۡ يَنقُصُوكُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَمۡ يُظَٰهِرُواْ عَلَيۡكُمۡ أَحَدٗا فَأَتِمُّوٓاْ إِلَيۡهِمۡ عَهۡدَهُمۡ إِلَىٰ مُدَّتِهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُتَّقِينَ
Bajuz un mushrikeen ke jinsey tumne muhaide (treaties) kiya phir unhon ne apne ahad ko poora karne mein tumhare saath koi kami nahin ki aur na tumhare khilaf kisi ki madad ki, to aisey logon ke saath tum bhi muddat e muhaida tak wafa karo kyunke Allah muttaqiyon (poious) hi ko pasand karta hai
Surah At-Taubah, Verse 4
فَإِذَا ٱنسَلَخَ ٱلۡأَشۡهُرُ ٱلۡحُرُمُ فَٱقۡتُلُواْ ٱلۡمُشۡرِكِينَ حَيۡثُ وَجَدتُّمُوهُمۡ وَخُذُوهُمۡ وَٱحۡصُرُوهُمۡ وَٱقۡعُدُواْ لَهُمۡ كُلَّ مَرۡصَدٖۚ فَإِن تَابُواْ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَوُاْ ٱلزَّكَوٰةَ فَخَلُّواْ سَبِيلَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Pas jab haraam mahine guzar jayein to mushrikeen ko qatal karo jahan pao aur unhein pakado aur ghero aur har ghaath (ambush) mein unki khabar lene ke liye baitho. Phir agar woh tawba karlein aur namaz qayam karein aur zakaat dein to unhein chodh do. Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah At-Taubah, Verse 5
وَإِنۡ أَحَدٞ مِّنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ ٱسۡتَجَارَكَ فَأَجِرۡهُ حَتَّىٰ يَسۡمَعَ كَلَٰمَ ٱللَّهِ ثُمَّ أَبۡلِغۡهُ مَأۡمَنَهُۥۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَعۡلَمُونَ
Aur agar mushrikeen mein se koi shaks panaah maang kar tumhare paas aana chahe (taa-ke Allah ka kalaam suney) to usey panaah de do yahan tak ke woh Allah ka kalaam sunle phir usey uske maman (place of safety) tak pahuncha do, Yeh is liye karna chahiye ke yeh log ilm nahin rakhte
Surah At-Taubah, Verse 6
كَيۡفَ يَكُونُ لِلۡمُشۡرِكِينَ عَهۡدٌ عِندَ ٱللَّهِ وَعِندَ رَسُولِهِۦٓ إِلَّا ٱلَّذِينَ عَٰهَدتُّمۡ عِندَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۖ فَمَا ٱسۡتَقَٰمُواْ لَكُمۡ فَٱسۡتَقِيمُواْ لَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُتَّقِينَ
In mushrikeen ke liye Allah aur uske Rasool ke nazdeek koi ahad aakhir kaise ho sakta hai? Bajuz un logon ke jinsey tumne masjid e haraam ke paas muhaida kiya tha, to jab tak woh tumhare saath seedhe rahein tum bhi unke saath seedhe raho kyunke Allah muttaqiyon ko pasand karta hai
Surah At-Taubah, Verse 7
كَيۡفَ وَإِن يَظۡهَرُواْ عَلَيۡكُمۡ لَا يَرۡقُبُواْ فِيكُمۡ إِلّٗا وَلَا ذِمَّةٗۚ يُرۡضُونَكُم بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَتَأۡبَىٰ قُلُوبُهُمۡ وَأَكۡثَرُهُمۡ فَٰسِقُونَ
Magar inke siwa dusre mushrikeen ke saath koi ahad kaise ho sakta hai jabke unka haal yeh hai ke tumpar qaabu paa jayein to na tumhare maamle mein kisi qarabat ka lihaz karein na kisi muhaide ki zimmedari ka. Woh apni zubaano se tumko razi karne ki koshish karte hain magar dil unke inkar karte hain aur unmein se aksar faasiq hain
Surah At-Taubah, Verse 8
ٱشۡتَرَوۡاْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ ثَمَنٗا قَلِيلٗا فَصَدُّواْ عَن سَبِيلِهِۦٓۚ إِنَّهُمۡ سَآءَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Unhon ne Allah ki aayat ke badle thodi si keemat qabool karli phir Allah ke raaste mein sadde-raah bankar khade ho gaye (debarred others from His Way), bahut burey kartoot thay jo yeh karte rahey
Surah At-Taubah, Verse 9
لَا يَرۡقُبُونَ فِي مُؤۡمِنٍ إِلّٗا وَلَا ذِمَّةٗۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُعۡتَدُونَ
Kisi momin ke maamle mein na yeh qarabat(kindred) ka lihaz karte hain aur na kisi ahad ki zimmedari ka aur zyadati hamesha inhi ki taraf se hui hai
Surah At-Taubah, Verse 10
فَإِن تَابُواْ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَوُاْ ٱلزَّكَوٰةَ فَإِخۡوَٰنُكُمۡ فِي ٱلدِّينِۗ وَنُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Pas agar yeh tawba karlein aur namaz qayam karein aur zakaat dein to tumhare deeni bhai hain aur janney walon ke liye hum apne ehkaam wazeh kiye dete hain
Surah At-Taubah, Verse 11
وَإِن نَّكَثُوٓاْ أَيۡمَٰنَهُم مِّنۢ بَعۡدِ عَهۡدِهِمۡ وَطَعَنُواْ فِي دِينِكُمۡ فَقَٰتِلُوٓاْ أَئِمَّةَ ٱلۡكُفۡرِ إِنَّهُمۡ لَآ أَيۡمَٰنَ لَهُمۡ لَعَلَّهُمۡ يَنتَهُونَ
Aur agar ahad karne ke baad yeh phir apni kasamon ko todh dalein aur tumhare deen par hamle karne shuru kardein to kufr ke alam-bardaaron (ringleaders) se jung karo kyunke unki kasamon ka koi aitbaar nahin, shayad ke (phir talwar hi ke zoar se) woh baaz ayenge
Surah At-Taubah, Verse 12
أَلَا تُقَٰتِلُونَ قَوۡمٗا نَّكَثُوٓاْ أَيۡمَٰنَهُمۡ وَهَمُّواْ بِإِخۡرَاجِ ٱلرَّسُولِ وَهُم بَدَءُوكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٍۚ أَتَخۡشَوۡنَهُمۡۚ فَٱللَّهُ أَحَقُّ أَن تَخۡشَوۡهُ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Kya tum na ladogey (fight) aisey logon se jo apne ahad todte rahey hain aur jinhon ne Rasool ko mulk se nikal dene ka qasd (conspire) kiya tha aur zyadati ki ibteda karne waley wahi thay? Kya tum unsey darte ho? Agar tum momin ho to Allah iska ziyada mustahiq hai ke ussey daro
Surah At-Taubah, Verse 13
قَٰتِلُوهُمۡ يُعَذِّبۡهُمُ ٱللَّهُ بِأَيۡدِيكُمۡ وَيُخۡزِهِمۡ وَيَنصُرۡكُمۡ عَلَيۡهِمۡ وَيَشۡفِ صُدُورَ قَوۡمٖ مُّؤۡمِنِينَ
Unse lado (fight) , Allah tumhare haathon se unko saza dilwayega aur unhein zaleel o khwar karega aur unke muqable mein tumhari madad karega aur bahut se momino ke dil thanday karega
Surah At-Taubah, Verse 14
وَيُذۡهِبۡ غَيۡظَ قُلُوبِهِمۡۗ وَيَتُوبُ ٱللَّهُ عَلَىٰ مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
Aur unke quloob (dilon) ki jalan mita dega, aur jisey chahega tawba ki taufeeq bhi dega. Allah sab kuch jaanney wala aur dana(wise) hai
Surah At-Taubah, Verse 15
أَمۡ حَسِبۡتُمۡ أَن تُتۡرَكُواْ وَلَمَّا يَعۡلَمِ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ جَٰهَدُواْ مِنكُمۡ وَلَمۡ يَتَّخِذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلَا رَسُولِهِۦ وَلَا ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَلِيجَةٗۚ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Kya tum logon ne yeh samajh rakkha hai ke yunhi chodh diye jaogey halanke abhi Allah ne yeh to dekha hi nahin ke tum mein se kaun woh log hain jinhon ne (uski raah mein) jaanfishani (exerted your utmost) ki aur Allah aur uske Rasool aur momineen ke siwa kisi ko jigri dost na banaya, jo kuch tum karte ho Allah ussey ba-khabar hai
Surah At-Taubah, Verse 16
مَا كَانَ لِلۡمُشۡرِكِينَ أَن يَعۡمُرُواْ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ شَٰهِدِينَ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِم بِٱلۡكُفۡرِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ وَفِي ٱلنَّارِ هُمۡ خَٰلِدُونَ
Mushrikeen ka yeh kaam nahin hai ke woh Allah ki masjidon ke mujawar o khadim banein, daran haal yeh ke apne upar woh khud kufr ki shahadat de rahey hain. Unke to saarey aamal zaya ho gaye aur jahannum mein unhein hamesha rehna hai
Surah At-Taubah, Verse 17
إِنَّمَا يَعۡمُرُ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ مَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَأَقَامَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَى ٱلزَّكَوٰةَ وَلَمۡ يَخۡشَ إِلَّا ٱللَّهَۖ فَعَسَىٰٓ أُوْلَـٰٓئِكَ أَن يَكُونُواْ مِنَ ٱلۡمُهۡتَدِينَ
Allah ki masjidon ke aabad-kaar (mujawar o khadim) to wahi log ho sakte hain jo Allah aur roz-e-aakhir ko manein aur namaz qayam karein, zakaat dein aur Allah ke siwa kisi se na darein , unhi se yeh tawaqqu hai ke seedhi raah chalenge
Surah At-Taubah, Verse 18
۞أَجَعَلۡتُمۡ سِقَايَةَ ٱلۡحَآجِّ وَعِمَارَةَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ كَمَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَجَٰهَدَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۚ لَا يَسۡتَوُۥنَ عِندَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Kya tum logon ne hajiyon ko pani peelaney aur masjid e haraam (khane kaaba) ki mujawari karne ko us shaks ke kaam ke barabar thehra liya hai jo iman laya Allah par aur roz e aakhir par aur jisne jaanfishani (exerted his utmost) ki Allah ki raah mein? Allah ke nazdeek to yeh dono barabar nahin hain aur Allah zalimon ki rehnumayi nahin karta
