Surah Al-Anfal - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡأَنفَالِۖ قُلِ ٱلۡأَنفَالُ لِلَّهِ وَٱلرَّسُولِۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَصۡلِحُواْ ذَاتَ بَيۡنِكُمۡۖ وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Tumse anfal(booty of war/ganimat ke maal) ke mutaaliq poochte hain? Kaho “yeh anfal to Allah aur uske Rasool ke hain, pas tum log Allah se daro aur apne aapas ke taaluqaat durust karo aur Allah aur uske Rasool ki itaat karo agar tum momin ho”
Surah Al-Anfal, Verse 1
إِنَّمَا ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَجِلَتۡ قُلُوبُهُمۡ وَإِذَا تُلِيَتۡ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُهُۥ زَادَتۡهُمۡ إِيمَٰنٗا وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ
Sacchey ehle iman to woh log hain jinke dil Allah ka zikr sunkar laraz (fearful) jatey hain aur jab Allah ki aayat unke saamne padi jati hai to unka iman badh jata hai aur woh apne Rubb par aitamaad (bharosa) rakhte hain
Surah Al-Anfal, Verse 2
ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
Jo namaz qayam karte hain aur jo kuch humne unko diya hai usmein se (hamari raah mein) kharch karte hain
Surah Al-Anfal, Verse 3
أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ حَقّٗاۚ لَّهُمۡ دَرَجَٰتٌ عِندَ رَبِّهِمۡ وَمَغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
Aisey hi log haqiqi momin hain. Unke liye unke Rubb ke paas badey darje hain, kasooron se darguzar hai aur behtareen rizq hai
Surah Al-Anfal, Verse 4
كَمَآ أَخۡرَجَكَ رَبُّكَ مِنۢ بَيۡتِكَ بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّ فَرِيقٗا مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ لَكَٰرِهُونَ
(Is maal e ganimat ke maamle mein bhi waisi hi surat pesh aa rahi hai jaisi us waqt pesh aayi thi jabke) tera Rubb tujhey haqq ke saath tere ghar se nikal laya tha aur momino mein se ek giroh ko yeh sakht nagawar tha
Surah Al-Anfal, Verse 5
يُجَٰدِلُونَكَ فِي ٱلۡحَقِّ بَعۡدَ مَا تَبَيَّنَ كَأَنَّمَا يُسَاقُونَ إِلَى ٱلۡمَوۡتِ وَهُمۡ يَنظُرُونَ
Woh us haqq ke maamle mein tujhse jhagad rahey thay daraan haal(whereas) yeh ke woh saaf saaf numayan ho chuka tha, unka haal yeh tha ke goya woh aankhon dekhe maut ki taraf haanke (driven) jaa rahey hain
Surah Al-Anfal, Verse 6
وَإِذۡ يَعِدُكُمُ ٱللَّهُ إِحۡدَى ٱلطَّآئِفَتَيۡنِ أَنَّهَا لَكُمۡ وَتَوَدُّونَ أَنَّ غَيۡرَ ذَاتِ ٱلشَّوۡكَةِ تَكُونُ لَكُمۡ وَيُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُحِقَّ ٱلۡحَقَّ بِكَلِمَٰتِهِۦ وَيَقۡطَعَ دَابِرَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Yaad karo wo mauqa jabke Allah tumse wada kar raha tha ke dono girohon mein se ek tumhein mil jayega. Tum chahte thay ke kamzor giroh tumhein miley magar Allah ka irada yeh tha ke apne irshadaat se haqq ko haqq kar dikhaye aur kafiron ki jadd kaat de
Surah Al-Anfal, Verse 7
لِيُحِقَّ ٱلۡحَقَّ وَيُبۡطِلَ ٱلۡبَٰطِلَ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُجۡرِمُونَ
Taa-ke haqq haqq hokar rahey aur baatil baatil hokar reh jaye khwa mujrimon ko yeh kitna hi nagawar ho
Surah Al-Anfal, Verse 8
إِذۡ تَسۡتَغِيثُونَ رَبَّكُمۡ فَٱسۡتَجَابَ لَكُمۡ أَنِّي مُمِدُّكُم بِأَلۡفٖ مِّنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ مُرۡدِفِينَ
Aur woh mauqa yaad karo jabke tum apne Rubb se fariyaad kar rahye thay jawab mein usne farmaya ke main tumhari madad ke liye pai dar pai ek hazar Farishtey bhej raha hoon
Surah Al-Anfal, Verse 9
وَمَا جَعَلَهُ ٱللَّهُ إِلَّا بُشۡرَىٰ وَلِتَطۡمَئِنَّ بِهِۦ قُلُوبُكُمۡۚ وَمَا ٱلنَّصۡرُ إِلَّا مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Yeh baat Allah ne tumhein sirf isliye bata di ke tumhein khush-khabri ho aur tumhare dil issey mutmaeen ho jayein. Warna madad to jab bhi hoti hai Allah hi ki taraf se hoti hai. Yaqeenan Allah zabardast aur dana (wise) hai
Surah Al-Anfal, Verse 10
إِذۡ يُغَشِّيكُمُ ٱلنُّعَاسَ أَمَنَةٗ مِّنۡهُ وَيُنَزِّلُ عَلَيۡكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ لِّيُطَهِّرَكُم بِهِۦ وَيُذۡهِبَ عَنكُمۡ رِجۡزَ ٱلشَّيۡطَٰنِ وَلِيَرۡبِطَ عَلَىٰ قُلُوبِكُمۡ وَيُثَبِّتَ بِهِ ٱلۡأَقۡدَامَ
Aur woh waqt jabke Allah apni taraf se gunoodgi (drowsiness) ki shakal mein tumpar itminaan o be-khaufi ki kaifiyat taari kar raha tha, aur aasman se tumhare upar pani barsa raha tha taa-ke tumhein paak karey aur tumse Shaytan ki daali hui najasat door karey aur tumhari himmat bandhaye aur iske zariye se tumhare qadam jamadey
