Surah At-Taubah Verse 54 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah At-Taubahوَمَا مَنَعَهُمۡ أَن تُقۡبَلَ مِنۡهُمۡ نَفَقَٰتُهُمۡ إِلَّآ أَنَّهُمۡ كَفَرُواْ بِٱللَّهِ وَبِرَسُولِهِۦ وَلَا يَأۡتُونَ ٱلصَّلَوٰةَ إِلَّا وَهُمۡ كُسَالَىٰ وَلَا يُنفِقُونَ إِلَّا وَهُمۡ كَٰرِهُونَ
Inke diye huey maal qabool na honay ki koi wajah iske siwa nahin hai ke inhon ne Allah aur uske Rasool se kufr kiya hai, namaz ke liye aate hain to kasmasate huey aate hain aur raah e khuda mein kharch karte hain to ba-dil e na khwasta (unwilling hearts) kharch karte hain