Surah At-Taubah, Verse 19
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ أَعۡظَمُ دَرَجَةً عِندَ ٱللَّهِۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَآئِزُونَ
Allah ke haan to unhi logon ka darja bada hai jo iman laye aur jinhon ne uski raah mein ghar baar chodey aur jaan o maal se jihad kiya, wahi kamiyaab hain
Surah At-Taubah, Verse 20
يُبَشِّرُهُمۡ رَبُّهُم بِرَحۡمَةٖ مِّنۡهُ وَرِضۡوَٰنٖ وَجَنَّـٰتٖ لَّهُمۡ فِيهَا نَعِيمٞ مُّقِيمٌ
Unka Rubb unhein apni rehmat aur khushnudi aur aisi jannaton ki basharat deta hai jahan unke liye payedaar aish ke samaan hain
Surah At-Taubah, Verse 21
خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ عِندَهُۥٓ أَجۡرٌ عَظِيمٞ
Unmein woh hamesha rahenge, yaqeenan Allah ke paas khidmaat ka sila dene ko bahut kuch hai
Surah At-Taubah, Verse 22
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُوٓاْ ءَابَآءَكُمۡ وَإِخۡوَٰنَكُمۡ أَوۡلِيَآءَ إِنِ ٱسۡتَحَبُّواْ ٱلۡكُفۡرَ عَلَى ٱلۡإِيمَٰنِۚ وَمَن يَتَوَلَّهُم مِّنكُمۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aey logon jo imaan laye ho, apne baapon aur bhaiyon ko bhi apna rafeeq (allies) na banao agar woh iman par kufr ko tarjeeh (prefrence) dein, tum mein se jo unko rafeeq(allies) banayenge wahi zalim honge
Surah At-Taubah, Verse 23
قُلۡ إِن كَانَ ءَابَآؤُكُمۡ وَأَبۡنَآؤُكُمۡ وَإِخۡوَٰنُكُمۡ وَأَزۡوَٰجُكُمۡ وَعَشِيرَتُكُمۡ وَأَمۡوَٰلٌ ٱقۡتَرَفۡتُمُوهَا وَتِجَٰرَةٞ تَخۡشَوۡنَ كَسَادَهَا وَمَسَٰكِنُ تَرۡضَوۡنَهَآ أَحَبَّ إِلَيۡكُم مِّنَ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَجِهَادٖ فِي سَبِيلِهِۦ فَتَرَبَّصُواْ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ ٱللَّهُ بِأَمۡرِهِۦۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
(Aey Nabi), kehdo ke agar tumhare baap aur tumhare bete, aur tumhare bhai, aur tumhari biwiyan aur tumhare aziz-o-aqareb (near and dear ones) aur tumhare woh maal jo tumne kamaye hain, aur tumhare woh karobar (business) jinke maandh (decline) padh janey ka tumko khauf hai aur tumhare woh ghar jo tumko pasand hain, tumko Allah aur uske Rasool aur uski raah mein jihad se azeez-tar hain to intezar karo yahan tak ke Allah apna faisla tumhare saamne le aaye, aur Allah faasiq logon ki rehnumayi nahin kiya karta
Surah At-Taubah, Verse 24
لَقَدۡ نَصَرَكُمُ ٱللَّهُ فِي مَوَاطِنَ كَثِيرَةٖ وَيَوۡمَ حُنَيۡنٍ إِذۡ أَعۡجَبَتۡكُمۡ كَثۡرَتُكُمۡ فَلَمۡ تُغۡنِ عَنكُمۡ شَيۡـٔٗا وَضَاقَتۡ عَلَيۡكُمُ ٱلۡأَرۡضُ بِمَا رَحُبَتۡ ثُمَّ وَلَّيۡتُم مُّدۡبِرِينَ
Allah issey pehle bahut se mawaqe (occassions) par tumhari madad kar chuka hai, abhi gazwa e hunain ke roz (uski dastgiri ki shaan tum dekh chuke ho) ,us roz tumhein apni kasrat e tadaad ka garrah (proud) tha magar woh tumhare kuch kaam na aayi aur zameen apni wusat ke bawajood tumpar tangg ho gayi aur tum peeth pher kar bhaag nikle
Surah At-Taubah, Verse 25
ثُمَّ أَنزَلَ ٱللَّهُ سَكِينَتَهُۥ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَعَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَأَنزَلَ جُنُودٗا لَّمۡ تَرَوۡهَا وَعَذَّبَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ وَذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Phir Allah ne apni sakeenat Rasool par aur mominin par nazil farmayi aur woh lashkar utarey jo tumko nazar na aate thay aur munkireen e haqq ko saza di ke yahi badla hai un logon ke liye jo haqq ka inkar karein
Surah At-Taubah, Verse 26
ثُمَّ يَتُوبُ ٱللَّهُ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ عَلَىٰ مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Phir (tum yeh bhi dekh chuke ho ke) is tarah saza dene ke baad Allah jisko chahta hai tawba ki taufeeq bhi baksh deta hai, Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah At-Taubah, Verse 27
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّمَا ٱلۡمُشۡرِكُونَ نَجَسٞ فَلَا يَقۡرَبُواْ ٱلۡمَسۡجِدَ ٱلۡحَرَامَ بَعۡدَ عَامِهِمۡ هَٰذَاۚ وَإِنۡ خِفۡتُمۡ عَيۡلَةٗ فَسَوۡفَ يُغۡنِيكُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦٓ إِن شَآءَۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Aey iman laney walon, mushrikeen napaak hain, lihaza is saal ke baad yeh masjid-e-haraam ke qareeb na phatakne payein, aur agar tumhein tangdasti ka khauf hai to baeed nahin ke Allah chahe to tumhein apne fazl se gani karde, Allah aleem o hakeem hai
Surah At-Taubah, Verse 28
قَٰتِلُواْ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَلَا بِٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَلَا يُحَرِّمُونَ مَا حَرَّمَ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ وَلَا يَدِينُونَ دِينَ ٱلۡحَقِّ مِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ حَتَّىٰ يُعۡطُواْ ٱلۡجِزۡيَةَ عَن يَدٖ وَهُمۡ صَٰغِرُونَ
Jung karo ehle kitaab mein se un logon ke khilaf jo Allah aur roz e aakhir par iman nahin latey aur jo kuch Allah aur uske Rasool ne haraam qarar diya hai usey haraam nahin karte aur deen e haqq ko apna deen nahin banate. (Unsey lado) yahan tak ke woh apne haath se jiziya dein aur chotey bankar rahein
Surah At-Taubah, Verse 29
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ عُزَيۡرٌ ٱبۡنُ ٱللَّهِ وَقَالَتِ ٱلنَّصَٰرَى ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ ٱللَّهِۖ ذَٰلِكَ قَوۡلُهُم بِأَفۡوَٰهِهِمۡۖ يُضَٰهِـُٔونَ قَوۡلَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَبۡلُۚ قَٰتَلَهُمُ ٱللَّهُۖ أَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
Yahudi kehte hain ke Uzair Allah ka beta hai aur isayi kehte hain ke Maseeh Allah ka beta hai. Yeh be-haqeeqat baatein hain jo woh apni zubaano se nikalte hain un logon ki dekha dekhi jo unsey pehle kufr mein mubtila huey thay. Khuda ki maar inpar, yeh kahan se dhoka kha rahey hain
Surah At-Taubah, Verse 30
ٱتَّخَذُوٓاْ أَحۡبَارَهُمۡ وَرُهۡبَٰنَهُمۡ أَرۡبَابٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِ وَٱلۡمَسِيحَ ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَمَآ أُمِرُوٓاْ إِلَّا لِيَعۡبُدُوٓاْ إِلَٰهٗا وَٰحِدٗاۖ لَّآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ سُبۡحَٰنَهُۥ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
Inhon ne apne ulema aur darweshiyon ko Allah ke siwa apna Rubb bana liya hai aur isi tarah Maseeh ibn Maryam ko bhi, halanke inko ek mabood ke siwa kisi ki bandagi karne ka hukum nahin diya gaya tha, woh jiske siwa koi mustahiq e ibadat nahin. Paak hai woh in mushrikana baaton se jo yeh log karte hain
Surah At-Taubah, Verse 31
يُرِيدُونَ أَن يُطۡفِـُٔواْ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَيَأۡبَى ٱللَّهُ إِلَّآ أَن يُتِمَّ نُورَهُۥ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Yeh log chahte hain Allah ki roshni ko apni phoonkon se bujha dein magar Allah apni roshni ko mukammal kiye bagair maanne wala nahin hai khwah kafiron ko yeh kitna hi nagawaar ho
Surah At-Taubah, Verse 32
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُشۡرِكُونَ
Woh Allah hi hai jisne apne Rasool ko haidayat aur deen e haqq ke saath bheja taa-ke usey poori jins e deen par gaalib karde khwa mushrikon ko yeh kitna hi nagawaar ho
Surah At-Taubah, Verse 33
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلۡأَحۡبَارِ وَٱلرُّهۡبَانِ لَيَأۡكُلُونَ أَمۡوَٰلَ ٱلنَّاسِ بِٱلۡبَٰطِلِ وَيَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۗ وَٱلَّذِينَ يَكۡنِزُونَ ٱلذَّهَبَ وَٱلۡفِضَّةَ وَلَا يُنفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَبَشِّرۡهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٖ
Aey iman laney walon , in ehle kitab ke aksar ulema aur darweshon(monks) ka haal yeh hai ke woh logon ke maal baatil tareeqon se khate hain aur unhein Allah ki raah se rokte hain. Dardnaak saza ki khush-khabri do unko jo soney aur chandi jama karke rakhte hain aur uhnein khuda ki raah mein kharch nahin karte
Surah At-Taubah, Verse 34
يَوۡمَ يُحۡمَىٰ عَلَيۡهَا فِي نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكۡوَىٰ بِهَا جِبَاهُهُمۡ وَجُنُوبُهُمۡ وَظُهُورُهُمۡۖ هَٰذَا مَا كَنَزۡتُمۡ لِأَنفُسِكُمۡ فَذُوقُواْ مَا كُنتُمۡ تَكۡنِزُونَ