Surah Al-Anfal, Verse 11
إِذۡ يُوحِي رَبُّكَ إِلَى ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ أَنِّي مَعَكُمۡ فَثَبِّتُواْ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ سَأُلۡقِي فِي قُلُوبِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلرُّعۡبَ فَٱضۡرِبُواْ فَوۡقَ ٱلۡأَعۡنَاقِ وَٱضۡرِبُواْ مِنۡهُمۡ كُلَّ بَنَانٖ
Aur woh waqt jabke tumhara Rubb farishton ko irshara kar raha tha ke “ main tumhare saath hoon, tum ehle iman ko saabit qadam rakkho, main abhi in kafiron ke dilon mein roab (terror) daley deta hoon. Pas tum unki gardano par zarb (strike) aur jod jod par chot lagao”
Surah Al-Anfal, Verse 12
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ شَآقُّواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۚ وَمَن يُشَاقِقِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَإِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Yeh isliye ke in logon ne Allah aur uske Rasool ka muqabla kiya. Aur jo Allah aur uske Rasool ka muqabla karey Allah uske liye nihayat sakhtgeer (severe in punishment) hai
Surah Al-Anfal, Verse 13
ذَٰلِكُمۡ فَذُوقُوهُ وَأَنَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابَ ٱلنَّارِ
Yeh hai tum logon ki saza, ab iska maza chakkho, aur tumhein maloom ho ke haqq ka inkar karne walon ke liye dozakh ka azaab hai
Surah Al-Anfal, Verse 14
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا لَقِيتُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ زَحۡفٗا فَلَا تُوَلُّوهُمُ ٱلۡأَدۡبَارَ
Aey iman laney walon, jab tum ek lashkar ki surat mein kuffar se do-char (encounter) ho to unke muqable mein pusht na phero (turn your backs)
Surah Al-Anfal, Verse 15
وَمَن يُوَلِّهِمۡ يَوۡمَئِذٖ دُبُرَهُۥٓ إِلَّا مُتَحَرِّفٗا لِّقِتَالٍ أَوۡ مُتَحَيِّزًا إِلَىٰ فِئَةٖ فَقَدۡ بَآءَ بِغَضَبٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَمَأۡوَىٰهُ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Jisne aisey mauqe par peeth pehri, illa yeh ke jungi chaal ke taur par aisa karey ya kisi dusri fauj se jaa milne ke liye, to woh Allah ke gazab mein ghir jayega, uska thikana jahannum hoga. Aur woh bahut buri jaaye baaz gasth (evil destination) hai
Surah Al-Anfal, Verse 16
فَلَمۡ تَقۡتُلُوهُمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ قَتَلَهُمۡۚ وَمَا رَمَيۡتَ إِذۡ رَمَيۡتَ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ رَمَىٰ وَلِيُبۡلِيَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ مِنۡهُ بَلَآءً حَسَنًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Pas haqeeqat yeh hai ke tumne unhein qatal nahin kiya balke Allah ne unko qatal kiya, aur tu nay nahin phenka balke Allah ne phenka ( aur mominon ke haath jo is kaam mein istemal kiye gaye) to yeh isliye tha ke Allah momino ko ek behtareen aazmaish se kamiyabi ke saath guzaar de. Yakeenan Allah sunne wala aur janne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 17
ذَٰلِكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ مُوهِنُ كَيۡدِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Yeh maamla to tumhare saath hai aur kafiron ke saath maamla yeh hai ke Allah unki chaalon ko kamzoor karne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 18
إِن تَسۡتَفۡتِحُواْ فَقَدۡ جَآءَكُمُ ٱلۡفَتۡحُۖ وَإِن تَنتَهُواْ فَهُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۖ وَإِن تَعُودُواْ نَعُدۡ وَلَن تُغۡنِيَ عَنكُمۡ فِئَتُكُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَوۡ كَثُرَتۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
(in kaafiron se kehdo) “agar tum faisla chahte thay to lo , faisla tumhare samne aa gaya. Ab baaz aa jao to tumhare hi liye behtar hai. Warna phir palat kar usi himakat ka iaada karogey to hum bhi isi saza ka iaada karenge aur tumhari jamiat, khwa woh kitni hi zyada ho, tumhare kuch kaam na aa sakegi. Allah momino ke saath hai”
Surah Al-Anfal, Verse 19
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَا تَوَلَّوۡاْ عَنۡهُ وَأَنتُمۡ تَسۡمَعُونَ
Aey iman laney walon, Allah aur uske Rasool ki itaat karo aur hukum sunne ke baad ussey sartabi (turn away) na karo
Surah Al-Anfal, Verse 20
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ
