Surah At-Taubah Verse 25 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah At-Taubahلَقَدۡ نَصَرَكُمُ ٱللَّهُ فِي مَوَاطِنَ كَثِيرَةٖ وَيَوۡمَ حُنَيۡنٍ إِذۡ أَعۡجَبَتۡكُمۡ كَثۡرَتُكُمۡ فَلَمۡ تُغۡنِ عَنكُمۡ شَيۡـٔٗا وَضَاقَتۡ عَلَيۡكُمُ ٱلۡأَرۡضُ بِمَا رَحُبَتۡ ثُمَّ وَلَّيۡتُم مُّدۡبِرِينَ
Allah issey pehle bahut se mawaqe (occassions) par tumhari madad kar chuka hai, abhi gazwa e hunain ke roz (uski dastgiri ki shaan tum dekh chuke ho) ,us roz tumhein apni kasrat e tadaad ka garrah (proud) tha magar woh tumhare kuch kaam na aayi aur zameen apni wusat ke bawajood tumpar tangg ho gayi aur tum peeth pher kar bhaag nikle