Ek din aayega ke isi soney(gold) aur chandi par jahannum ki aag dhehkayi jayegi aur phir isi se un logon ki peshaniyon aur pehluon aur peethon ko daaga jayega, yeh hai woh khazana jo tumne apne liye jama kiya tha , lo ab apni samethi hui daulat ka maza chakkho
Surah At-Taubah, Verse 35
إِنَّ عِدَّةَ ٱلشُّهُورِ عِندَ ٱللَّهِ ٱثۡنَا عَشَرَ شَهۡرٗا فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِ يَوۡمَ خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ مِنۡهَآ أَرۡبَعَةٌ حُرُمٞۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلۡقَيِّمُۚ فَلَا تَظۡلِمُواْ فِيهِنَّ أَنفُسَكُمۡۚ وَقَٰتِلُواْ ٱلۡمُشۡرِكِينَ كَآفَّةٗ كَمَا يُقَٰتِلُونَكُمۡ كَآفَّةٗۚ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلۡمُتَّقِينَ
Haqeeqat yeh hai ke mahino ki tadaad jab se Allah ne aasmaan o zameen ko paida kiya hai Allah ke nawishte (record) mein bara (twelve) hi hai, aur inmein se chaar mahine haraam hain. Yahi theek zaabta hai lihaza in chaar (four) mahino mein apne upar zulm na karo aur mushrikon se sab milkar lado (fight) jis tarah woh sab milkar tumse ladte hain aur jaan rakkho ke Allah muttaqiyon hi ke saath hai
Surah At-Taubah, Verse 36
إِنَّمَا ٱلنَّسِيٓءُ زِيَادَةٞ فِي ٱلۡكُفۡرِۖ يُضَلُّ بِهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُحِلُّونَهُۥ عَامٗا وَيُحَرِّمُونَهُۥ عَامٗا لِّيُوَاطِـُٔواْ عِدَّةَ مَا حَرَّمَ ٱللَّهُ فَيُحِلُّواْ مَا حَرَّمَ ٱللَّهُۚ زُيِّنَ لَهُمۡ سُوٓءُ أَعۡمَٰلِهِمۡۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
‘Nasi’ [the postponing (of restrictions within sacred months)] to kufr mein ek mazeed kafirana harakat hai jissey yeh kaafir log gumraahi mein mubtila kiye jatey hain. Kisi saal ek mahine ko halal karlete hain aur kisi saal usko haram kardete hain, taa-ke Allah ke haram kiye huey mahino ki tadaad puri bhi kardein aur Allah ka haram kiya hua halal bhi karlein. Inke burey aamal inke liye khushnuma bana diye gaye hain aur Allah munkireen e haqq ko hidayat nahin diya karta
Surah At-Taubah, Verse 37
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَا لَكُمۡ إِذَا قِيلَ لَكُمُ ٱنفِرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ٱثَّاقَلۡتُمۡ إِلَى ٱلۡأَرۡضِۚ أَرَضِيتُم بِٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا مِنَ ٱلۡأٓخِرَةِۚ فَمَا مَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فِي ٱلۡأٓخِرَةِ إِلَّا قَلِيلٌ
Aey logon jo iman laye ho, tumhein kya ho gaya ke jab tumse Allah ki raah mein nikalne ke liye kaha gaya to tum zameen se chimat kar reh gaye? Kya tumne aakhirat ke muqable mein duniya ki zindagi ko pasand karliya? Aisa hai to tumhein maloom ho ke dunyavi zindagi ka yeh sab sar-o-samaan aakhirat mein bahut thoda niklega
Surah At-Taubah, Verse 38
إِلَّا تَنفِرُواْ يُعَذِّبۡكُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا وَيَسۡتَبۡدِلۡ قَوۡمًا غَيۡرَكُمۡ وَلَا تَضُرُّوهُ شَيۡـٔٗاۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Tum na uthoge to khuda tumhein dardnaak saza dega, aur tumhari jagah kisi aur giroh ko uthayega, aur tum khuda ka kuch bhi na bigaad sakogey, woh har cheez par qudrat rakhta hai
Surah At-Taubah, Verse 39
إِلَّا تَنصُرُوهُ فَقَدۡ نَصَرَهُ ٱللَّهُ إِذۡ أَخۡرَجَهُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ثَانِيَ ٱثۡنَيۡنِ إِذۡ هُمَا فِي ٱلۡغَارِ إِذۡ يَقُولُ لِصَٰحِبِهِۦ لَا تَحۡزَنۡ إِنَّ ٱللَّهَ مَعَنَاۖ فَأَنزَلَ ٱللَّهُ سَكِينَتَهُۥ عَلَيۡهِ وَأَيَّدَهُۥ بِجُنُودٖ لَّمۡ تَرَوۡهَا وَجَعَلَ كَلِمَةَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلسُّفۡلَىٰۗ وَكَلِمَةُ ٱللَّهِ هِيَ ٱلۡعُلۡيَاۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Tumne agar Nabi ki madad na ki to kuch parwah nahin, Allah uski madad us waqt kar chuka hai jab kafiron ne usey nikal diya tha, jab woh sirf do mein ka dusra tha , jab woh dono ghaar (cave) mein thay, jab woh apne saathi se keh raha tha ke “ gham na kar, Allah hamare saath hai” us waqt Allah ne uspar apni taraf se sukoon e qalb (dil ka sukoon) nazil kiya aur uski madad aisey lashkaron se ki jo tumko nazar na aate thay, aur kafiron ka bol nicha kardiya aur Allah ka bol to unhca hi hai. Allah zabardast aur dana o beena hai (All-Mighty, All-Wise)
Surah At-Taubah, Verse 40
ٱنفِرُواْ خِفَافٗا وَثِقَالٗا وَجَٰهِدُواْ بِأَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Niklo, khwa halke ho ya bojhal, aur jihad karo Allah ki raah mein apne maalon aur apni jaano ke saath, yeh tumhare liye behtar hai agar tum jaano
Surah At-Taubah, Verse 41
لَوۡ كَانَ عَرَضٗا قَرِيبٗا وَسَفَرٗا قَاصِدٗا لَّٱتَّبَعُوكَ وَلَٰكِنۢ بَعُدَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلشُّقَّةُۚ وَسَيَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ لَوِ ٱسۡتَطَعۡنَا لَخَرَجۡنَا مَعَكُمۡ يُهۡلِكُونَ أَنفُسَهُمۡ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ إِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
(Aey Nabi), agar faiyda sahal-ul-husool (prospect of immediate gain) ho aur safar halka hota to woh zaroor tumhare peechey chalne par aamada ho jatey. Magar unpar to yeh raasta bahut kathin (hard) ho gaya. Ab woh khuda ki kasam kha kha kar kahenge ke agar hum chal sakte to yaqeenan tumhare saath chalte. Woh apne aap ko halakat mein daal rahey hain, Allah khoob jaanta hai ke woh jhootey hain
Surah At-Taubah, Verse 42
عَفَا ٱللَّهُ عَنكَ لِمَ أَذِنتَ لَهُمۡ حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَكَ ٱلَّذِينَ صَدَقُواْ وَتَعۡلَمَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
(Aey Nabi), Allah tumhein maaf karey, tumne kyun unhein ruksat de di?(tumhein chahiye tha ke khud ruksat na dete) taa-ke tumpar khul jata ke kaun log sacchey hain aur jhooton (liars) ko bhi tum jaan letey
Surah At-Taubah, Verse 43
لَا يَسۡتَـٔۡذِنُكَ ٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ أَن يُجَٰهِدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلۡمُتَّقِينَ
Jo log Allah aur roz e aakhir par iman rakhte hain woh to kabhi tumse yeh darkhwast (request) na karenge ke unhein na apni jaan o maal ke saath jihad karne se maaf rakkha jaye, Allah muttaqiyon ko khoob jaanta hai
Surah At-Taubah, Verse 44
إِنَّمَا يَسۡتَـٔۡذِنُكَ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَٱرۡتَابَتۡ قُلُوبُهُمۡ فَهُمۡ فِي رَيۡبِهِمۡ يَتَرَدَّدُونَ
Aisi darkhwastein (requests) to sirf wahi log karte hain jo Allah aur roz e aakhir par iman nahin rakhte, jinke dilon mein shakk hai aur woh apne shakk hi mein mutaraddid(wavering) ho rahey hain
Surah At-Taubah, Verse 45
۞وَلَوۡ أَرَادُواْ ٱلۡخُرُوجَ لَأَعَدُّواْ لَهُۥ عُدَّةٗ وَلَٰكِن كَرِهَ ٱللَّهُ ٱنۢبِعَاثَهُمۡ فَثَبَّطَهُمۡ وَقِيلَ ٱقۡعُدُواْ مَعَ ٱلۡقَٰعِدِينَ
Agar waqayi inka irada nikalne ka hota to woh iske liye kuch tayyari karte. Lekin Allah ko unka uthna pasand hi na tha, is liye usne unhein sust kardiya aur kehdiya ke baith raho baithne walon ke saath
Surah At-Taubah, Verse 46
لَوۡ خَرَجُواْ فِيكُم مَّا زَادُوكُمۡ إِلَّا خَبَالٗا وَلَأَوۡضَعُواْ خِلَٰلَكُمۡ يَبۡغُونَكُمُ ٱلۡفِتۡنَةَ وَفِيكُمۡ سَمَّـٰعُونَ لَهُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
Agar woh tumhare saath nikalte to tumhare andar kharabi ke siwa kisi cheez ka izafa na karte, woh tumhare darmiyan fitna pardazi ke liye daud-dhoop karte, aur tumhare giroh ka haal yeh hai ke abhi usmein bahut se aisey log maujood hain jo unki baatein kaan laga kar sunte hain, Allah in zaalimon ko khoob jaanta hai
Surah At-Taubah, Verse 47
لَقَدِ ٱبۡتَغَوُاْ ٱلۡفِتۡنَةَ مِن قَبۡلُ وَقَلَّبُواْ لَكَ ٱلۡأُمُورَ حَتَّىٰ جَآءَ ٱلۡحَقُّ وَظَهَرَ أَمۡرُ ٱللَّهِ وَهُمۡ كَٰرِهُونَ
Issey pehle bhi in logon ne fitna-angezi ki koshishein ki hain aur tumhein nakaam karne ke liye yeh har tarah ki tadbeeron ka ulat pher kar chuke hain yahan tak ke inki marzi ke khilaf haqq aa gaya aur Allah ka kaam hokar raha
Surah At-Taubah, Verse 48
وَمِنۡهُم مَّن يَقُولُ ٱئۡذَن لِّي وَلَا تَفۡتِنِّيٓۚ أَلَا فِي ٱلۡفِتۡنَةِ سَقَطُواْۗ وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمُحِيطَةُۢ بِٱلۡكَٰفِرِينَ