Un logon ki tarah na ho jao jinhon ne kaha ke humne suna, halanke woh nahin sunte
Surah Al-Anfal, Verse 21
۞إِنَّ شَرَّ ٱلدَّوَآبِّ عِندَ ٱللَّهِ ٱلصُّمُّ ٱلۡبُكۡمُ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡقِلُونَ
Yaqeenan khuda ke nazdeek badhtareen qisam ke jaanwar woh behre gungey log hain jo aqal se kaam nahin letey
Surah Al-Anfal, Verse 22
وَلَوۡ عَلِمَ ٱللَّهُ فِيهِمۡ خَيۡرٗا لَّأَسۡمَعَهُمۡۖ وَلَوۡ أَسۡمَعَهُمۡ لَتَوَلَّواْ وَّهُم مُّعۡرِضُونَ
Agar Allah ko maloom hota ke unmein kuch bhi bhalayi hai to woh zaroor unhein sunne ki taufeeq deta, (lekin bhalayi ke bagair) agar woh unko sunwata to woh berukhi ke saath mooh pher jatey
Surah Al-Anfal, Verse 23
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱسۡتَجِيبُواْ لِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ إِذَا دَعَاكُمۡ لِمَا يُحۡيِيكُمۡۖ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَحُولُ بَيۡنَ ٱلۡمَرۡءِ وَقَلۡبِهِۦ وَأَنَّهُۥٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Aey iman laney walon, Allah aur uske Rasool ki pukar par labbaik kaho jabke Rasool tumhein us cheez ki taraf bulaye jo tumhein zindagi bakshne wali hai, aur jaan rakkho ke Allah aadmi aur uske dil ke darmiyan hayal hai, aur usi ki taraf tum sametay jaogey
Surah Al-Anfal, Verse 24
وَٱتَّقُواْ فِتۡنَةٗ لَّا تُصِيبَنَّ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنكُمۡ خَآصَّةٗۖ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Aur bacho us fitne se jiski shamat makhsoos taur par sirf unhi logon tak mehdood na rahegi jinhon ne tum mein se gunaah kiya ho, aur jaan rakkho ke Allah sakht saza dene wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 25
وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ أَنتُمۡ قَلِيلٞ مُّسۡتَضۡعَفُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ تَخَافُونَ أَن يَتَخَطَّفَكُمُ ٱلنَّاسُ فَـَٔاوَىٰكُمۡ وَأَيَّدَكُم بِنَصۡرِهِۦ وَرَزَقَكُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Yaad karo woh waqt jabke tum thodey thay, zameen mein tumko be-zoar samjha jata tha, tum darte rehte thay ke kahin log tumhein mita na dein. Phir Allah ne tumko jaye panaah muhaiyaa kardi, apni madad se tumhare haath mazboot kiye aur tumhein accha rizq pahunchaya, shayad ke tum shukar-guzar bano
Surah Al-Anfal, Verse 26
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَخُونُواْ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ وَتَخُونُوٓاْ أَمَٰنَٰتِكُمۡ وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aey iman laney walon, jaante bujhte Allah aur uske Rasool ke saath khayanat(unfaithful) na karo, apni amanaton mein gaddari ke murtakib na ho
Surah Al-Anfal, Verse 27
وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَأَوۡلَٰدُكُمۡ فِتۡنَةٞ وَأَنَّ ٱللَّهَ عِندَهُۥٓ أَجۡرٌ عَظِيمٞ
Aur jaan rakkho ke tumhare maal aur tumhari aulad haqeeqat mein samaan e aazmaish hain aur Allah ke paas ajar dene ke liye bahut kuch hai
Surah Al-Anfal, Verse 28
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تَتَّقُواْ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّكُمۡ فُرۡقَانٗا وَيُكَفِّرۡ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۗ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ
Aey iman laney walon, agar tum khuda-tarsi ikhtiyar karoge to Allah tumhare liye kasauti (criterion) baham pahuncha dega aur tumhari buraiyon ko tumse door kardega, aur tumhare kasoor maaf kardega. Allah bada fazal farmane wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 29
وَإِذۡ يَمۡكُرُ بِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِيُثۡبِتُوكَ أَوۡ يَقۡتُلُوكَ أَوۡ يُخۡرِجُوكَۚ وَيَمۡكُرُونَ وَيَمۡكُرُ ٱللَّهُۖ وَٱللَّهُ خَيۡرُ ٱلۡمَٰكِرِينَ
Woh waqt bhi yaad karne ke qabil hai jabke munkireen e haqq tere khilaf tadbeerein soch rahey thay ke tujhey qaid kardein ya qatal kar dalein ya jila-watan (drive you away) kardein. Woh apni chaalein chal rahey thay aur Allah apni chaal chal raha tha. Aur Allah sab se behtar chaal chalne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 30
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا قَالُواْ قَدۡ سَمِعۡنَا لَوۡ نَشَآءُ لَقُلۡنَا مِثۡلَ هَٰذَآ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Jab unko hamari aayat sunayi jati thi to kehte thay ke “ haan sun liya humne. Hum chahein to aisi hi baatein hum bhi bana sakte hain. Yeh to wahi purani kahaniyan hain jo pehle se log kehte chaley aa rahey hain”
