Surah At-Taubah Verse 72 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah At-Taubahوَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا وَمَسَٰكِنَ طَيِّبَةٗ فِي جَنَّـٰتِ عَدۡنٖۚ وَرِضۡوَٰنٞ مِّنَ ٱللَّهِ أَكۡبَرُۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
In momin mardon aur auraton se Allah ka wada hai ke inhein aise baagh dega jinke nichey nehrein behti hongi aur woh inmein hamesha rahenge, in sada-bahar baaghon mein unke liye pakeeza qayam-gaahein (dwelling places) hongi, aur sabse badhkar yeh ke Allah ki khushnudi(pleasure) inhein hasil hogi, yahi badi kamiyabi hai