In mein se koi hai jo kehta hai ke “mujhey ruksat de dijiye aur mujhko fitne mein na daaliye.” Sun rakkho! Fitne hi mein to yeh log padey huey hain aur jahannum ne in kafiron ko gher rakkha hai
Surah At-Taubah, Verse 49
إِن تُصِبۡكَ حَسَنَةٞ تَسُؤۡهُمۡۖ وَإِن تُصِبۡكَ مُصِيبَةٞ يَقُولُواْ قَدۡ أَخَذۡنَآ أَمۡرَنَا مِن قَبۡلُ وَيَتَوَلَّواْ وَّهُمۡ فَرِحُونَ
Tumhara bhala hota hai to inhein ranjj hota hai aur tumpar koi museebat aati hai to yeh mooh pher kar khush khush palat-te hain aur kehte jatey hain ke accha hua humne pehle hi apna maamla theek karliya tha
Surah At-Taubah, Verse 50
قُل لَّن يُصِيبَنَآ إِلَّا مَا كَتَبَ ٱللَّهُ لَنَا هُوَ مَوۡلَىٰنَاۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Insey kaho “humein hargiz koi (burayi ya bhalayi) nahin pahunchti magar woh jo Allah ne hamare liye likh di hai. Allah hi hamara maula (guradian) hai, aur ehle iman ko usi par bharosa karna chahiye”
Surah At-Taubah, Verse 51
قُلۡ هَلۡ تَرَبَّصُونَ بِنَآ إِلَّآ إِحۡدَى ٱلۡحُسۡنَيَيۡنِۖ وَنَحۡنُ نَتَرَبَّصُ بِكُمۡ أَن يُصِيبَكُمُ ٱللَّهُ بِعَذَابٖ مِّنۡ عِندِهِۦٓ أَوۡ بِأَيۡدِينَاۖ فَتَرَبَّصُوٓاْ إِنَّا مَعَكُم مُّتَرَبِّصُونَ
Insey kaho, “tum hamare maamle mein jis cheez ke muntazir ho woh iske siwa aur kya hai ke do bhalaiyon mein se ek bhalayi hai aur hum tumhare maamle mein jis cheez ke muntazir hain woh yeh hai ke Allah khud tumko saza deta hai ya hamare haathon dilwata hai? Accha to ab tum bhi intezar karo aur hum bhi tumhare saath muntazir hain”
Surah At-Taubah, Verse 52
قُلۡ أَنفِقُواْ طَوۡعًا أَوۡ كَرۡهٗا لَّن يُتَقَبَّلَ مِنكُمۡ إِنَّكُمۡ كُنتُمۡ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ
Insey kaho “tum apne maal khwa razi khushi kharch karo ya ba-karahat(unwillingly), bahar-haal woh qabool na kiye jayenge kyunke tum fasiq log ho”
Surah At-Taubah, Verse 53
وَمَا مَنَعَهُمۡ أَن تُقۡبَلَ مِنۡهُمۡ نَفَقَٰتُهُمۡ إِلَّآ أَنَّهُمۡ كَفَرُواْ بِٱللَّهِ وَبِرَسُولِهِۦ وَلَا يَأۡتُونَ ٱلصَّلَوٰةَ إِلَّا وَهُمۡ كُسَالَىٰ وَلَا يُنفِقُونَ إِلَّا وَهُمۡ كَٰرِهُونَ
Inke diye huey maal qabool na honay ki koi wajah iske siwa nahin hai ke inhon ne Allah aur uske Rasool se kufr kiya hai, namaz ke liye aate hain to kasmasate huey aate hain aur raah e khuda mein kharch karte hain to ba-dil e na khwasta (unwilling hearts) kharch karte hain
Surah At-Taubah, Verse 54
فَلَا تُعۡجِبۡكَ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُمۡۚ إِنَّمَا يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيُعَذِّبَهُم بِهَا فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَتَزۡهَقَ أَنفُسُهُمۡ وَهُمۡ كَٰفِرُونَ
Inke maal o daulat aur inke kasrat e aulad ko dekh kar dhoka na khao, Allah to yeh chahta hai ke inhi cheezon ke zariye se inko duniya ki zindagi mein bhi mubtila e azaab karey aur yeh jaan bhi dein to inkar e haqq hi ki halat mein dein
Surah At-Taubah, Verse 55
وَيَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ إِنَّهُمۡ لَمِنكُمۡ وَمَا هُم مِّنكُمۡ وَلَٰكِنَّهُمۡ قَوۡمٞ يَفۡرَقُونَ
Woh khuda ki kasam kha kha kar kehte hain ke hum tumhi mein se hain, halanke woh hargiz tum mein se nahin hain. Asal mein to woh aisey log hain jo tumse khauf-zadah(afraid) hain
Surah At-Taubah, Verse 56
لَوۡ يَجِدُونَ مَلۡجَـًٔا أَوۡ مَغَٰرَٰتٍ أَوۡ مُدَّخَلٗا لَّوَلَّوۡاْ إِلَيۡهِ وَهُمۡ يَجۡمَحُونَ
Agar woh koi jaaye panaah (place of refuge) paa lein ya koi kho (cave) ya ghus baithne ki jagah, to bhaag kar us mein ja chupein
Surah At-Taubah, Verse 57
وَمِنۡهُم مَّن يَلۡمِزُكَ فِي ٱلصَّدَقَٰتِ فَإِنۡ أُعۡطُواْ مِنۡهَا رَضُواْ وَإِن لَّمۡ يُعۡطَوۡاْ مِنۡهَآ إِذَا هُمۡ يَسۡخَطُونَ
(Aey Nabi), in mein se baaz log sadaqaat ki takseem mein tumpar aitraazaat karte hain , agar is maal mein se inhein kuch de diya jaye to khush ho jayein, aur na diya jaye to bigadne lagte hain
Surah At-Taubah, Verse 58
وَلَوۡ أَنَّهُمۡ رَضُواْ مَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ وَقَالُواْ حَسۡبُنَا ٱللَّهُ سَيُؤۡتِينَا ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦ وَرَسُولُهُۥٓ إِنَّآ إِلَى ٱللَّهِ رَٰغِبُونَ
Kya accha hota ke Allah aur Rasool ne jo kuch bhi unhein diya tha uspar woh raazi rehte aur kehte ke “Allah hamare liye kafi hai, woh apne fazal se humein aur bahut kuch dega aur uska Rasool bhi humpar inayat farmayega, hum Allah hi ki taraf nazar jamaye huey hain”
Surah At-Taubah, Verse 59
۞إِنَّمَا ٱلصَّدَقَٰتُ لِلۡفُقَرَآءِ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱلۡعَٰمِلِينَ عَلَيۡهَا وَٱلۡمُؤَلَّفَةِ قُلُوبُهُمۡ وَفِي ٱلرِّقَابِ وَٱلۡغَٰرِمِينَ وَفِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِۖ فَرِيضَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Yeh sadaqaat to dar-asal fakeeron aur miskeeno ke liye hain aur un logon ke liye jo sadaqaat ke kaam par mamoor hon, aur unke liye jinki taalif-e-qalb (whose hearts are to be won over) matloob ho neiz yeh gardano ke chudane(ransoming of slaves) aur qarzdaron ki madad karne mein aur raah e khuda mein aur musafir-nawazi mein istemal karne ke liye hain. Ek fareeza hai Allah ki taraf se aur Allah sab kuch jaanne wala aur dana o beena hai
Surah At-Taubah, Verse 60
وَمِنۡهُمُ ٱلَّذِينَ يُؤۡذُونَ ٱلنَّبِيَّ وَيَقُولُونَ هُوَ أُذُنٞۚ قُلۡ أُذُنُ خَيۡرٖ لَّكُمۡ يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَيُؤۡمِنُ لِلۡمُؤۡمِنِينَ وَرَحۡمَةٞ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنكُمۡۚ وَٱلَّذِينَ يُؤۡذُونَ رَسُولَ ٱللَّهِ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Inmein se kuch log hain jo apni baaton se Nabi ko dukh dete hain aur kehte hain ke yeh shaks kaano (ears) ka kaccha hai. Kaho, “woh tumhari bhalayi ke liye aisa hai, Allah par iman rakhta hai aur ehle iman par aitemaad (bharosa) karta hai aur sarasar rehmat hai un logon ke liye jo tum mein se imandaar hain. Aur jo log Allah ke Rasool ko dukh dete hain unke liye dardnaak saza hai”
Surah At-Taubah, Verse 61
يَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ لَكُمۡ لِيُرۡضُوكُمۡ وَٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥٓ أَحَقُّ أَن يُرۡضُوهُ إِن كَانُواْ مُؤۡمِنِينَ
Yeh log tumhare saamne kasmein khate hain taa-ke tumhein raazi karein, halanke agar yeh momin hain to Allah aur Rasool iske zyada haqdar hain ke yeh unko raazi karne ki fikr karein
Surah At-Taubah, Verse 62
أَلَمۡ يَعۡلَمُوٓاْ أَنَّهُۥ مَن يُحَادِدِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَأَنَّ لَهُۥ نَارَ جَهَنَّمَ خَٰلِدٗا فِيهَاۚ ذَٰلِكَ ٱلۡخِزۡيُ ٱلۡعَظِيمُ
Kya inhein maloom nahin hai ke jo Allah aur uske Rasool ka muqabla karta hai uske liye dozakh ki aag hai jismein woh hamesha rahega. Yeh bahut badi ruswayi hai
Surah At-Taubah, Verse 63
يَحۡذَرُ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ أَن تُنَزَّلَ عَلَيۡهِمۡ سُورَةٞ تُنَبِّئُهُم بِمَا فِي قُلُوبِهِمۡۚ قُلِ ٱسۡتَهۡزِءُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ مُخۡرِجٞ مَّا تَحۡذَرُونَ
Yeh munafiq darr rahey hain ke kahin musalmano par koi aisi surat nazil na ho jaye jo inke dilon ke bhed khol kar rakh de. (Aey Nabi), insey kaho, “aur mazaq udao, Allah us cheez ko khol dene wala hai jiske khul janey se tum darte ho”
Surah At-Taubah, Verse 64
وَلَئِن سَأَلۡتَهُمۡ لَيَقُولُنَّ إِنَّمَا كُنَّا نَخُوضُ وَنَلۡعَبُۚ قُلۡ أَبِٱللَّهِ وَءَايَٰتِهِۦ وَرَسُولِهِۦ كُنتُمۡ تَسۡتَهۡزِءُونَ
Agar insey pucho ke tum kya baatein kar rahey thay, to jhat keh denge ke hum to hansi mazaq aur dil lagi kar rahey thay. Insey kaho, “kya tumhari hansi dil lagi Allah aur uski aayat aur uske Rasool hi ke saath thi
Surah At-Taubah, Verse 65
لَا تَعۡتَذِرُواْ قَدۡ كَفَرۡتُم بَعۡدَ إِيمَٰنِكُمۡۚ إِن نَّعۡفُ عَن طَآئِفَةٖ مِّنكُمۡ نُعَذِّبۡ طَآئِفَةَۢ بِأَنَّهُمۡ كَانُواْ مُجۡرِمِينَ
Ab uzraat (excuses) na tarasho, tumne iman laney ke baad kufr kiya hai, agar humne tum mein se ek giroh ko maaf kar bhi diya to dusre giroh ko to hum zaroor saza denge kyunke woh mujreem hai.”