Surah Al-Anfal, Verse 31
وَإِذۡ قَالُواْ ٱللَّهُمَّ إِن كَانَ هَٰذَا هُوَ ٱلۡحَقَّ مِنۡ عِندِكَ فَأَمۡطِرۡ عَلَيۡنَا حِجَارَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ أَوِ ٱئۡتِنَا بِعَذَابٍ أَلِيمٖ
Aur woh baat bhi yaad hai jo unhon ne kahi thi ke “khudaya agar yeh waqayi haqq hai aur teri taraf se hai to humpar aasman se patthar barsa de, ya koi dardnaak azaab humpar le aa”
Surah Al-Anfal, Verse 32
وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمۡ وَأَنتَ فِيهِمۡۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ مُعَذِّبَهُمۡ وَهُمۡ يَسۡتَغۡفِرُونَ
Us waqt to Allah unpar azaab nazil karne wala na tha jabke tu unke darmiyan maujood tha, aur na Allah ka yeh qaida hai ke log istegfar kar rahey hon aur woh unko azaab de de
Surah Al-Anfal, Verse 33
وَمَا لَهُمۡ أَلَّا يُعَذِّبَهُمُ ٱللَّهُ وَهُمۡ يَصُدُّونَ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَمَا كَانُوٓاْ أَوۡلِيَآءَهُۥٓۚ إِنۡ أَوۡلِيَآؤُهُۥٓ إِلَّا ٱلۡمُتَّقُونَ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Lekin ab kyun na woh unpar azaab nazil karey jabke woh masjid e haraam ka rasta roak rahey hain, halanke woh is masjid ke jaiz mutawalli(guardians) nahin hain. Iske jaiz mutawalli to sirf ehle taqwa hi ho skate hain magar aksar log is baat ko nahin jantey
Surah Al-Anfal, Verse 34
وَمَا كَانَ صَلَاتُهُمۡ عِندَ ٱلۡبَيۡتِ إِلَّا مُكَآءٗ وَتَصۡدِيَةٗۚ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Baytullah ke paas un logon ki namaz kya hoti hai, bas seetiyan (whistles) bajate aur taaliyan peethte hain. Pas ab lo, is azaab ka mazaa chakko apne us inkar e haqq ki padash mein jo tum karte rahey ho
Surah Al-Anfal, Verse 35
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ لِيَصُدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ فَسَيُنفِقُونَهَا ثُمَّ تَكُونُ عَلَيۡهِمۡ حَسۡرَةٗ ثُمَّ يُغۡلَبُونَۗ وَٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ جَهَنَّمَ يُحۡشَرُونَ
Jin logon ne haqq ko maanne se inkar kiya hai woh apne maal khuda ke raaste se roakne ke liye sarf kar rahe hain aur abhi aur kharch karte rahenge, magar aakhir e kaar yahi koshishein unke liye pachtawe ka sabab banenge, phir woh magloob hongey, phir yeh kafir jahannum ki taraf gher laye jayenge
Surah Al-Anfal, Verse 36
لِيَمِيزَ ٱللَّهُ ٱلۡخَبِيثَ مِنَ ٱلطَّيِّبِ وَيَجۡعَلَ ٱلۡخَبِيثَ بَعۡضَهُۥ عَلَىٰ بَعۡضٖ فَيَرۡكُمَهُۥ جَمِيعٗا فَيَجۡعَلَهُۥ فِي جَهَنَّمَۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Taa-ke Allah gandagi ko pakeezgi se chaant kar alag karey aur har qism ki gandagi ko mila kar ikattha karey phir is palande (bundles) ko jahannum mein jhonk de, yahi log asli diwaliye(losers) hain
Surah Al-Anfal, Verse 37
قُل لِّلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِن يَنتَهُواْ يُغۡفَرۡ لَهُم مَّا قَدۡ سَلَفَ وَإِن يَعُودُواْ فَقَدۡ مَضَتۡ سُنَّتُ ٱلۡأَوَّلِينَ
(Aey Nabi), un kafiron se kaho ke agar ab bhi baaz aa jayein to jo kuch pehle ho chuka hai ussey darguzar karliya jayega, lekin agar yeh usi pichli rawish ka iaada karenge to guzishta qaumon ke saath jo kuch ho chuka hai woh sab ko maloom hai
Surah Al-Anfal, Verse 38
وَقَٰتِلُوهُمۡ حَتَّىٰ لَا تَكُونَ فِتۡنَةٞ وَيَكُونَ ٱلدِّينُ كُلُّهُۥ لِلَّهِۚ فَإِنِ ٱنتَهَوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِمَا يَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Aey iman laney walon, in kaafiron se jung karo yahan tak ke fitna baaki na rahey aur deen poora ka poora Allah ke liye ho jaye, phir agar woh fitne se ruk jayein to unke amal ka dekhne wala Allah hai
Surah Al-Anfal, Verse 39
وَإِن تَوَلَّوۡاْ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ مَوۡلَىٰكُمۡۚ نِعۡمَ ٱلۡمَوۡلَىٰ وَنِعۡمَ ٱلنَّصِيرُ
Aur agar woh na maanein to jaan rakkho ke Allah tumhara sarparast hai aur woh behtareen haami o madadgaar hai
Surah Al-Anfal, Verse 40