Surah At-Taubah, Verse 66
ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلۡمُنَٰفِقَٰتُ بَعۡضُهُم مِّنۢ بَعۡضٖۚ يَأۡمُرُونَ بِٱلۡمُنكَرِ وَيَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَقۡبِضُونَ أَيۡدِيَهُمۡۚ نَسُواْ ٱللَّهَ فَنَسِيَهُمۡۚ إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Munafiq Mard aur munafiq auratein sab ek dusre ke hum-rang hain, burayi ka hukum dete hain aur bhalayi se mana karte hain aur apne haath khair se roak rahey hain. Yeh Allah ko bhool gaye to Allah ne bhi inhein bhula diya, yaqeenan yeh munafiq hi fasiq hain
Surah At-Taubah, Verse 67
وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡمُنَٰفِقَٰتِ وَٱلۡكُفَّارَ نَارَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ هِيَ حَسۡبُهُمۡۚ وَلَعَنَهُمُ ٱللَّهُۖ وَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّقِيمٞ
In munafiq mardon aur auraton aur kafiron ke liye Allah ne aatish e dozakh ka wada kiya hai jismein woh hamesha rahenge, wahi inke liye mauzun(proper place) hai, inpar Allah ki phitkar hai aur inke liye qayam rehne wala azaab hai
Surah At-Taubah, Verse 68
كَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُمۡ كَانُوٓاْ أَشَدَّ مِنكُمۡ قُوَّةٗ وَأَكۡثَرَ أَمۡوَٰلٗا وَأَوۡلَٰدٗا فَٱسۡتَمۡتَعُواْ بِخَلَٰقِهِمۡ فَٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِخَلَٰقِكُمۡ كَمَا ٱسۡتَمۡتَعَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُم بِخَلَٰقِهِمۡ وَخُضۡتُمۡ كَٱلَّذِي خَاضُوٓاْۚ أُوْلَـٰٓئِكَ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Tum logon ke rang dhang wahi hain jo tumhare pesh-rawon ke thay, woh tumse zyada zorawar aur tumse badhkar maal aur aulad waley thay, phir unhon ne duniya mein apne hissey ke mazey loot liye aur tumne bhi apne hissey ke mazey isi tarah loote jaise unhon ne loote thay, aur waisi hi behason (arguments) mein tum bhi padey jaisi behason mein woh padey thay. So unka anjaam yeh hua ke duniya aur aakhirat mein unka sab kiya dhara zaya ho gaya aur wahi khasarey mein hain
Surah At-Taubah, Verse 69
أَلَمۡ يَأۡتِهِمۡ نَبَأُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ قَوۡمِ نُوحٖ وَعَادٖ وَثَمُودَ وَقَوۡمِ إِبۡرَٰهِيمَ وَأَصۡحَٰبِ مَدۡيَنَ وَٱلۡمُؤۡتَفِكَٰتِۚ أَتَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِۖ فَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيَظۡلِمَهُمۡ وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Kya in logon ko apne peshrawon ki tareekh (history/story) nahin pahunchi? Nooh ki qaum, Aad , Samood, Ibrahim ki qaum , Madiyan ke log aur woh bastiyan jinhein ulat diya gaya. Unke Rasool unke paas khuli khuli nishaniyan lekar aaye, phir yeh Allah ka kaam na tha ke unpar zulm karta magar woh aap hi apne upar zulm karne waley thay
Surah At-Taubah, Verse 70
وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتُ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ يَأۡمُرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَيُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَيُطِيعُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ سَيَرۡحَمُهُمُ ٱللَّهُۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Momin mard aur momin auratein, yeh sab ek dusre ke rafeeq(comrades/allies) hain, bhalayi ka hukum dete aur burayi se roakte hain, Namaz qayam karte hain, zakat dete hain aur Allah aur uske Rasool ki itaat karte hain, yeh woh log hain jinpar Allah ki rehmat nazil hokar rahegi. Yaqeenan Allah sab par gaalib aur hakeem o dana hai
Surah At-Taubah, Verse 71
وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا وَمَسَٰكِنَ طَيِّبَةٗ فِي جَنَّـٰتِ عَدۡنٖۚ وَرِضۡوَٰنٞ مِّنَ ٱللَّهِ أَكۡبَرُۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
In momin mardon aur auraton se Allah ka wada hai ke inhein aise baagh dega jinke nichey nehrein behti hongi aur woh inmein hamesha rahenge, in sada-bahar baaghon mein unke liye pakeeza qayam-gaahein (dwelling places) hongi, aur sabse badhkar yeh ke Allah ki khushnudi(pleasure) inhein hasil hogi, yahi badi kamiyabi hai
Surah At-Taubah, Verse 72
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ جَٰهِدِ ٱلۡكُفَّارَ وَٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱغۡلُظۡ عَلَيۡهِمۡۚ وَمَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Aey Nabi, kuffar aur munafiqeen dono ka puri quwwat se muqabla karo aur inke saath sakhti se pesh aao, aakhir e kaar inka thikana jahannum hai aur woh badh-tareen jaaye karrar (abode) hai
Surah At-Taubah, Verse 73
يَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ مَا قَالُواْ وَلَقَدۡ قَالُواْ كَلِمَةَ ٱلۡكُفۡرِ وَكَفَرُواْ بَعۡدَ إِسۡلَٰمِهِمۡ وَهَمُّواْ بِمَا لَمۡ يَنَالُواْۚ وَمَا نَقَمُوٓاْ إِلَّآ أَنۡ أَغۡنَىٰهُمُ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ مِن فَضۡلِهِۦۚ فَإِن يَتُوبُواْ يَكُ خَيۡرٗا لَّهُمۡۖ وَإِن يَتَوَلَّوۡاْ يُعَذِّبۡهُمُ ٱللَّهُ عَذَابًا أَلِيمٗا فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۚ وَمَا لَهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مِن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٖ
Yeh log khuda ki kasam kha kha kar kehte hain ke humne woh baat nahin kahi, halanke inhon ne zaroor woh kaafirana baat kahi hai. Woh Islam laney ke baad kufr ke murtakib huey aur inhon ne woh kuch karne ka irada kiya jisey kar na sakey. Yeh inka saara gussa isi baat par hai na ke Allah aur uske Rasool ne apne fazal se inko gani(enrich) kardiya hai! ab agar yeh apni is rawish se baaz aa jayein to inhi ke liye behtar hai, aur agar yeh baaz na aaye to Allah inko nihayat dardnaak saza dega, duniya mein bhi aur aakhirat mein bhi, aur zameen mein koi nahin jo inka himayati aur madadgaar ho
Surah At-Taubah, Verse 74
۞وَمِنۡهُم مَّنۡ عَٰهَدَ ٱللَّهَ لَئِنۡ ءَاتَىٰنَا مِن فَضۡلِهِۦ لَنَصَّدَّقَنَّ وَلَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
In mein se baaz aise bhi hain jinhon ne Allah se ahad kiya tha ke agar usne apne fazal se humko nawaza to hum khairat karenge aur saleh ban kar rahenge
Surah At-Taubah, Verse 75
فَلَمَّآ ءَاتَىٰهُم مِّن فَضۡلِهِۦ بَخِلُواْ بِهِۦ وَتَوَلَّواْ وَّهُم مُّعۡرِضُونَ
Magar jab Allah ne apne fazl se inko daulat-mand kardiya to woh bukhl (kanjoosi) par utar aaye aur apne ahad se phire ke inhein uski parwa tak nahin hai
Surah At-Taubah, Verse 76
فَأَعۡقَبَهُمۡ نِفَاقٗا فِي قُلُوبِهِمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ يَلۡقَوۡنَهُۥ بِمَآ أَخۡلَفُواْ ٱللَّهَ مَا وَعَدُوهُ وَبِمَا كَانُواْ يَكۡذِبُونَ
Nateeja yeh nikla ke inki is badh-ahadi(treachery) ki wajah se jo inhon ne Allah ke saath ki, aur us jhoot ki wajah se jo woh bolte rahey, Allah ne inke dilon mein nifaq(hypocrisy) bitha diya jo uske huzoor unki peshi ke din tak inka peecha na chodega
Surah At-Taubah, Verse 77
أَلَمۡ يَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ سِرَّهُمۡ وَنَجۡوَىٰهُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Kya yeh log jantey nahin hain ke Allah ko inke makhfi (hidden) raaz aur inki posheeda sargoshiyan tak maloom hain aur woh tamaam gaib ki baaton se poori tarah bakhabar hai
Surah At-Taubah, Verse 78
ٱلَّذِينَ يَلۡمِزُونَ ٱلۡمُطَّوِّعِينَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ فِي ٱلصَّدَقَٰتِ وَٱلَّذِينَ لَا يَجِدُونَ إِلَّا جُهۡدَهُمۡ فَيَسۡخَرُونَ مِنۡهُمۡ سَخِرَ ٱللَّهُ مِنۡهُمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
(Woh khoob jaanta hai un kanjoos daulat-mandon ko) jo ba-raza (willingly) o ragbat dene waley ehle iman ki maali qurbaniyon par baatein chant-te hain aur un logon ka mazaq udate hain jinke paas (raah e khuda mein dene ke liye) uske siwa kuch nahin hai jo woh apne upar mushakkat bardasht karke detey hain. Allah in mazaq udane walon ka mazaq udata hai aur inke liye dardnaak saza hai
Surah At-Taubah, Verse 79
ٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ أَوۡ لَا تَسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ إِن تَسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ سَبۡعِينَ مَرَّةٗ فَلَن يَغۡفِرَ ٱللَّهُ لَهُمۡۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَفَرُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
(Aey Nabi), tum khwa aise logon ke liye maafi ki darkhwast karo ya na karo, agar tum satter (seventy) martaba bhi inhein maaf kardene ki darkhwast karoge to Allah inhein hargiz maaf na karega, is liye ke inhon ne Allah aur uske Rasool ke saath kufr kiya hai, aur Allah fasiq logon ko raah e najaat nahin dikhata
Surah At-Taubah, Verse 80
فَرِحَ ٱلۡمُخَلَّفُونَ بِمَقۡعَدِهِمۡ خِلَٰفَ رَسُولِ ٱللَّهِ وَكَرِهُوٓاْ أَن يُجَٰهِدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَقَالُواْ لَا تَنفِرُواْ فِي ٱلۡحَرِّۗ قُلۡ نَارُ جَهَنَّمَ أَشَدُّ حَرّٗاۚ لَّوۡ كَانُواْ يَفۡقَهُونَ
Jin logon ko peechey reh janey ki ijazat de di gayi thi woh Allah ke Rasool ka saath na dene aur ghar baithe rehne par khush huey aur unhein gawara na hua ke Allah ki raah mein jaan o maal se jihad karein. Unhone logon se kaha ke “ is shakht garmi mein na niklo”. Insey kaho ke jahannum ki aag issey zyada garam hai, kaash inhein iska shaoor hota
Surah At-Taubah, Verse 81
فَلۡيَضۡحَكُواْ قَلِيلٗا وَلۡيَبۡكُواْ كَثِيرٗا جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Ab chahiye ke yeh log hasna kam karein aur royein zyada, is liye ke jo badhi(evil) yeh kamate rahey hain iski jaza aise hi hai (ke inhein ispar rona chahiye)
Surah At-Taubah, Verse 82
فَإِن رَّجَعَكَ ٱللَّهُ إِلَىٰ طَآئِفَةٖ مِّنۡهُمۡ فَٱسۡتَـٔۡذَنُوكَ لِلۡخُرُوجِ فَقُل لَّن تَخۡرُجُواْ مَعِيَ أَبَدٗا وَلَن تُقَٰتِلُواْ مَعِيَ عَدُوًّاۖ إِنَّكُمۡ رَضِيتُم بِٱلۡقُعُودِ أَوَّلَ مَرَّةٖ فَٱقۡعُدُواْ مَعَ ٱلۡخَٰلِفِينَ
Agar Allah inke darmiyan tumhein wapas le jaye aur aainda in mein se koi giroh jihad ke liye nikalne ki tumse ijazat maange to saaf keh dena, “ ab tum mere saath hargiz nahin chal sakte aur na meri maaiyat (company) mein kisi dushman se ladd sakte ho, tumne pehle baith rehne ko pasand kiya tha ab ghar baithne walon hi ke saath baithey raho”
Surah At-Taubah, Verse 83
وَلَا تُصَلِّ عَلَىٰٓ أَحَدٖ مِّنۡهُم مَّاتَ أَبَدٗا وَلَا تَقُمۡ عَلَىٰ قَبۡرِهِۦٓۖ إِنَّهُمۡ كَفَرُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَمَاتُواْ وَهُمۡ فَٰسِقُونَ
Aur aainda in mein se jo koi marey (die) uski namaz e janaza bhi tum hargiz na padhna aur na kabhi uski qabr par khade hona kyunke unhon ne Allah aur uske Rasool ke saath kufr kiya hai aur woh marey hain is haal mein ke woh fasiq thay
Surah At-Taubah, Verse 84
وَلَا تُعۡجِبۡكَ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَأَوۡلَٰدُهُمۡۚ إِنَّمَا يُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُعَذِّبَهُم بِهَا فِي ٱلدُّنۡيَا وَتَزۡهَقَ أَنفُسُهُمۡ وَهُمۡ كَٰفِرُونَ
Inki maaldari aur inki kasrat e aulad tumko dhoke mein na daaley , Allah ne to irada karliya hai ke is maal o aulad ke zariye se inko is duniya mein saza dey aur inki jaanein is haal mein niklein ke woh kafir hon
Surah At-Taubah, Verse 85
وَإِذَآ أُنزِلَتۡ سُورَةٌ أَنۡ ءَامِنُواْ بِٱللَّهِ وَجَٰهِدُواْ مَعَ رَسُولِهِ ٱسۡتَـٔۡذَنَكَ أُوْلُواْ ٱلطَّوۡلِ مِنۡهُمۡ وَقَالُواْ ذَرۡنَا نَكُن مَّعَ ٱلۡقَٰعِدِينَ
Jab kabhi koi surat is mazmoun (topic) ki nazil hui ke Allah ko maano aur uske Rasool ke saath milkar jihad karo to tumne dekha ke jo log in mein se saahib e maqdarat (capable people) thay wahi tumse darkhwast karne lage ke unhein jihad ki shirkat se maaf rakkha jaye, aur unhone kaha ke humein chodh dijiye ke hum baithne walon ke saath rahein
Surah At-Taubah, Verse 86
رَضُواْ بِأَن يَكُونُواْ مَعَ ٱلۡخَوَالِفِ وَطُبِعَ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَهُمۡ لَا يَفۡقَهُونَ
In logon ne ghar baithne waliyon mein shamil hona pasand kiya aur inke dilon par thappa laga diya gaya, is liye inki samajh mein ab kuch nahin aata
Surah At-Taubah, Verse 87
لَٰكِنِ ٱلرَّسُولُ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥ جَٰهَدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمُ ٱلۡخَيۡرَٰتُۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Ba-khilaf iske Rasool ne aur un logon ne jo Rasool ke saath iman laye thay apni jaan o maal se jihad kiya aur ab saari bhalaiyan unhi ke liye hain aur wahi falaah paaney waley hain
Surah At-Taubah, Verse 88
أَعَدَّ ٱللَّهُ لَهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Allah ne unke liye aise baagh tayyar rakkhey hain jinke nichey nehrein beh rahi hain, unmein woh hamesha rahenge. Yeh hai azeem o shaan kamiyabi
Surah At-Taubah, Verse 89
وَجَآءَ ٱلۡمُعَذِّرُونَ مِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ لِيُؤۡذَنَ لَهُمۡ وَقَعَدَ ٱلَّذِينَ كَذَبُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۚ سَيُصِيبُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Badwi (bedouins) arabon mein se bhi bahut se log aaye jinhon ne uzar (excuse) kiye taa-ke unhein bhi pichey reh janey ki ijazat di jaye is tarah baith rahey woh log jinhon ne Allah aur uske Rasool se iman ka jhoota ahad kiya tha. In badwiyon (bedouins) mein se jin logon ne kufr ka tareeqa ikhtiyar kiya hai anqareeb woh dardnaak saza se do-chaar hongey
Surah At-Taubah, Verse 90
لَّيۡسَ عَلَى ٱلضُّعَفَآءِ وَلَا عَلَى ٱلۡمَرۡضَىٰ وَلَا عَلَى ٱلَّذِينَ لَا يَجِدُونَ مَا يُنفِقُونَ حَرَجٌ إِذَا نَصَحُواْ لِلَّهِ وَرَسُولِهِۦۚ مَا عَلَى ٱلۡمُحۡسِنِينَ مِن سَبِيلٖۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Zaeef (old) aur beemar log aur woh log jo shirkat e jihad ke liye raah nahin paatey, agar peechey reh jayein to koi harj nahin jabke woh khuloos e dil ke saath Allah aur uske Rasool ke wafadaar hon. Aisey mohsineen par aitraz ki koi gunjaish nahin hai aur Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah At-Taubah, Verse 91
وَلَا عَلَى ٱلَّذِينَ إِذَا مَآ أَتَوۡكَ لِتَحۡمِلَهُمۡ قُلۡتَ لَآ أَجِدُ مَآ أَحۡمِلُكُمۡ عَلَيۡهِ تَوَلَّواْ وَّأَعۡيُنُهُمۡ تَفِيضُ مِنَ ٱلدَّمۡعِ حَزَنًا أَلَّا يَجِدُواْ مَا يُنفِقُونَ
Isi tarah un logon par bhi koi aiteraaz ka mauqa nahin hai jihon ne khud aa kar tumse darkhwast ki thi ke hamare liye sawariyan baham pahunchayi jayein, aur jab tumne kaha ke main tumhare liye sawariyon ka intizam nahin kar sakta to woh majbooran wapas gaye aur haal yeh tha ke unki aankhon se aansu (tears) jaari thay aur unhein is baat ka bada ranjj tha ke woh apne kharch par shareek e jihad honay ki maqdarat nahin rakhte
Surah At-Taubah, Verse 92
۞إِنَّمَا ٱلسَّبِيلُ عَلَى ٱلَّذِينَ يَسۡتَـٔۡذِنُونَكَ وَهُمۡ أَغۡنِيَآءُۚ رَضُواْ بِأَن يَكُونُواْ مَعَ ٱلۡخَوَالِفِ وَطَبَعَ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Albatta aiteraaz un logon par hai jo maaldaar hain aur phir bhi tumse darkhwastein karte hain ke unhein shirkat e jihad se maaf rakkha jaye. Unhon ne ghar baithne waliyon mein shamil hona pasand kiya aur Allah ne unke dilon par thappa (seal) laga diya, is liye ke ab yeh kuch nahin jantey (ke Allah ke haan inki rawish ka kya nateeja nikalne wala hai)
Surah At-Taubah, Verse 93
يَعۡتَذِرُونَ إِلَيۡكُمۡ إِذَا رَجَعۡتُمۡ إِلَيۡهِمۡۚ قُل لَّا تَعۡتَذِرُواْ لَن نُّؤۡمِنَ لَكُمۡ قَدۡ نَبَّأَنَا ٱللَّهُ مِنۡ أَخۡبَارِكُمۡۚ وَسَيَرَى ٱللَّهُ عَمَلَكُمۡ وَرَسُولُهُۥ ثُمَّ تُرَدُّونَ إِلَىٰ عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Tum jab palat kar inke paas pahunchoge to yeh tarah tarah ke uzraat (excuses) pesh karenge magar tum saaf keh dena ke “bahane na karo, hum tumhari kisi baat ka aitbaar na karenge, Allah ne humko tumhare halaat bata diye hain, ab Allah aur uska Rasool tumhare tarze amal ko dekhega phir tum uski taraf paltaye jaogey jo khule aur chupe sab ka janne wala hai aur woh tumhein bata dega ke tum kya kuch karte rahey ho”
Surah At-Taubah, Verse 94
سَيَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ لَكُمۡ إِذَا ٱنقَلَبۡتُمۡ إِلَيۡهِمۡ لِتُعۡرِضُواْ عَنۡهُمۡۖ فَأَعۡرِضُواْ عَنۡهُمۡۖ إِنَّهُمۡ رِجۡسٞۖ وَمَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُ جَزَآءَۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Tumhari wapsi par yeh tumhare saamne kasamein khayenge taa-ke tum insey sarf-e-nazar karo (to leave them alone) to beshak tum insey sarf-e-nazar hi karlo. Kyunke yeh gandagi hain aur inka asli muqaam jahannum hai jo inki kamayi ke badle mein inhein naseeb hogi
Surah At-Taubah, Verse 95
يَحۡلِفُونَ لَكُمۡ لِتَرۡضَوۡاْ عَنۡهُمۡۖ فَإِن تَرۡضَوۡاْ عَنۡهُمۡ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يَرۡضَىٰ عَنِ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Yeh tumhare saamne kasamein khayenge ke taa-ke tum inse raazi ho jao, halanke agar tum inse raazi ho bhi gaye to Allah hargiz aisey fasiq logon se raazi na hoga
Surah At-Taubah, Verse 96
ٱلۡأَعۡرَابُ أَشَدُّ كُفۡرٗا وَنِفَاقٗا وَأَجۡدَرُ أَلَّا يَعۡلَمُواْ حُدُودَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِۦۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Yeh badwi (bedouin) arab kufr o nifaq (hypocrisy) mein zyada sakht hain aur inke maamle mein is amr ke imkanaat (probability) zyada hain ke us deen ke hudood se na-waqif rahein jo Allah ne apne Rasool par nazil kiya hai. Allah sab kuch jaanta hai aur hakeem o dana hai
Surah At-Taubah, Verse 97
وَمِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ مَن يَتَّخِذُ مَا يُنفِقُ مَغۡرَمٗا وَيَتَرَبَّصُ بِكُمُ ٱلدَّوَآئِرَۚ عَلَيۡهِمۡ دَآئِرَةُ ٱلسَّوۡءِۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Un badwiyon mein aisey aisey log maujood hain jo raah e khuda mein kuch kharch karte hain to isey apne upar zabardasti ki chatti (penalty) samajhte hain aur tumhare haqq mein zamane ki gardishon ka intezar kar rahey hain (ke tum kisi chakkar mein phanso to woh apni gardan se us nizam ki itaat ka qalada utar phenkein jis mein tumne unhein kass diya hai) halanke badhi ka chakkar khud inhi par musallat hai aur Allah sab kuch sunta aur jaanta hai