۞وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا غَنِمۡتُم مِّن شَيۡءٖ فَأَنَّ لِلَّهِ خُمُسَهُۥ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ إِن كُنتُمۡ ءَامَنتُم بِٱللَّهِ وَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَىٰ عَبۡدِنَا يَوۡمَ ٱلۡفُرۡقَانِ يَوۡمَ ٱلۡتَقَى ٱلۡجَمۡعَانِۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Aur tumhein maloom ho ke jo kuch maal e ganimat tumne hasil kiya hai uska paanchwa (fifth) hissa Allah aur uske Rasool aur rishtedaaron aur yateemon aur miskeeno aur musafiron ke liye hai. Agar tum iman laye ho Allah par aur us cheez par jo faisle ke roz , yaani dono faujon ki mutbhed (armies met in battle) ke din, humne apne banday par nazil ki thi, (to yeh hissa ba-khushi ada karo). Allah har cheez par qadir hai
Surah Al-Anfal, Verse 41
إِذۡ أَنتُم بِٱلۡعُدۡوَةِ ٱلدُّنۡيَا وَهُم بِٱلۡعُدۡوَةِ ٱلۡقُصۡوَىٰ وَٱلرَّكۡبُ أَسۡفَلَ مِنكُمۡۚ وَلَوۡ تَوَاعَدتُّمۡ لَٱخۡتَلَفۡتُمۡ فِي ٱلۡمِيعَٰدِ وَلَٰكِن لِّيَقۡضِيَ ٱللَّهُ أَمۡرٗا كَانَ مَفۡعُولٗا لِّيَهۡلِكَ مَنۡ هَلَكَ عَنۢ بَيِّنَةٖ وَيَحۡيَىٰ مَنۡ حَيَّ عَنۢ بَيِّنَةٖۗ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَسَمِيعٌ عَلِيمٌ
Yaad karo woh waqt jabke tum waadi ke is janib thay aur woh dusri janib padao(encamped) daley huey thay aur qafila(caravan) tumse nichey (sahil) ki taraf tha. Agar kahin pehle se tumhare aur unke darmiyan muqable ki qarardaad (mutual appointment) ho chuki hoti to tum zaroor is mauqe par pehlu tahi (decline) kar jatey. Lekin jo kuch pesh aaya woh is liye tha ke jis baat ka faisla Allah kar chuka tha usey zahoor mein le aaye taa-ke jisey halaak hona hai to daleel e roshan ke saath halaak ho aur jisey zinda rehna hai woh daleel e roshan ke saath zinda rahey. Yakeenan khuda sunne wala aur jaanne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 42
إِذۡ يُرِيكَهُمُ ٱللَّهُ فِي مَنَامِكَ قَلِيلٗاۖ وَلَوۡ أَرَىٰكَهُمۡ كَثِيرٗا لَّفَشِلۡتُمۡ وَلَتَنَٰزَعۡتُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ سَلَّمَۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Aur yaad karo woh waqt jabke (aey Nabi),khuda unko tumhare khwab mein thoda dikha raha tha. Agar kahin woh tumhein unki tadaad zyada dikha deta to zaroor tumlog himmat haar jatey aur ladayi ke maamle mein jhagda shuru kardete. Lekin Allah hi ne issey tumhein bachaya. Yakeenan woh seeno ka haal tak jaanta hai
Surah Al-Anfal, Verse 43
وَإِذۡ يُرِيكُمُوهُمۡ إِذِ ٱلۡتَقَيۡتُمۡ فِيٓ أَعۡيُنِكُمۡ قَلِيلٗا وَيُقَلِّلُكُمۡ فِيٓ أَعۡيُنِهِمۡ لِيَقۡضِيَ ٱللَّهُ أَمۡرٗا كَانَ مَفۡعُولٗاۗ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
Aur yaad karo jabke muqable ke waat khuda ne tum logon ki nigahon mein dushmano ko thoda dikhaya aur unki nigahon mein tumhein kam karke pesh kiya, taa-ke jo baat honi thi usey Allah zahoor mein le aaye. Aur aakhir e kaar sarey maamlaat Allah hi ki taraf rujoo karte hain
Surah Al-Anfal, Verse 44
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا لَقِيتُمۡ فِئَةٗ فَٱثۡبُتُواْ وَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ كَثِيرٗا لَّعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aey iman laney walon, jab kisi giroh se tumhara muqabla ho to saabit qadam raho aur Allah ko kasrat se yaad karo, tawaqqu hai ke tumhein kamiyabi naseeb hogi
Surah Al-Anfal, Verse 45
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَا تَنَٰزَعُواْ فَتَفۡشَلُواْ وَتَذۡهَبَ رِيحُكُمۡۖ وَٱصۡبِرُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Aur Allah aur uske Rasool ki itaat karo aur aapas mein jhagdo nahin warna tumhare andar kamzori paida ho jayegi aur tumhari hawa ukhad jayegi. Sabr se kaam lo, yakeenan Allah sabr karne walon ke saath hai
Surah Al-Anfal, Verse 46
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ خَرَجُواْ مِن دِيَٰرِهِم بَطَرٗا وَرِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَيَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطٞ
Aur un logon ke se rang-dhang na ikhtiyar karo jo apne gharon se itraate(exulting) aur logon ko apni shaan dikhate huye nikle aur jinki rawish yeh hai ke Allah ke raaste se roakte hain. Jo kuch woh kar rahey hain woh Allah ki giraft se bahar nahin hai
Surah Al-Anfal, Verse 47