Surah At-Taubah, Verse 98
وَمِنَ ٱلۡأَعۡرَابِ مَن يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَيَتَّخِذُ مَا يُنفِقُ قُرُبَٰتٍ عِندَ ٱللَّهِ وَصَلَوَٰتِ ٱلرَّسُولِۚ أَلَآ إِنَّهَا قُرۡبَةٞ لَّهُمۡۚ سَيُدۡخِلُهُمُ ٱللَّهُ فِي رَحۡمَتِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aur inhi badwiyon mein kuch log aisey bhi hain jo Allah aur roz-e-aakhir par iman rakhte hain aur jo kuch kharch karte hain usey Allah ke haan taqarrub(nearness) ka aur Rasool ki taraf se rehmat ki duaein lene ka zariya banate hain. Haan! Woh zaroor inke liye taqarrub (nearness) ka zariya hai aur Allah zaroor inko apni rehmat mein dakhil karega. Yaqeenan Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah At-Taubah, Verse 99
وَٱلسَّـٰبِقُونَ ٱلۡأَوَّلُونَ مِنَ ٱلۡمُهَٰجِرِينَ وَٱلۡأَنصَارِ وَٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُوهُم بِإِحۡسَٰنٖ رَّضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُ وَأَعَدَّ لَهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي تَحۡتَهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Woh muhajir o ansar jinhon ne sab se pehle dawat e iman par labbaik kehne mein sabaqat ki , neiz woh jo baad mein raastbaazi ke sath pichey aaye, Allah unsey razi hua aur woh Allah se razi huey , Allah ne unke liye aisey baagh muhaiyya kar rakkhe hain jinke nichey nehrein behti hongi aur woh unmein hamesha rahenge, yahi azeem o shaan kamiyabi hai
Surah At-Taubah, Verse 100
وَمِمَّنۡ حَوۡلَكُم مِّنَ ٱلۡأَعۡرَابِ مُنَٰفِقُونَۖ وَمِنۡ أَهۡلِ ٱلۡمَدِينَةِ مَرَدُواْ عَلَى ٱلنِّفَاقِ لَا تَعۡلَمُهُمۡۖ نَحۡنُ نَعۡلَمُهُمۡۚ سَنُعَذِّبُهُم مَّرَّتَيۡنِ ثُمَّ يُرَدُّونَ إِلَىٰ عَذَابٍ عَظِيمٖ
Tumhare gird o pesh jo badwi rehte hain un mein bahut se munafiq hain aur isi tarah khud Medina ke bashindon mein bhi munafiq maujood hain jo nifaq mein taq (experts) ho gaye hain. Tum inhein nahin jaante, hum unko jaante hain. Qareeb hai woh waqt jab hum unko dohri saza denge, phir woh zyada badi saza ke liye wapas laye jayenge
Surah At-Taubah, Verse 101
وَءَاخَرُونَ ٱعۡتَرَفُواْ بِذُنُوبِهِمۡ خَلَطُواْ عَمَلٗا صَٰلِحٗا وَءَاخَرَ سَيِّئًا عَسَى ٱللَّهُ أَن يَتُوبَ عَلَيۡهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Kuch aur log hain jinhon ne apne kasooron ka aitraaf karliya hai unka amal makhloot (mixed record of deeds, good and bad) hai. Kuch neik hain aur kuch badh. Baeed nahin ke Allah unpar phir meharbaan ho jaye kyunke woh darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah At-Taubah, Verse 102
خُذۡ مِنۡ أَمۡوَٰلِهِمۡ صَدَقَةٗ تُطَهِّرُهُمۡ وَتُزَكِّيهِم بِهَا وَصَلِّ عَلَيۡهِمۡۖ إِنَّ صَلَوٰتَكَ سَكَنٞ لَّهُمۡۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
(Aey Nabi), tum inke amwal mein se sadaqa lekar inhein paak karo aur (neki ki raah mein) inhein badhao, aur inke haqq mein dua e rehmat karo kyunke tumhari dua inke liye wajah taskeen hogi. Allah sab kuch sunta aur jaanta hai
Surah At-Taubah, Verse 103
أَلَمۡ يَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ هُوَ يَقۡبَلُ ٱلتَّوۡبَةَ عَنۡ عِبَادِهِۦ وَيَأۡخُذُ ٱلصَّدَقَٰتِ وَأَنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلتَّوَّابُ ٱلرَّحِيمُ
Kya in logon ko maloom nahin hai ke woh Allah hi hai jo apne bandon ki tawba qabool karta hai aur unki khairaat ko qabooliyat ata farmata hai, aur yeh ke Allah bahut maaf karne wala aur raheem hai
Surah At-Taubah, Verse 104
وَقُلِ ٱعۡمَلُواْ فَسَيَرَى ٱللَّهُ عَمَلَكُمۡ وَرَسُولُهُۥ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَۖ وَسَتُرَدُّونَ إِلَىٰ عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Aur (aey Nabi), in logon se kehdo ke tum amal karo, Allah aur uska Rasool aur momineen sab dekhenge ke tumhara tarz-e-amal ab kya rehta hai , phir tum uski taraf paltaye jaogey jo khule aur chupe sab ko jaanta hai aur woh tumhein bata dega ke tum kya karte rahey ho
Surah At-Taubah, Verse 105
وَءَاخَرُونَ مُرۡجَوۡنَ لِأَمۡرِ ٱللَّهِ إِمَّا يُعَذِّبُهُمۡ وَإِمَّا يَتُوبُ عَلَيۡهِمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Kuch dusre log hain jinka maamla bhi khuda ke hukum par thehra hua hai, chahe unhein saza de aur chahe unpar azsar-e-naw (again) meharbaan ho jaye, Allah sab kuch jaanta hai aur hakeem o dana hai
Surah At-Taubah, Verse 106
وَٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ مَسۡجِدٗا ضِرَارٗا وَكُفۡرٗا وَتَفۡرِيقَۢا بَيۡنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَإِرۡصَادٗا لِّمَنۡ حَارَبَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ مِن قَبۡلُۚ وَلَيَحۡلِفُنَّ إِنۡ أَرَدۡنَآ إِلَّا ٱلۡحُسۡنَىٰۖ وَٱللَّهُ يَشۡهَدُ إِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Kuch aur log hain jinhon ne ek masjid banayi is garz ke liye ke (dawat e haqq ko) nuqsaan pahunchayein, aur (khuda ki bandagi karne ke bajaye) kufr karein, aur ehle iman mein phoot (tafraqa/division) daalein, aur (is bazahir ibadat gaah ko) us shaks ke liye kameengaah (station) banayein jo issey pehle khuda aur Rasool ke khilaf barsar e paikar (in conflict) ho chuka hai. Woh zaroor kasmein kha kha kar kahenge ke hamara irada to bhalayi ke siwa kisi dusri cheez ka na tha magar Allah gawah hai ke woh qatayi jhootey hain
Surah At-Taubah, Verse 107
لَا تَقُمۡ فِيهِ أَبَدٗاۚ لَّمَسۡجِدٌ أُسِّسَ عَلَى ٱلتَّقۡوَىٰ مِنۡ أَوَّلِ يَوۡمٍ أَحَقُّ أَن تَقُومَ فِيهِۚ فِيهِ رِجَالٞ يُحِبُّونَ أَن يَتَطَهَّرُواْۚ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُطَّهِّرِينَ
Tum hargiz is imarat mein khade na hona. Jo masjid awwal roz se taqwa par qayam ki gayi thi, wahi iske liye zyada mauzoon(haqdaar/proper place) hai ke tum usmein (ibadat ke liye) khade ho. Usmein aisey log hain jo paak rehna pasand karte hain aur Allah ko pakeezgi ikhtiyar karne waley hi pasand hain
Surah At-Taubah, Verse 108
أَفَمَنۡ أَسَّسَ بُنۡيَٰنَهُۥ عَلَىٰ تَقۡوَىٰ مِنَ ٱللَّهِ وَرِضۡوَٰنٍ خَيۡرٌ أَم مَّنۡ أَسَّسَ بُنۡيَٰنَهُۥ عَلَىٰ شَفَا جُرُفٍ هَارٖ فَٱنۡهَارَ بِهِۦ فِي نَارِ جَهَنَّمَۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Phir tumhara kya khayal hai ke behtar Insaan woh hai jisne apni imarat ki buniyad khuda ke khauf aur uski raza ki talab par rakkhi ho ya woh jisne apni imarat ek waadi ki khokli besabaat kagar par uthayi (edge of a bank about to collapse) aur woh usey lekar seedhi jahannum ki aag mein jaa giri? Aisey zalim logon ko Allah kabhi seedhi raah nahin dikhata
Surah At-Taubah, Verse 109
لَا يَزَالُ بُنۡيَٰنُهُمُ ٱلَّذِي بَنَوۡاْ رِيبَةٗ فِي قُلُوبِهِمۡ إِلَّآ أَن تَقَطَّعَ قُلُوبُهُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
Yeh imarat jo inhon ne banayi hai, hamesha inke dilon mein yaqeeni ki jadd (root) bani rahegi (jiske nikalne ki ab koi surat nahin) bajuz iske ke inke dil hi para para ho jayein. Allah nihayat bakhabar aur hakeem o dana hai
Surah At-Taubah, Verse 110
۞إِنَّ ٱللَّهَ ٱشۡتَرَىٰ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَنفُسَهُمۡ وَأَمۡوَٰلَهُم بِأَنَّ لَهُمُ ٱلۡجَنَّةَۚ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَيَقۡتُلُونَ وَيُقۡتَلُونَۖ وَعۡدًا عَلَيۡهِ حَقّٗا فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَٱلۡإِنجِيلِ وَٱلۡقُرۡءَانِۚ وَمَنۡ أَوۡفَىٰ بِعَهۡدِهِۦ مِنَ ٱللَّهِۚ فَٱسۡتَبۡشِرُواْ بِبَيۡعِكُمُ ٱلَّذِي بَايَعۡتُم بِهِۦۚ وَذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Haqeeqat yeh hai ke Allah ne momino se unke nafs (jaan) aur unke maal jannat ke badle khareed liye hain, woh Allah ki raah mein ladte aur maarte aur marte hain. Unse (jannat ka wada) Allah ke zimme ek pukhta wada hai taurat (torah) aur injil aur quran mein. Aur kaun hai jo Allah se badhkar apne ahad ka pura karne wala ho? Pas khushiyan manao apne us saude (deal) par jo tumne khuda se chuka liya hai, yahi sabse badi kamiyabi hai
Surah At-Taubah, Verse 111
ٱلتَّـٰٓئِبُونَ ٱلۡعَٰبِدُونَ ٱلۡحَٰمِدُونَ ٱلسَّـٰٓئِحُونَ ٱلرَّـٰكِعُونَ ٱلسَّـٰجِدُونَ ٱلۡأٓمِرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَٱلنَّاهُونَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَٱلۡحَٰفِظُونَ لِحُدُودِ ٱللَّهِۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Allah ki taraf baar baar palatne waley, uski bandagi baja laney walyy, uski tareef ke gun gaane waley , uski khatir zameen mein gardish karne waley, uske aagey ruku aur sajde karne waley, neki ka hukum dene waley, badi se roakne waley, aur Allah ke hudood ki hifazat karne waley, (is shaan ke hote hain woh momin jo Allah se khareed o farokht ka yeh maamla tai karte hain) aur (aey Nabi), in momino ko khush khabri de do
Surah At-Taubah, Verse 112
مَا كَانَ لِلنَّبِيِّ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَن يَسۡتَغۡفِرُواْ لِلۡمُشۡرِكِينَ وَلَوۡ كَانُوٓاْ أُوْلِي قُرۡبَىٰ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمۡ أَنَّهُمۡ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