وَإِذۡ زَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ وَقَالَ لَا غَالِبَ لَكُمُ ٱلۡيَوۡمَ مِنَ ٱلنَّاسِ وَإِنِّي جَارٞ لَّكُمۡۖ فَلَمَّا تَرَآءَتِ ٱلۡفِئَتَانِ نَكَصَ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِ وَقَالَ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّنكُمۡ إِنِّيٓ أَرَىٰ مَا لَا تَرَوۡنَ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَۚ وَٱللَّهُ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Zara khayal karo us waqt ka jabke shaytan ne in logon ke kartoot inki nigahon mein khushnuma bana kar dikhaye thay aur insey kaha tha ke aaj koi tumpar gaalib nahin aa sakta, aur yeh ke main tumhare saath hoon. Magar jab dono girohon ka aamna saamna hua to woh ultey paaon phir gaya aur kehne laga ke mera tumhara saath nahin hai, main woh kuch dekh raha hoon jo tumlog nahin dekhte. Mujhey khuda se darr lagta hai aur khuda badi sakht saza dene wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 48
إِذۡ يَقُولُ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ غَرَّ هَـٰٓؤُلَآءِ دِينُهُمۡۗ وَمَن يَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِ فَإِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Jabke munafiqeen aur woh sab log jinke dilon ko rog laga hua hai, keh rahey thay ke in logon ko to inke deen ne khabat(delusion) mein mubtila kar rakkha hai, halanke agar koi Allah par bharosa karey to yakeenan Allah bada zabardast aur dana hai
Surah Al-Anfal, Verse 49
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ يَتَوَفَّى ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَضۡرِبُونَ وُجُوهَهُمۡ وَأَدۡبَٰرَهُمۡ وَذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ
Kaash tum us halat ko dekh sakte jabke Farishte maktool kafiron ki roohein qabz kar rahey thay, woh unke chehron aur unke kulhon(backs) par zarb lagate jatey thay aur kehte jatey thay “ lo ab jalne ki saza bhugto
Surah Al-Anfal, Verse 50
ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَيۡسَ بِظَلَّـٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
Yeh woh jaza hai jiska samaan tumhare apne haathon ne peshgi muhaiyya kar rakkha tha. Warna Allah to apne bandon par zulm karne wala nahin hai.”
Surah Al-Anfal, Verse 51
كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيّٞ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Yeh maamla unke saath usi tarah pesh aaya jis tarah aale Firoun aur unse pehle ke dusre logon ke saath pesh aata raha hai, ke unhon ne Allah ki aayat ko maanne se inkar kiya aur Allah ne unke gunahon par unhein pakad liya. Allah quwwat rakhta ahi aur sakht saza dene wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 52
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ لَمۡ يَكُ مُغَيِّرٗا نِّعۡمَةً أَنۡعَمَهَا عَلَىٰ قَوۡمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُواْ مَا بِأَنفُسِهِمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Yeh Allah ki is sunnat ke mutabiq hua ke woh kisi niyamat ko jo usne kisi qaum ko ata ki ho us waqt tak nahin badalta jab tak ke woh qaum khud apne tarz e amal ko nahin badal deti. Allah sab kuch sunne aur jaanne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 53
كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ فَأَهۡلَكۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡ وَأَغۡرَقۡنَآ ءَالَ فِرۡعَوۡنَۚ وَكُلّٞ كَانُواْ ظَٰلِمِينَ
Aale Firoun aur unse pehle ki qaumon ke saath jo kuch pesh aaya woh isi zaabtey ke mutabiq tha. Unhon ne apne Rubb ki aayat ko jhutlaya, tab humne unke gunahon ki padash mein unhein halaak kiya aur aale-Firoun ko garq kardiya, Yeh sab zalim log thay
Surah Al-Anfal, Verse 54
إِنَّ شَرَّ ٱلدَّوَآبِّ عِندَ ٱللَّهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Yaqeenan Allah ke nazdeek zameen par chalne wali makhlooq mein sabse badhtar woh log hain jinhon ne haqq ko maanne se inkar kardiya phir kisi tarah woh usey qabool karne par tayyar nahin hain
Surah Al-Anfal, Verse 55
ٱلَّذِينَ عَٰهَدتَّ مِنۡهُمۡ ثُمَّ يَنقُضُونَ عَهۡدَهُمۡ فِي كُلِّ مَرَّةٖ وَهُمۡ لَا يَتَّقُونَ
(khusoosan) unmein se woh log jinke saath tu nay muahida (covenant) kiya phir woh har mauqe par usko todhte hain aur zara khuda ka khauf nahin karte
Surah Al-Anfal, Verse 56
فَإِمَّا تَثۡقَفَنَّهُمۡ فِي ٱلۡحَرۡبِ فَشَرِّدۡ بِهِم مَّنۡ خَلۡفَهُمۡ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ
Pas agar yeh log tumhein ladayi mein mil jayein to inki aisi khabar lo ke inke baad jo dusre log aisi rawish ikhtiyar karne waley hon unke hawaas bakhta (admonished) ho jayein. Tawakku hai ke badh-ahadon ke is anjaam se woh sabaq lenge
Surah Al-Anfal, Verse 57