Nabi ko aur un logon ko jo iman laye hain, zeba nahin hai ke mushrikon ke liye magfirat ki dua karein, chahe woh unke rishtedar hi kyun na hon, jabke unpar yeh baat khul chuki hai ke woh jahannum ke mustahiq hain
Surah At-Taubah, Verse 113
وَمَا كَانَ ٱسۡتِغۡفَارُ إِبۡرَٰهِيمَ لِأَبِيهِ إِلَّا عَن مَّوۡعِدَةٖ وَعَدَهَآ إِيَّاهُ فَلَمَّا تَبَيَّنَ لَهُۥٓ أَنَّهُۥ عَدُوّٞ لِّلَّهِ تَبَرَّأَ مِنۡهُۚ إِنَّ إِبۡرَٰهِيمَ لَأَوَّـٰهٌ حَلِيمٞ
Ibrahim ne apne baap ke liye jo dua e magfirat ki thi woh to us wadey ki wajah se thi jo usne apne baap se kiya tha, magar jab uspar yeh baat khul gayi ke uska baap khuda ka dushman hai to woh ussey bezar ho gaya. Haqq yeh hai ke Ibrahim bada raqeeq-ul-qalb (tender-hearted) o khuda tars aur burdbaar (Godfearing and forbearing) aadmi tha
Surah At-Taubah, Verse 114
وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُضِلَّ قَوۡمَۢا بَعۡدَ إِذۡ هَدَىٰهُمۡ حَتَّىٰ يُبَيِّنَ لَهُم مَّا يَتَّقُونَۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
Allah ka yeh tareeqa nahin hai ke logon ko hidayat dene ke baad phir gumraahi mein mubtala karey jab tak ke unhein saaf saaf bata na de ke unhein kin cheezon se bachna chahiye. Dar haqeeqat Allah har cheez ka ilm rakhta hai
Surah At-Taubah, Verse 115
إِنَّ ٱللَّهَ لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۚ وَمَا لَكُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٖ
Aur yeh bhi waqia hai ke Allah hi ke qabze mein aasmaan o zameen ki sultanat hai, usi ke ikhtiyar mein zindagi o maut hai, aur tumhara koi haami o madadgaar aisa nahin hai jo tumhein ussey bacha sakey
Surah At-Taubah, Verse 116
لَّقَد تَّابَ ٱللَّهُ عَلَى ٱلنَّبِيِّ وَٱلۡمُهَٰجِرِينَ وَٱلۡأَنصَارِ ٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُوهُ فِي سَاعَةِ ٱلۡعُسۡرَةِ مِنۢ بَعۡدِ مَا كَادَ يَزِيغُ قُلُوبُ فَرِيقٖ مِّنۡهُمۡ ثُمَّ تَابَ عَلَيۡهِمۡۚ إِنَّهُۥ بِهِمۡ رَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Allah ne maaf kardiya Nabi ko aur un muhajireen o ansar ko jinhon ne badi tanggi ke waqt mein Nabi ka saath diya, agarche unmein se kuch logon ke dil kaji ki taraf mayil (swerved aside) ho chuke thay (magar jab unhon ne us kaji (croockedness) ka itteba na kiya balke Nabi ka saath hi diya to) Allah ne unhein maaf kardiya, beshak uska maamla in logon ke saath shafaqat o meharbani ka hai
Surah At-Taubah, Verse 117
وَعَلَى ٱلثَّلَٰثَةِ ٱلَّذِينَ خُلِّفُواْ حَتَّىٰٓ إِذَا ضَاقَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلۡأَرۡضُ بِمَا رَحُبَتۡ وَضَاقَتۡ عَلَيۡهِمۡ أَنفُسُهُمۡ وَظَنُّوٓاْ أَن لَّا مَلۡجَأَ مِنَ ٱللَّهِ إِلَّآ إِلَيۡهِ ثُمَّ تَابَ عَلَيۡهِمۡ لِيَتُوبُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلتَّوَّابُ ٱلرَّحِيمُ
Aur un teeno ko bhi usne maaf kiya jinke maamle ko multawi(put off) kardiya gaya tha, jab zameen apni saari wusat (vastness) ke bawajood unpar tangg ho gayi aur unki apni jaanein bhi unpar baar honay lagi aur unhon ne jaan liya ke Allah se bachne ke liye koi jaaye panaah khud Allah hi ke daaman e rehmat ke siwa nahin hai, to Allah apni meharbani se unki taraf palta taa-ke woh uski taraf palat aayein. Yaqeenan woh bada maaf karne wala aur raheem hai
Surah At-Taubah, Verse 118
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَكُونُواْ مَعَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro aur sachche logon ka saath do
Surah At-Taubah, Verse 119
مَا كَانَ لِأَهۡلِ ٱلۡمَدِينَةِ وَمَنۡ حَوۡلَهُم مِّنَ ٱلۡأَعۡرَابِ أَن يَتَخَلَّفُواْ عَن رَّسُولِ ٱللَّهِ وَلَا يَرۡغَبُواْ بِأَنفُسِهِمۡ عَن نَّفۡسِهِۦۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ لَا يُصِيبُهُمۡ ظَمَأٞ وَلَا نَصَبٞ وَلَا مَخۡمَصَةٞ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلَا يَطَـُٔونَ مَوۡطِئٗا يَغِيظُ ٱلۡكُفَّارَ وَلَا يَنَالُونَ مِنۡ عَدُوّٖ نَّيۡلًا إِلَّا كُتِبَ لَهُم بِهِۦ عَمَلٞ صَٰلِحٌۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُضِيعُ أَجۡرَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Medina ke bashindon aur gird o nawah (dwelling around)ke badwiyon ko yeh hargiz zeba na tha ke Allah ke Rasool ko chodh kar ghar baith rehte aur uski taraf se be-parwa hokar apne apne nafs ki fikr mein lag jatey. Is liye ke aisa kabhi na hoga ke Allah ki raah mein bhook pyas aur jismani mushakkat ki koi takleef woh jhelein, aur munkireen haqq ko jo raah nagawar hai uspar koi qadam woh uthayein, aur kisi dushman se [adawat (dushmani) e haqq ka ) koi inteqam woh lein aur iske badle unke haqq mein ek amal-e-saleh na likha jaye. Yakeenan Allah ke haan mohsinon ka haqq ul khidmat maara nahin jata hai
Surah At-Taubah, Verse 120
وَلَا يُنفِقُونَ نَفَقَةٗ صَغِيرَةٗ وَلَا كَبِيرَةٗ وَلَا يَقۡطَعُونَ وَادِيًا إِلَّا كُتِبَ لَهُمۡ لِيَجۡزِيَهُمُ ٱللَّهُ أَحۡسَنَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Isi tarah yeh bhi kabhi na hoga ke (raah e khuda mein) thoda ya bahut koi kharch woh uthayein aur ( sai e jihad mein) koi waadi(valley) woh paar karein aur unke haqq mein isey likh na liya jaye taa-ke Allah unke is acche kaarname ka sila unhein ata karey
Surah At-Taubah, Verse 121
۞وَمَا كَانَ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ لِيَنفِرُواْ كَآفَّةٗۚ فَلَوۡلَا نَفَرَ مِن كُلِّ فِرۡقَةٖ مِّنۡهُمۡ طَآئِفَةٞ لِّيَتَفَقَّهُواْ فِي ٱلدِّينِ وَلِيُنذِرُواْ قَوۡمَهُمۡ إِذَا رَجَعُوٓاْ إِلَيۡهِمۡ لَعَلَّهُمۡ يَحۡذَرُونَ
Aur yeh kuch zaroori na tha ke ehle iman sarey ke sarey hi nikal khade hotey, magar aisa kyun na hua ke unki aabadi ke har hissey mein se kuch log nikal kar aate aur deen ki samajh paida karte aur wapas jaa kar apne ilaqe ke bashindon (people) ko khabardaar karte taa-ke woh ( gair muslimana rawish se) parheiz karte
Surah At-Taubah, Verse 122
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ قَٰتِلُواْ ٱلَّذِينَ يَلُونَكُم مِّنَ ٱلۡكُفَّارِ وَلۡيَجِدُواْ فِيكُمۡ غِلۡظَةٗۚ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلۡمُتَّقِينَ
Aey logon jo iman laye ho, jung karo un munkireen e haqq se jo tumse qareeb hain aur chahiye ke woh tumhare andar sakhti payein, aur jaan lo ke Allah muttaqiyon ke saath hai
Surah At-Taubah, Verse 123
وَإِذَا مَآ أُنزِلَتۡ سُورَةٞ فَمِنۡهُم مَّن يَقُولُ أَيُّكُمۡ زَادَتۡهُ هَٰذِهِۦٓ إِيمَٰنٗاۚ فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فَزَادَتۡهُمۡ إِيمَٰنٗا وَهُمۡ يَسۡتَبۡشِرُونَ
Jab koi nayi surat nazil hoti hai to inmein se baaz log (mazaq ke taur par musalmaano se) puchte hain ke “ kaho, tum mein se kiske iman mein issey izafa hua?” (iska jawab yeh hai ke) jo log iman laye hain unke iman mein to fil-waqai ( har nazil hone wali surat ne) izafa hi kiya hai aur woh issey dilshad (rejoicing) hain
Surah At-Taubah, Verse 124
وَأَمَّا ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ فَزَادَتۡهُمۡ رِجۡسًا إِلَىٰ رِجۡسِهِمۡ وَمَاتُواْ وَهُمۡ كَٰفِرُونَ
Albatta jin logon ke dilon ko (nifaq ka) rog laga hua tha unki saabiq najasat (filth) par (har nayi surat ne ) ek aur najasat(filth) ka izafa kardiya aur woh marte dum tak kufr hi mein mubtala rahey
Surah At-Taubah, Verse 125
أَوَلَا يَرَوۡنَ أَنَّهُمۡ يُفۡتَنُونَ فِي كُلِّ عَامٖ مَّرَّةً أَوۡ مَرَّتَيۡنِ ثُمَّ لَا يَتُوبُونَ وَلَا هُمۡ يَذَّكَّرُونَ
Kya yeh log dekhte nahin ke har saal do martaba yeh aazmaish mein daley jatey hain? Magar ispar bhi na tawba karte hain na koi sabaq (lesson) letey hain
Surah At-Taubah, Verse 126
وَإِذَا مَآ أُنزِلَتۡ سُورَةٞ نَّظَرَ بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٍ هَلۡ يَرَىٰكُم مِّنۡ أَحَدٖ ثُمَّ ٱنصَرَفُواْۚ صَرَفَ ٱللَّهُ قُلُوبَهُم بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَفۡقَهُونَ
Jab koi surat nazil hoti hai to yeh log aankhon hi aankhon mein ek dusre se baatein karte hain ke kahin koi tumko dekh to nahin raha hai, phir chupke se nikal bhaagte hain. Allah ne inke dil pher diye hain kyunke yeh na-samajh log hain
Surah At-Taubah, Verse 127
لَقَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولٞ مِّنۡ أَنفُسِكُمۡ عَزِيزٌ عَلَيۡهِ مَا عَنِتُّمۡ حَرِيصٌ عَلَيۡكُم بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ رَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Dekho! Tum logon ke paas ek Rasool aaya hai jo khud tumhi mein se hai, tumhara nuqsan mein padhna uspar shaaq (giran/grievous) hai, tumhari falaah ka woh harees(greedily anxious) hai, iman laney walon ke liye woh shafeeq aur raheem hai
Surah At-Taubah, Verse 128
فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَقُلۡ حَسۡبِيَ ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُۖ وَهُوَ رَبُّ ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡعَظِيمِ
Ab agar yeh log tumse mooh pherte hain to (aey Nabi), insey kehdo ke “ mere liye Allah bas karta hai (kafi hai/suffices me), koi mabood nahin magar woh, usi par maine bharosa kiya aur woh maalik hai arsh e azeem ka”
Surah At-Taubah, Verse 129