وَإِمَّا تَخَافَنَّ مِن قَوۡمٍ خِيَانَةٗ فَٱنۢبِذۡ إِلَيۡهِمۡ عَلَىٰ سَوَآءٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡخَآئِنِينَ
Aur agar kabhi kisi qaum se khayanat (treachery) ka andesha ho to uske muhaiday ko elaniya(publicly) uske aagey phenk do, yaqeenan Allah khayano (treacherous) ko pasand nahin karta
Surah Al-Anfal, Verse 58
وَلَا يَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ سَبَقُوٓاْۚ إِنَّهُمۡ لَا يُعۡجِزُونَ
Munkireen e haqq is galat fahmi mein na rahein ke woh baazi le gaye, yaqeenan woh humko hara nahin sakte
Surah Al-Anfal, Verse 59
وَأَعِدُّواْ لَهُم مَّا ٱسۡتَطَعۡتُم مِّن قُوَّةٖ وَمِن رِّبَاطِ ٱلۡخَيۡلِ تُرۡهِبُونَ بِهِۦ عَدُوَّ ٱللَّهِ وَعَدُوَّكُمۡ وَءَاخَرِينَ مِن دُونِهِمۡ لَا تَعۡلَمُونَهُمُ ٱللَّهُ يَعۡلَمُهُمۡۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِن شَيۡءٖ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ يُوَفَّ إِلَيۡكُمۡ وَأَنتُمۡ لَا تُظۡلَمُونَ
Aur tumlog, jahan tak tumahre bas chale, zyada se zyada taaqat aur tayyar bandhey rehne wale ghodey (well-readied horses ) unke muqable ke liye muhayya rakho, taa-ke iske zariye se Allah ke aur apne dushmano ko aur un dusre aadaa (others besides them) ko khauf zadah karo jinhein tum nahin jantey magar Allah jaanta hai. Allah ki raah mein jo kuch tum kharch karogey uska pura pura badal tumhari taraf paltaya jayega aur tumhare saath hargiz zulm na hoga
Surah Al-Anfal, Verse 60
۞وَإِن جَنَحُواْ لِلسَّلۡمِ فَٱجۡنَحۡ لَهَا وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Aur (aey Nabi), agar dushman sulah o salamati ki taraf mayal hon to tum bhi uske liye aamada ho jao aur Allah par bharosa karo, yaqeenan wahi sab kuch sunne aur jaane wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 61
وَإِن يُرِيدُوٓاْ أَن يَخۡدَعُوكَ فَإِنَّ حَسۡبَكَ ٱللَّهُۚ هُوَ ٱلَّذِيٓ أَيَّدَكَ بِنَصۡرِهِۦ وَبِٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur agar woh dhoke ki niyat rakhte hon to tumhare liye Allah kafi hai. Wahi to hai jisne apni madad se aur momino ke zariye se tumhari taeed ki (strengthened you)
Surah Al-Anfal, Verse 62
وَأَلَّفَ بَيۡنَ قُلُوبِهِمۡۚ لَوۡ أَنفَقۡتَ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا مَّآ أَلَّفۡتَ بَيۡنَ قُلُوبِهِمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ أَلَّفَ بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّهُۥ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Aur momino ke dil ek dusre ke saath joad diye. Tum rooh e zameen ki saari daulat bhi kharch kar daalte to in logon ke dil na joad sakte thay magar woh Allah hai jisne in logon ke dil joadey. Yaqeenan woh bada zabardast aur dana hai
Surah Al-Anfal, Verse 63
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ حَسۡبُكَ ٱللَّهُ وَمَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aey Nabi, tumhare liye aur tumhare pairow (followers) ehle iman ke liye to bas Allah kafi hai
Surah Al-Anfal, Verse 64
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ حَرِّضِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ عَلَى ٱلۡقِتَالِۚ إِن يَكُن مِّنكُمۡ عِشۡرُونَ صَٰبِرُونَ يَغۡلِبُواْ مِاْئَتَيۡنِۚ وَإِن يَكُن مِّنكُم مِّاْئَةٞ يَغۡلِبُوٓاْ أَلۡفٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَفۡقَهُونَ
Aey Nabi, momino ko jung par ubharo. Agar tum mein se bees (twenty) aadmi saabir (who persevere) hon to do saw (two hundred) par gaalib aayenge, aur agar saw (hundred) aadmi aisey hon to munkireen e haqq mein se hazaar (thousand) aadmiyon par bhari rahenge, kyunke woh aisey log hain jo samajh nahin rakhte
Surah Al-Anfal, Verse 65
ٱلۡـَٰٔنَ خَفَّفَ ٱللَّهُ عَنكُمۡ وَعَلِمَ أَنَّ فِيكُمۡ ضَعۡفٗاۚ فَإِن يَكُن مِّنكُم مِّاْئَةٞ صَابِرَةٞ يَغۡلِبُواْ مِاْئَتَيۡنِۚ وَإِن يَكُن مِّنكُمۡ أَلۡفٞ يَغۡلِبُوٓاْ أَلۡفَيۡنِ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ مَعَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Accha, ab Allah ne tumhara bojh halka kiya aur usey maloom hua ke abhi tum mein kamzori hai. Pas agar tum mein se saw (hundred) aadmi saabir hon to woh do saw (two hundred) par aur hazaar aadmi aisey hon to do hazaar par Allah ke hukum se gaalib aayenge. Aur Allah un logon ke saath hai jo sabr karne waley hain
Surah Al-Anfal, Verse 66
مَا كَانَ لِنَبِيٍّ أَن يَكُونَ لَهُۥٓ أَسۡرَىٰ حَتَّىٰ يُثۡخِنَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ تُرِيدُونَ عَرَضَ ٱلدُّنۡيَا وَٱللَّهُ يُرِيدُ ٱلۡأٓخِرَةَۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Kisi Nabi ke liye yeh zeba nahin hai ke uske paas qaidi hon jab tak ke woh zameen mein dushmano ko acchi tarah kuchal na de. Tum log duniya ke faiyde chahte ho, halanke Allah ke peshe nazar aakhirat hai. Aur Allah gaalib aur hakeem hai
Surah Al-Anfal, Verse 67
لَّوۡلَا كِتَٰبٞ مِّنَ ٱللَّهِ سَبَقَ لَمَسَّكُمۡ فِيمَآ أَخَذۡتُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Agar Allah ka nawishta (decree) pehle na likha ja chuka hota to jo kuch tum logon ne liya hai uski padash mein tumko badi saza di jati
Surah Al-Anfal, Verse 68
فَكُلُواْ مِمَّا غَنِمۡتُمۡ حَلَٰلٗا طَيِّبٗاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Pas jo kuch tumne maal haasil kiya hai usey khao ke woh halaal aur paak hai aur Allah se darte raho. Yakeenan Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 69
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ قُل لِّمَن فِيٓ أَيۡدِيكُم مِّنَ ٱلۡأَسۡرَىٰٓ إِن يَعۡلَمِ ٱللَّهُ فِي قُلُوبِكُمۡ خَيۡرٗا يُؤۡتِكُمۡ خَيۡرٗا مِّمَّآ أُخِذَ مِنكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aey Nabi, tum logon ke qabze mein jo qaidi hain unse kaho agar Allah ko maloom hua ke tumhare dilon mein kuch khair hai to woh tumhein ussey badh chadh kar dega jo tumse liya gaya hai aur tumhari khataein maaf karega. Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 70
وَإِن يُرِيدُواْ خِيَانَتَكَ فَقَدۡ خَانُواْ ٱللَّهَ مِن قَبۡلُ فَأَمۡكَنَ مِنۡهُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
Lekin agar woh tere saath khayanat(betrayal) ka irada rakhte hain to issey pehle woh Allah ke saath khayanat kar chuke hain. Chunanchey usi ki saza Allah ne unhein di ke woh tere qaabu mein aa gaye. Allah sab kuch jaanta hai aur hakeem hai
Surah Al-Anfal, Verse 71
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلَّذِينَ ءَاوَواْ وَّنَصَرُوٓاْ أُوْلَـٰٓئِكَ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَمۡ يُهَاجِرُواْ مَا لَكُم مِّن وَلَٰيَتِهِم مِّن شَيۡءٍ حَتَّىٰ يُهَاجِرُواْۚ وَإِنِ ٱسۡتَنصَرُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ فَعَلَيۡكُمُ ٱلنَّصۡرُ إِلَّا عَلَىٰ قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Jin logon ne iman qabool kiya aur hijrat ki aur Allah ki raah mein apni jaanein ladayin aur apne maal khapaye , aur jin logon ne hijrat karne walon ko jagah di aur unki madad ki, wahi dar-asal ek dusre ke wali (allies) hain. Rahey woh log jo iman to le aaye magar hijrat karke (daar ul Islam mein) aa nahin gaye to unsey tumhara wilayat (alliance) ka koi talluq nahin hai jab tak ke woh hijrat karke na aa jayein. Haan agar woh deen ke maamle mein tumse madad maangein to unki madad karna tumpar farz hai lekin kisi aisi qaum ke khilaf nahin jissey tumhara muhaida ho. Jo kuch tum karte ho Allah usey dekhta hai
Surah Al-Anfal, Verse 72
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٍۚ إِلَّا تَفۡعَلُوهُ تَكُن فِتۡنَةٞ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَفَسَادٞ كَبِيرٞ
Jo log munkir e haqq hain woh ek dusre ki himayat karte hain, agar tum yeh na karoge to zameen mein fitna aur bada fasaad barpa hoga
Surah Al-Anfal, Verse 73
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلَّذِينَ ءَاوَواْ وَّنَصَرُوٓاْ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ حَقّٗاۚ لَّهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
Jo log iman laye aur jinhon ne Allah ki raah mein ghar baar chode aur jidd o jahad ki aur jinhon ne panaah di aur madad ki wahi sacchey momin hain. Unke liye khataon se darguzar hai aur behtareen rizq hai
Surah Al-Anfal, Verse 74
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنۢ بَعۡدُ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ مَعَكُمۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مِنكُمۡۚ وَأُوْلُواْ ٱلۡأَرۡحَامِ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلَىٰ بِبَعۡضٖ فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ
Aur jo log baad mein iman laye aur hijrat karke aa gaye aur tumhare saath milkar jidd o jahad karne lagey woh bhi tumhi mein shamil hain. Magar Allah ki kitaab mein khoon ke rishtedar ek dusre ke zyada haqdaar hain.Yakeenan Allah har cheez ko jaanta hai
Surah Al-Anfal, Verse 75